Chapter 11 - Mystery of eyes

......

Mere baal bhi ab kaale na rahkar bhure ho chuke the . Meri Skin ka safed hona aur mere balon ka brown hona , dono ek hi wajah se tha , aur wo tha mere body ke andar melanin pigment ki kami .

Kisi unknown reasons ki wajah se meri ankhon ka color bhi change ho gaya tha . Ab ye light brown ( jaesa ki average Indian ka hota hai ) ki jagah mere ankhon ne aesa color ikh-tayar(adapt) kar liya hai ki apko explain karna bada mushkil ho jayega , kiyunki ab meri ankhein ek hi color ki naheen theen , balki kayi saare color mix the . Kuch hissa blue to kuch hissa green to kuch hissa brown to kuch black aur bhi kayi saare colors include the .

Lekin agar aap meri ankhon ko door se dekhte to aap yahee samjhte ki meri akhein blue color ki hain shayad isliye ki zaydatar hissa blue tha , par agar thoda bhi nazdeek aake dekhenge to aap decide naheen kar payenge ki meri ankhein kis color ki hain .

Sabse hairani wali baat yah thi ki , shuruaat mein meri ankhon ka sirf ek hi color tha , wo tha light brown phir dekhte hi dekhte kuch waqt ke baad adha light brown to andha light black , phir kuch dino ke baad aur colors add hote gaye .

6 mahine ke baad aaj meri ankhein mein 8 colors ho chuke the . Jinme blue color ke 3 shades the ( yani ek light blue to ek dark blue to ek dono ke beech wala shade) aur 5 alag-alag colors the .

Aesa kiyun tha, ya kiyun ho raha tha aur iski wajah kya thi , It was still a mystery for doctors ( ye doctors ke liye abhi bhi ek rahsaya tha ).

Aur ankhon mein jab-jab ek color add hota tha , tab-tab ek message box ki tarah kuch nazar ata tha , aur usmein kuch likha hota tha lekin saaf nazar naheen ata , aur agle hi pal wo box gayab ho jata tha .

Maine ye baat doctor ko bhi batayi , par doctors ne kaha ki brain injury hone ki wajah se shayad aesa ho raha hai . Ghabrane ki baat naheen hai jald hi theek ho jayega . Brain injury ko heal hone mein thoda waqt lagta hai .

Brain injury sunkar mera to dimaag hi kharaab ho gaya , main kaafi dar gaya tha . Doctor ne shayad yah baat notice kar li thi . Isliye unhone mujhe asaan lafzon mein samjhaya ki ... insaan ki ankhein uske dimaag ke pichle hisse se connect hoti hain (uss hisse ko occipital lobe kaha jata hai . ) . To jab kabhi bhi wo hissa over-stimulate hota hai ya phir kisi bhi wajah se wahan hal-chal zayda hoti hai to insaano ko alag alag tasveerein nazar aa sakti hain .

Main kayi baar is ke baare mein complaint doctor se ki thi , lekin doctor ka har baar yahi reply hota . To maine andaza laga liya ki shayad doctor ke pass iss baat ka bhi koi jawaab naheen hai .

Mujhe science kafi pasand hai , lekin mujhe yah bhi maloom hai ki , science hamesha sahee naheen hoti . Pasts mein science ne an-ginat aesi baate ya aese daawe kiye hain jo ki us waqt logon ne 100 % sach mana tha . Par wohi batein aaj 100 % galat hain . Theek aese hi maujooda waqt mein bhi aesi anginat batein hain jo ki aane wale waqt mein galat saabit ho sakti hain ….. "science has it's limitation".

Isliye maine doctor ko phir batana hi chod diya aur ghar walon se bhi yah baate naheen karta , kiyunki already wo itna pareshaan ho chuke the , main unhe ab aur pareshaan naheen karna chahta tha .