Chapter 14 - Last day in hospital

Kal mujhe hospital se chutti milni thi. Dad hospital ki tamam formalites poori kar rahe the.

Mom sab saaman pack kar rahi theen. Mom kaafi khush theen.

Nurses doobara se ek baar mera routine checkup kar rahee theen. Meri sabhi files ko ek jagah kiya jaa raha tha , kaafi saari files collect ho chuki theen, akhir maine 2 saal 6 mahine is hospital mein guzara tha to files ki to bharmaar ho chuki theen.

Tabhi dad room mein ayein aur mom se poocha ki ho gayi sabhi tayyariyan. Dad ke anknhon mein ek baar phir se pahle kki tarah chamak dekhi jaa sakti thi , unke akhon ke neeche , jo kaale nishaan the wo sabhi hat chuke the.

Dad ne phir mujhse poocha, to beta , are you excited to go home? Maine phir haan mein reply dete hue kaha par dad school ka kya ?

Dad ne kaha wo hum baad mein dekheinge , phale ghar to chalo.

Shaam ka waqt tha ,saari packing ho chuki thee. Ye bas akhiri raat thi meri is hospital mein. Main kisi sooch mein mub-tala(busy) tha. Mom room ke side wale sofe par baithi kuch kitabein padh raheen theen. Dad apne kisi dost se baat kar rahe the aur mere baare mein unko jaankari de rahe the.

Tabhi darwaze par knock hoti hai. Dad ne phone rakhte hue kaha ki ji aap aa saktein hain.

Tabhi kayi sari nurses mere room mein aayen aur peeche ek nurse ne cake pakda hua tha , phir 3 ya 4 doctors bhi room mein dakhil hue.

Mom aur Dad dono khade hokar thoda side ho gaye taaki sabhi nurses aaraam se room mein aa jayein.

Main ,mom aur dad bhi ye dekh ke thoda shock the , ki aakhir ye ho kya raha hai.

Phir doctors ne explain kiya , ki kiyunki main is hospital mein kayi din se tha to ab main unke liye ek family member ki tarah ho chuka tha. Isliye ye cake mere sahee-salamat ghar jaane ki khushi mein tha.

Waese mujhe bheed-bhad to acchi naheen lagti , par phir bhi mujhe iss wali bheed se utni pareshani naheen thi.

Ye log aur logon ke compare mein acche the. Iski pahli wajah thi ki ye log kaafi disciplined the , utna hi bolte jitna zaroorat hoti , na kam(less) na zayda(more). Doosri wajah thi ki ye doctor aur nurses ki wo team thi, jo 2.5 saal se meri dekh-bhaal kar rahi thi.

Phir maine cake kaata aur kuch der main pooora room khali ho chuka tha .