Chapter 18 - My Old Sim-Card

Agli subah jab neend khuli to maine dekha..........

Maine jab dekha to ghadi mein 12 baj rahe the. Main hairan tha ki mom abhi tak aayi naheen jagane ab tak to mom jaga deti theen . Hospital mein bhi agar mom kabhi raat mein rukti to zaroor subah subah jaga detin theen.

Phir main bathroom mein fresh hone chala gaya. Phir maine phone uthaya (apna naya wala ) aur chal diya nashta karne . Nashta kya dopahar ka khana kahein.

Mom ko jab mere naye mobile ke bare mein pata chala to wo bhi shocked ho gayeen ki unhe to zar-ra barabar bhi is cheez ka naheen pata chala. Mom ne kaha shayad teeno apni pocket money milakar layi hongi.

Phir maine mom se kaha ki mom koi sim padi hai kya jiska use(istemal) naheen ho raha ho . Mom ne kaha tumhari purani wali sim hai , mobile to kharab ho gaya tha par sim sahee lag rahi thi to maine usko hifazat ke saath rakh diya.

Maine kaha accha dijiye mobile mien laga ke dekhta hoon. Phir mom ne sim di. Sim ek plastic ke chote se case(dabbe) mein thi , maine sim lene ke baad usko side par rakh diya . Maine socha isko araam se check karoonga , abhi ke liye nashta kar liya jaye.

Main jaese hi nashta karne baitha tabhi kuch rishtedaar aa gaye . Phir isi tarah se bacha hua din bhi guzar gaya . shaam ko bahne aur dad jab wapas ayein to humne phir milkar shaam ki chai pee.

Phir dad ne kaha ki Aslan to aage ka kya plan hai?

Maine kaha – ji matlab ?

DAD- are beta mera matlab hai ki 10 th class tumhara adhoora rah gaya tha na , usko poora to karna hi padega .

Main- ji dad wo to karna hi hai.

DAD- to private form bhar deta hoon kiyunki abhi to mid-term chal rahe hain koi school tumhara admission hi naheen lega .

" phir dad kuch der khamosh rahe aur kha''

Dad- ya ek kaam karo kuch mahine wait kar lo doosra term shuru ho jayega to 10th class pahle din se join kar lena.

"Mera accident jab hua tha to maine just 10 class shuru ki thi , shayad 1 mahina hua tha"

Dad- jitna waqt bacha hai usmein thoda aram karlo , ghum lo jahan man kare, ja kaheen vacation mana aao ya jao rishtedaaron ke yahan hi ghoom lo aur dimaaag halka kar lo phir ek naye jazbe ke saath apni nayi zindagi ki shuruaat karna.

Main – ji dad , jaesa aap sahee samjhein. ( Mujhe ye plan kaafi sahee laga kiyunki ab 6 mahine bache hain usme main 10th class thoda bahut pahle se hi padh loonga , aur iss 2 saal mein badli dunya ki thodi bahut knowledge bhi ho jayegi).

Rahee baat vacation ki ya kaheen tour pe jane ki , to apko to maloom hi hai mujhe ye sab bilkul pasand naheen . To maine decide kiya ki main 10th class ki phir se shuruat karunga . Haan lekin thoda bahut awkwrad to zaroor lagega ki main kahan ab tak 12 class ko adha khatm kar chuka hota aur kahan main doobara se 10th class karoonga . Phir bhi , jo hota hai acche ke liye hi hota hai, yahee soch kar maine 10th class phir se padhne ka soch liya.

Phir isi tarike se shaam se raat ho gayi , khana sabne khaya , phir maine apni bahno ko thanks bola . aur phir laut pada apne room ki taraf sone . Lekin neend aur thakaan dono ka namonishaan naheen tha .

Maine socha ki lag raha hai exercise ne zayda hi fayda kar diya hai.

Latest chapters

Related Books

Popular novel hashtag