Chapter 17 - My New Mobile

Inhi sab baaton mein aaj ka poora din beet gaya.

Par hairani ki baat yah thi ki mujhe thakan bilkul bhi mahsoos naheen ho rahi thi. Infact main pahle se kayi zada fresh mahsoos kar raha tha.

Maine socha iski wajah shayad 6 mahine se jo main regularly exercise karta tha hopital mein , isliye aesa hai.

Phir hum sabhi raat ka khana khane baithein. Tab mujhe ghar ke haalat par gaur karne ka thoda waqt mila. Maine gaur kiya ki to main hairan tha ki 2.5 years mein kuch naheen badla !. Jo chize jaesi theen waesi hi hain , mushqil se ko naya saman hoga. Deewaron ke paint udd chuke hain . normally har doosre saal dad paint zaroor kara diya karte the.

Yuun to sab kuch normal sa lag raha , lekin ghar ki hawayein badi gamgeen si maloom padti theen.

Khana khane ke baad sab log ek jagah ikhatta hue. Raat mein hum sabhi family members ka ek saath baithna, ek riwaaj(tradition) ban chuka tha.

Ajj hum sab dadi ke room mein ikhatta hue the. Mom aur meri bahne dadi ke bed pe baithee huin theen aur main, dad , aaur dada kursi par .

Phir kuch idhar-udhar ki baate hui .

Mom ne kaha tumhara room ( yani Aslan's house haha ) saaf kar diya hai. Usmein jake so jana .

Kuch der baad sab sone chale gaye , aur main apne room mein. Tabhi kisi ke darwaze khat-khatane ki awaaz sunai deti hai. Maine andaza laga liya tha ki meri bahne ya mummy aayen hongi.

Main uthkar darwaza khola to dekha ki teeno behne theen. Aate hi teeno bed par dhadaam se baith gayi, mano unka ho ! . Isliye majbooran mujhe chair par baithna pada. Phir hum kaafi der tak baat karte rahe.

2.5 saal mein hue tamam kisse kahaniya, aesa maloom padta tha ki aaj hi suna dengi. Mujhe to adat thi inki kabhi na khatm hone wali batooon ke sunne ki . Inmein zayda tar baatein to be-mayne(useless) theen. Lekin bahno ki ye useless batein bhi ajj kuch acchi si lag rahee theen . shayad unki bak-bak sune jo ek zamana ho gaya tha. hopital mein to zayada bak-bak kar naheen paati theen.

Mom bhi kuch der baad room mein ayeen, unhone behnoo se kaha ki tum log jao soo jao aur apne bhai ko bhi sone do. Tumhara bhai aaj din bhar busy tha, thak gaya hoga. Par asliyat to ye thi ki thakaaan ka naamo-nishaan tak naheen tha.

Sab ke jaane ke baad , ab kiyunki mujhe neend naheen lag rahi thi . to maine apne room mein padi sabhi poorani jo meri cheezein thi usko dekhne laga .

Mera ye room accha khaasa bada tha kiyunki isko mahmano ke liye banaya gaya tha. Ek side par bed tha aur doosri side par chair aur study table tha.

Study table ke upar kitaboon ke liye ek daraz(almirah) bhi banwa diya tha papa ne ( ye mere kabza karne ke baad banwaya gaya tha ). Bed ki taraf do daraz the, ek kapde ke liye aur ek aese hi kuch samaan rakhne ke liye.

Main baari baari se sabhi daraz ko khol kar check kar raha tha . Tabhi jab ek daraz khola to usmein ek mobile phone ka box dekha , jo ki kayi sare cards ke upar rakha hua tha.

Mujhe laga ye dabba(box) khali hoga par jab cards ko padhne ke liye usko uthaya to pataa chala ye bilkul packed hai .

Cards ko padhne ke baad malooom chala ki ye meri bahno ki taraf se mere ghar lautne ka gift hai. Ye cards khud unhone apane haathon se banaye the. Un cards mein kayi saare alag alag tarike ke quotes likhe hue the . Ye kaafi emotional tha.

Phir maine us mobile ko utha kar table pe rakh diya aur kursi par baith kar uss mobile ko check karne laga .

Ye samsung j6+ tha . Hospital mein wifi hone ki wajah se mujhe ye maloom tha ki kaun kaun si nayi technology aayeen hain in do saalon mein , kayi naye phones ke baare mein , kayi naye laptop ke baare mein, mujhe aesi zayada tar cheezon ke bare mein thoda bahut knowledge ho gaya tha.

Yuun mujhe need to naheen lag rahi thi par kiyunki raat ke 3 baj rahe the, to maine socha so jatein hain warna pata chala kal din bhar sote hi rah jayeein , aur mom se daant khani pade. Phir maine mobile ko charge pe lagaya aur bed par let gaya.

Agli subah jab neend khuli to maine dekha..........

Latest chapters

Related Books

Popular novel hashtag