Chereads / I can't Forget you, My Love / Chapter 24 - Chapter 23

Chapter 24 - Chapter 23

In Hospital,

Rishi Strecher pe laita hua hai, Aur Doctor nurse use jaldi se emargency ward me le kr ja rahe hai. unke sth Ruhan Vani aur Rishi ki mom bhi piche piche aa rahi hai.

Rishi ko Doctor ek room me le jate hai, aur un sab ko bahar rukne ke liye khete hai.

"please ap log yahi wait kariye" Nurse keh kr Ward room me chali jati hai.

"Mera beta..." Rishi ki mom rohte huye Apne dono hath jodhti hai.

Vani unhe sahara de kr ek chair pe bethati hai aur back sehlati hai.

"Ap fiqar mat karo, Rishi ko doctor dekh rahe hai, Wo bikul thik ho jayga..." Vani Dilasa dete huye.

Ruhan ek kone me jaa kar khada ho jata hai.Vani Ruhan ki aur dekhti hai, Ruhan Vani ko hi dekh raha hai,Vani man me sochti hai.

"Ruhan uss time wahan kese aya?, kya ye koi ittefaq hai?"

"Kuch dino se, Rishi ko bar bar Fever ho raha hai, lekin aj uski bahut jayda hi tabiyat kharab ho gai... wo sara din bed se nahi uth saka tha,.. lekin sham me wo har roz ki tarah phoolon ko hath me le kr, mujhse chup ke nikal gya... aur dekho kiya ho gya uske sath" Rishi ki mom rohte huye.

Tabhi doctor ward room se aate hai, Rishi ki mom aur Vani doctor ko dekh apni seat se uth khade hote hai, Ruhan Doctor ke pas jaa kar unse puchta hai.

"Hello doctor, Ab uss bacche ki health kesi hai?"

"Dekhiye...bacche ki halat dekh kr lagta hai, Ye normal bimari nahi hai, isliye Humne kuch blood test liye hai aur kuch check up karege, aur isme Kareeb 2 ghante lag jayege, Ap log fiqar mat kariye, tab tak baccha humari observation me rahega, Please coperate kariye" Doctor

"Hmm.. Thank you doctor" Ruhan

Raat ke 11 baj chuke hai, Vani uth kar Ruhan ke pas aati hai, Ruhan ward ki aur dekh raha hai.Ruhan Vani ko apne pas ata dekh kr Usko dekhta hai.

"Tum yahan pareshan ho rahe hoge,... Main yahan hun... Tum ja sakte ho" Vani Ruhan se.

"Galat-femi me mat raho, Main yahan tumhari wajah se nahi ruka hua hun...Main uss bacche ki wajah se ruka hua hun... "Ruhan muh pher ke kehta hai.

Vani khamosh ho jati hai aur wapis apni jagha aakar beth jati hai. Rishi ki mom dono ko dekh kar.

"aap dono jao... main yahan hun... fiqar karne ki zarurat nahi hai... wahi bahut tha ki apne Time pe mere bete ko hospital pahucha diya" Rishi ki mom

tabhi doctor reports ke sath un logo ke pas ata hai, Doctor Ko dekh Rishi ki mom aa jati hai.

"Bataiye mera Rishi kesa hai?"

Doctor Rishi ki Maa ko Apni Mayush nazar se dekhte hai,phir khete hai,

"Dekhiye patient ki Halat bahut nazuk hai, Report me Patient ke heart me ek chedh aya hai, hume patient ko jald se jald cardiology department me admit karna hoga... aur 18 hours ke andar patient ka operation karna hi hoga"

Doctor ki bat sun kr Rishi ki maa Ke pero ke niche se zameen khisak jati hai.

"Aap jitna jaldi ho sake Reception pe operation fees Jama kr dijiye... Tabhi ye operation hoga..." doctor ne reports ko Ruhan ko dete huye kaha.

"Kitni fees deni hai?" Rishi ki maa

" Dekhiye ye sb Reception pe apko pta lag jayga ye documents wahan submit karwa dijiye." Doctor keh kr wahan se chala jata hai.

Rishi ki mom Jaldi me sidha Receptionists ki pas jati hai. Unke piche piche Vani bhi jati hai, Ruhan Ward ke samne akela khada rheta hai.

Rishi ki Mom Receptionist se, " ye lijiye documents... doctor ne kaha hai, Ye apko dene hai, Aur mere bete ki operation fees bataiye."

Vani Rishi ki mom ke sath khadi hai.

"Let me check ma'am..."Receptionist computer me check krte huye, " Ah.. Apka beta Rishi... 2 ghante phele Emargency me yahan aya hai, ?"

"Han ji, Han ji, " Rishi ki mom

"Han... Apke beta ka heart opretion hoga, sabse phele apko uske liye 3lacs yahan jama karne hoge" Receptionist Computer me check krke ek slip nikal kar Rishi ki mom ko dete huye .

"3Lacs.... Itna paisa main kaha se laungi..." Rishi ki mom sun kr rohne lagti hai.

Vani ye dekh kr Receptionist se bat karti hai,

"Kiya Hum Operation fees ke paise Installment me de sakte hai?"

"Yes... lekin uske liye apko Kuch documents proof dene hoge... aur iss process me bahut time lag jayga... aur operation 18 hours ke bich hona hi hona hai..." Receptionist

Rishi ki mom ye sun ke ek side me ja ke rohne lagti hai. Vani unke pas aati h aur Sholder pe hath rakhti hai.

"Main Rent pe rehti hun... Aur meri ek choti si Flowers shop hai... Main jese tese rent nikal kr Apne bacche ka mera kharach uthati hu... 3lac ?.... 3 lac kaha se laungi me... " Rishi ki mom batate huye rohne lagti hai.

"please don't worry, Main Apki help karungi kahi na kahi se... ap fiqar mat kariye... apke bete ka operation zarur hoga" Vani Rishi ki mom ko dilasa deti hai.

idhar Ruhan Receptionist ke pas jaa kar kuch document sign kr rha hai.

"Kal Hum Morning me 8 baje operation ki sab tayari kar dege... aur 8:40am tk operation start ho jayga... " Receptionist

"Okay... Thank you... " Ruhan Reception document hath me le kr kehta hai.

Vani aur Rishi ki Mom, Dono Rishi ke ward room ke samne bethe hai.

"tumhe ab jana chaiye... kab se mere sath bethi ho...tumhari mom preshan ho rahi hogi..."

Vani kuch kehti Ruhan aa jata hai,

"Vani..... Ghar chalo... main tumhe chod dunga... mom preshan ho rahi hogi" Ruhan

"Han tumhe jana chaiye....tum dono ka bahut shukriya ke tumne mere bete ko yahan pahuchaya.....main ye ehsan nahi bhulungi..." Rishi ki mom hath jodhte huye.

" yesi koi bat nahi hai... Rishi ke operation fees me zrur kahi se mannage karungi, aap preshan mt hona..."Vani keh kr uth ke Ruhan ke sth jane lagti hai.

Rishi ki Mom Vani ko mayushi se jate huye dekhne lagti hai.

itne me nurse aati hai aur Rishi ko Uss ward room se nikal ke VIP room me shift krte hai, VIP room me Ek bed or couch or Ek aur bed hota h hai. Jaha uski Mom aram kar sakti hai, Rishi abhi bhi behosh hai, uske Oxygen mask laga hua hai. Rishi ki Mom apne bete ki ye halat dekh ke uske balo ko pyar se sehlati hai, Unke ankho se aashu beh jate hai.

Latest chapters

Related Books

Popular novel hashtag