Chereads / I can't Forget you, My Love / Chapter 6 - Chapter 5

Chapter 6 - Chapter 5

Vani tez barish me bhigi hui Gate se andar dekh rahi hai.Tabhi uski ankhe hairani se Gate ki aur dekhti hai.

Umbrella ke sath kuch black outfits me Log Mantion se bahar aa rahe hai aur Car ka door open kar ke khade hai, Phele Ek Old Man Black Hat me Car me aakar bethta hai, Hat ki wajha se Vani Old man ka Face nhi dekh pai. Tabhi piche se ek adami Ruhan ko Apni goadh me utha kar la raha hai, Ruhan Behosh hai, aur uske dono hatho me Bandage Bandhi hui hai. Vani ye dekh kr apne Muh pe Hath rakh leti hai aur khud ko rohte huye control karti hai. Behoshi me hi Ruhan ko Us Old man wali Car me bethaya jata hai.Ek ek Kr ke Sb car start hone lag jati hai.

" Ye Ladki Hato yahan se...Andar se Cars aa rahi hai.. Unhe rasta chaiye..." Guard gusse me Vani ka hath khich kr Gate ke bicho bich se side le kr jata hai.

Tabhi Gate open hota hai, ek ek kar ke sb car Mantion se jane lagti hai. Isi bich Grandpa ki nazar Vani pe padhti hai. jo unhi ki car ki aur dekh rahi hai, Tez barish me bhigti hui Vani ki ankhe ashu se bhari hai. Grandpa Kuch der us ladki ko dekhte hai, Car Aage badh jati hai. Vani Apne ap ko rok nahi pati aur car ke piche bhagne lagti hai.

"Ruhan...Ruhan..." Vani chillati hui rhe jati hai.

aur Car wahan se chali jati hai.

Yahi Ruhan Aboard chala jata hai Aur Dono Humesha ke liye bichad jate hai, 10 Sal bit chuke hai. Wo Phir kabhi nahi mile.

Present*

Vani ki soch khatam hoti hai, Vani khud ko rok nahi pati or muh chupa kar rohne lagti hai.

Next day,

In Airport,

Handsome, Dashing, attractive, Grey Long coat, with black paint and black Shirt phene ek Ladka (Ruhan) Hath me luggage liye, Exit karta hai.

Exit pe aate hi Driver, "Welcome back master... Laiye apna luggage mujhe de dijiye... " Driver.

"Hospital chalo...Mujhe Abhi isi waqt Grandpa se milna hai.... " Ruhan Apne Black Goggles utarte huye.

"Ok Master..." Driver

In Hospital,

Ruhan Grandpa se milne Hospital room me ata hai, Grandpa Beth kar Mannager se bate kar rahe hai.

"Grandpa.... aap kese hai?, Mujhe apki fiqar ho rahi thi..." Ruhan Aate hi Grandpa ke Gale lag jata hai.

"Are... Ruhan... haha... Hum Bikul thik hai...dekho Hum tumhare samne zinda hai..." Grandpa Ruhan se haste huye khete hai. Mannager ko ghurte huye,

"Tumhe Ruhan ko btana nahi chaiye tha...Dekho ab ye preshan ho raha hai"

Mannager Nazare churate huye idhr udhr dekhne lagta hai.

"Aap unhe kyun daat rahe hai, Apko kuch ho jata to mera kiya hota Grandpa....Dekhiye apke chot bhi lag hi gai hai na... Dekho head pe Hands pe dressing hui hui hai, Ap phir bhi yahi keh rahe hai, mujhe pata nhi hona chaiye?" Ruhan bhavuk hokar.

"Acha acha... humari fiqar mat karo, hume itni chote nahi aai hai, Aj hum discharge ho jayege... Tum thak gaye hoge, Ghar jao, Rest karo, Hum wahi aakar milte hai, phir aram se bat karte hai" Grandpa Ruhan se.

"Grandpa... " Ruhan gusse se

"Are jaao...Hume nind aai hai, hume sohna hai, wese bhi Hume Kafi dino baad Free time mila hai, Hume khul kr sohne do...Jao jao..." Grandpa Ruhan se keh kr ankhe bandh kr lete hai.

"Sir aap jaiye...Main yahan Sir ke sath hun" Manager Ruhan se.

"Thik hai... tum mujhe Grandpa ki condition Info. karte rhena, Agr koi bat hoti hai mujhe call karna" Mannager se keh kar Ruhan Grandpa se, "Main jaa raha hu... Apse ghar hi milta hu... Aap yahan rest kariye..." Ruhan Narazgi dikhate huye, Hospital room se bahar aa jata hai,

piche piche Ruhan ko bahar tak chodne Mannager bhi aa jata hai.

"Grandpa ke accident ke waqt sab kaha the?" Ruhan Gusse se mannager ko dekhte huye.

"S...sir.... Hume Bina bataye...Bina bodyguard ke... Normal dressup me bahar gaye the, Jab wo hospital me aaye, Accident ke bad hospital se call aaya tha, isly hum logo ko accident ke bad pata chala" Mannager Darte huye.

"Hmmm.... " Ruhan Mannager ko dekh kr aage jane lagta hai,

tabhi ek doctor Mannager ko dekh kar ruk jati hai, "Kiya wo ladki wapis aai?, Jo apke sir ko yaha le kar aai thi" Doctor mannager se.

"Ah...Nahi... wo to kal rat hi chali gai thi..."Mannager

"Oho.... Wo ladki bahut bahut achi thi....Usne apke sir ko time se hospital pahucha kar sabse phele hospital Fees submit ki, taki Tumhare Sir ke Treatment me der na ho jaye, apne bare me nahi soch kr usne Apke sir ko bachaya... Police se bhi wo nahi dari, aur pura pura Police ki investigation me sath diya...warna aj kal ke log kisi ki help karne se phele bahut bar sochte hai. Main usse ek bar zarur milna chahati thi..." Doctor khete huye wahan se chali jati hai.

Ruhan wahan khada hua sab sun leta hai, Mannager ki aur dekh kar.

"Kon thi wo ladki?, "Ruhan

"Sir wo ladki...Main us ladki ka naam bhul gaya hun...Han mere pas uski ek picture padi hai...ye lijiye" Mannager Hichkichate huye Vani ki picture Ruhan ko de deta hai.

Ruhan picture dekhta hai, Usme Vani sidhi khadi halki si side ki aur dekh rahi hai.

"Ye Picture? Mannager ke pas kyun hai? Shayd Ye pata karne ke liye Mannager ne investigation krwai hogi... Ki Grandpa ki Help kisne ki..." Ruhan Man me soch kr Picture apni pocket me rakh leta hai aur hospital ke exit gate ki taraf jaane lagta hai.

(Ruhan Vani ko pechan nahi saka, Kyun ki dono hi badhe hoker Badal chuke hai.)

Ruhan ko dekh kr sb nurse, Hospital me pagal ho rahi hai or uske charming face ki tareef kar rahi hai, Ruhan sbko ignore karke aage badhta hua jaa raha hai. Hospital se Exit le kr Ruhan Car me bethta hai aur hospital se chala jata hai.

Latest chapters

Related Books

Popular novel hashtag