Chereads / I can't Forget you, My Love / Chapter 10 - Chapter 9

Chapter 10 - Chapter 9

Wo din aa gya hai, jis din NextGen company me annual party hai, Iss din ki subha me, Vani ke ghar ka door knock hota hai, Vani door open karti hai, Samne Grandpa ka mannager hath me Bade bade boxes le kr khada hai.

"Hello, Main NextGen Ka Mannager hun, ye apke liye... Sir ne bheja hai, Company ki Annual party ke liye" Mannager Box dete huye.

"Thank you, Aap andar.....?"Vani boxes hath me le kr kehti hai.

"nahi nahi.... iski zarurat nahi hai... Abhi mujhe bahut se kam karne hai...to Party me milege... Aur han... ready rehna... Sham ko apko Driver pick up karne aayga, Ok Ma'am Bye... see you at night" Mannager keh kr chala jata hai.

Vani Parcel boxes le kr Door band krke andar chali jati hai.

In Night,

NextGen company ki Annual Party ek shandaar Banquet me rakhi gai hai, Entry gate ke bahar bahut sari media aai hui hai, Bade bade Guest party me aa rahe hai, Red carpet se hoker Banquet Party hall me aate ja rahe hai. Itne me Vani ki car wahan aakar rukti hai, Vani Car se utarti hai, Media aur sabhi guest Vani ko aur uski Khubsurat dress ko dekh rahe hai. Vani ne Red Gown pehna hai, red Heels sandal, Open hair, One side hair style.

Vani red carpet pe chal kr Party me entry krti hai.Sab Usi ki hi taraf dekh rahe hai, Vani sabko apni aur dekh kr sharmate huye aage badh rahi hai. Vani ki mom bhi usi ke sath chal rahi hai.

Idhar Banquet ki Gallery me khade hoker Ruhan hath me wine ka glass liye Hall me sab guest ko dekh rha hai, Sath hi Yug bhi wahi khada hai.

"Kiya dekh raha hai niche?" Yug Ruhan se.

"Kuch nahi... bas yese hi... Kisi ko dhundh raha hun"Ruhan Hall ki hi aur dekhte huye kehta hai, aur ek saas me wine pee jata hai. Pas rakhi Table pe Glass rakhta hai.

"Wo dekh..."Yug Ruhan se Vani ki aur Ungli dikhate huye kehta hai. Ruhan Vani ki aur dekhta hai "Kitni pretty hai, Yaar... " Yug kehta hai.

Ruhan ki nazar Vani pr hi tik jati hai, "Ye...Ye to wahi hai... jisne Grandpa ki help ki thi..." Ruhan Man me khud se kehta hai. Aur wahan se chala jata hai, Yug bhi usi ke piche piche chala jata hai.

Hall me Vani ko dekh ke Grandpa uski aur khushi se aate hai,

"Aao beta... Hume ap hi ka intezar tha... " Grandpa Vani se.

Vani aur uski mom Grandpa ko Greet karti hai.

"Hello..."

Grandpa apne sath Vani aur uski mom ko le jate hai.

Ruhan Room me couch pe betha hua hai, Uske mind me Vani ki 10sal phele ki memories chal rahi hai, Ruhan ko Kabhi Vani hasti hui dikhti hai,Kabhi ek side me bethi Window ke bahar dekhti hui dikhti hai,To kabhi Udas dikhati hai, Ruhan apna dhyan hatata hai.

"Main aaj bhi Vani ko kyun yaad kar raha hun?, aaj meri engagement Kisi aur ladki se ho jaygi...mujhe ye sb bhul jana chaiye"

Yug uske pas ata hai, "Tu yahan akela kyun betha hua hai?, Bahar chal kitni Sundar sundar Ladkiya aai hui hai,"

"Mood nahi hai... tu ja enjoy kar" Ruhan dusri aur muh karke bolta hai.

Tabhi Door knock hota hai, Aur awaz aati hai.

"Master, Apko Sir Hall me bula rahe hai.... "

"Ok jao.... main ata hun" Ruhan Kehta hua couch se uth jata hai.

Ruhan Hall ki aur jane lagta hai, jese jese Hall ke kareeb ata hai,Uski Heart beat tez ho jati hai.

Ek Adami aakar Ruhan ko apne sath aane ka ishara karta hai. Ruhan Ishara samjh kar uske piche chalne lagta hai. wo adami Ruhan ko Stage pe le jata hai, Wahan dekhta hai, Grandpa, Usi ladki ke sath stage pe khade hai. Ruhan Uss ladki ki aur hairani se dekh rha hai. tabhi Grandpa hath me Mike lete hai.

"Hello.... Everyone..... Attention please...." Grandpa ke kehte hi Hall ke sabhi guest Grandpa ki aur dekhne lagte hai.

Achanak Vani ki nazar Ruhan ki aur jati hai, jo usi ki aur dekh raha hai, Vani ne Ruhan ko 10sal bad dekha tha, Ruhan Vani ki nazar me badal chuka hai, Ruhan aur bhi handsome charming ho gaya hai, Vani ki nazar kuch pal Ruhan pe hi tik jati hai. Waqt Un dono ke liye Slow motion me ho gaya hai,

(Vani janti hai ki wo Ruhan hai, Ruhan Vani se anjan use Wahi ladki samjh raha hai, jisne uske grandpa ki jan bachai thi, Ruhan Vani ko Hairan kar dene wali nazar se isly dekh rha hai, Use shaq hai Grandpa uski engagement, Grandpa ki help karne wali ladki se karwa rahe hai)

"Hum NextGen company ki annual party me aap sabhi ko aane ka Sukhriya ada karte hai, NextGen company ne har saal jayda se jayda growth ki hai, Hum apne workers employees and Business partner ke ehsan-mand hai, Jo iss company ko aage le jane ke liye din aur raat mehnat karte hai," Grandpa ki speech sun kar Hall Claps Se gunajh uthta hai,

"Well.... Aaj ki shaam Humari Company NextGen ke nam hone ke sath sath, Ek aur chiz ke liye bhi Jani jaygi...." Grandpa ye keh kar Vani aur Ruhan ko paas aane ka ishara karte hai, Dono pas aa jate hai,

"Ye mera Grandson Ruhan hai, "Grandpa Ruhan ke Sholder pe hath rakhte huye,"Aur Ye Ruhan ki hone wali Mangetar..... Vani...." Grandpa Vani ke ser pe hath rakh kar,

Ruhan Jab Vani ka nam apne kano me sunta hai, Uski ankhe hairani se khuli reh jati hai, Ruhan Vani ki aur hairan kar dene wali nigah se dekhta hai.

"Va.... Vani.....?" Ruhan Ke ladkhdate Hotho se nikalta hai.

"Aaj In dono ki Engagement bhi hum isi sham me aap sabhi ke samne krege....Vani aur Ruhan... Bachpan ke Sathi hai.... Aur Aaj se ye dono ek ho jayge...."Grandpa keh kr apne Mannager ko ishara karte hai,

Mannager Grandpa ka ishara smjh kr hath me Rings ke box le ata hai aur Ruhan aur Vani ke aage karta hai. Ruhan Grandpa ki aur dekhta hai, Grandpa ishare se Ring uthane ko kehte hai, Ruhan Ring uthane ke liye hath dhire se aage karta hai aur ring hath me le leta hai,

"Vani beta...Apna Hath aage karo..."Grandpa Vani se kehta hai.

Vani Grandpa ki bat sun kr aage hath karti hai, Ruhan uski taraf chal kar ata hai,Vani ka hath apne hath me leta hai,Vani ka dil tez dhadakne laga hai, Ruhan Vani ko Bina dekhe uski hath ki aur dekhte huye apne hath se ring pehna deta hai. Sab guest Clap kar rahe hai, Phir Vani Ring leti hai aur Ruhan ko apne hath se ring pehna rahi hai, Ruhan apna muh pher ke khada hai. aur Vani Ruhan ko ring pehna deti hai, Ruhan Ring ko dekhta hai aur hath niche karke gheri saans leta hai.

"Congratulations..." Guests ki awaz claps ke sath pure hall me gunajh uthti hai. Aur Asman me Crackers (patake) Phut rahe hai.

Latest chapters

Related Books

Popular novel hashtag