Chereads / I can't Forget you, My Love / Chapter 7 - Chapter 6

Chapter 7 - Chapter 6

Ruhan Vani ke Old ghar ki aur jata hai, Uss ghar ka door ko knock krne se phele Ruhan Gheri saans leta hai, Phir door knock karta hai.

Door open hota hai, Ruhan ke samne koi anjan lady aati hai.

"Ji...? ap kon...?" Lady

"Ahm...Wo...Yaha... Ek ladki rheti thi... Jo Vani Nam ki thi..."Ruhan Hichkichate huye lady se.

"Maaf kriye yahan iss nam ki koi ladki nahi rheti" Lady ye keh kr door band kr deti hai

Ruhan Mayus sa wahan se nikal ata hai, Aur aas pas ke logo se puchta hai,

"Excuse me...Yahan Vani nam ki ladki raha karti thi, kiya aap jante hai...?wo iss time kaha rheti hai?" Ruhan kisi ajnabi lady se.

"Maaf karna Mujhe yahan aaye huye 5 saal ho chuke hai, per iss nam ki yahan koi ladki nhi dekhi..." Lady keh kr apne raste chali jati hai.

Ruhan ki nazar old shop pe jati hai, Jo wahan 10 sal phele bhi thi, Ruhan wahan jata hai. wahan ek Old man counter pr betha hua hai.

"Welcome...Sir...Ap kiya lena chahate hai?"Old man Ruhan ko dekh kar.

"Ahm...Sir...Main apse kuch puchna chahata hu" Ruhan

"Han zarur Pucho...beta..."Old man.

"10...sal...10 sal phele, Yahan ek Vani nam ki ladki rehti thi... uss samne wale ghar me... kiya aap jante hai?"Ruhan Mayusi sa face bna kar.

"Wahan?...Oh Han ek ladki rheti to thi...Bahut pyari thi... Sabki Help karti thi... "Old man khushi se Ruhan ko btata hai.

"Acha..Ap jante hai...Phir apko pta hai... ke ab wo kaha hai?" Ruhan khushi se halki smile kar ke.

"Hmm... Ye to nahi malum... Pr usne ghar 10 sal phele hi chod diya tha... or kha ja ke rehne lagi, main ye nahi janta" Old man sochte huye.

Ruhan Mayush ho jata hai. "Koi bat nahi, Apne itna btaya... apka bahut sukhriya..." Ruhan keh kr wahan se udas hoker chala jata hai. Old man use jata hua dekhta reh jata hai.

Evening,*

In 'The Blue pearl' Mantion,

Grandpa Mantion me aate hai, Mannager Sahara dete huye la rha hai, Ruhan ye dekh kr Grandpa ke pas ata hai, Aur unhe sahara de kar Grandpa ke room tk le ja kar Grandpa ko bed pe laita deta hai.

"Aram se Grandpa...Aram se letiye" Ruhan Grandpa ko Bed pe leta kr pillows side lgate huye.

"Hum thik hai...Hum thik hai" Grandpa.

Ruhan Grandpa ke side me beth jata hai.aur hath pakad kr kehta hai,"Grandpa... please apke bina mera koi nahi hai... aage se akele kahi nahi jana... "

"Don't be sad, My Son... Look at me....I am Too good... and healthy..." Grandpa smile karte huye.

"Yes,you are..." Ruhan Smile karta hai. "Grandpa Apne Aboard se yahan aane ka decision kyun liya?, Apne meri Study complete hone ka bhi time nhi liya aur ap Yahan shift ho gaye?"Ruhan

"Ab Hum Aboard reh kr thak chuke hai, Jitne din humare pas hai...Hum bache huye din yahi bitana chahate hai, pr hum nhi chahate the ki tum yahan aao" Grandpa Ruhan ke hatho pe apna hath rakh kr.

"Main iss bar apko akela nahi chodunga... jahan aap rahoge main bhi wahi rahunga "Ruhan zid kr k.

"Hmmm....Hum chahate tum sab buri yadon se dur raho..." Grandpa.

"Main iss bare me sochunga.... aap ab aram kijiye" Ruhan keh kr room se chala jata hai.

Next Day,

Ruhan apni car ek Restaurant ke bahar rokta hai, Car se utar kr Restaurant me jata hai, wahan bethi sab girls use dekhti hai. Ruhan ki nazare kisi ko dhundh rahi hai. Tabhi ek waitress aakar Ruhan se ,

"Hello sir, U can seat there... And May you want to give me some orders?, what do you want sir, Tea,Coffee...and Snacks? " Waitress

"Oh Nothing...Can you call your Restaurant owner?" Ruhan Waitress se.

"Ok Sir, Please Wait here" Waitress keh kr wahan se chali jati hai.

Restaurant Owner Ata hai, Ruhan Ko dekh kar , "Hello Sir, apne mujhe bulaya?" Owner hairani se

Ruhan Owner ko dekh kr smile karta hai, "Mujhe Pechana nahi?, Main hun Ruhan"

Ye sun ke Owner Khushi se Ruhan ke gale lag gya" Ruhaan.... kaha tha itne saal?, tujhe humari yaad nahi aai? tu to pura badal gaya hai, Phele bhi handsome tha, ab to aur handsome ho gya hai" Owner Khushi se Ruhan ke shoulder ko Thap-thapte huye.

"Tu bhi bahut handsome ho gya hai, YUG...." Ruhan Smile kar ke.

(Restaurants Owner ka nam Yug hai, Yug bhi Ruhan aur Vani ke sath unhi ke school me pdha karta tha aur Ruhan ka acha dost bhi tha)

Ruhan aur Yug dono ek table pe ja kr beth kar bate kar rahe hai.

"Acha ye bata Itne saal bad bhi tujhe kese pta main yahi milunga?" Yug Ruhan se hairani se puchta hai.

"Ahm... ye asan tha...Tune mujhe btaya tha ke ye Resturant... tere Dada ke jamane se chal raha hai, Itni asani se tu ise nhi chod sakta tha... Tune btaya tha...Future me tu apna Resturant hi sambhalega..." Ruhan

"Ohhhh.... ye bat hai.... acha tune Itne saal koi contact kyun nahi kiya, maine suna tu Aboard chala gya...wo bhi bina bataye aur bina mile..." Yug gussa karte huye Ruhan se.

"Iske liye, I am sorry.... Main emargency me gaya tha...phir mere pas tum logo ka koi contact number nahi tha... isly kabhi contact nahi kar saka..." Ruhan batate huye

"Chal thik hai... "Yug Man jata hai.

"Hmmm... Va...Vani... ka kuch pta hai... iss waqt wo kaha rehti hai?" Ruhan Hichkichate huye.

"Vani...?, Nahi.... usne tere jane ke bad hi kuch month me transfer le liya tha...Usko uske classmates ne bahut bully kiya tha... tere Alawa uska kon tha?, tu gaya wo bhi chali gai.."Yug udasi se.

"Kiya tu... pata kar sakta hai...? ki wo konse school me transfer hoker gai thi...?" Ruhan

"Han kar to sakta hu.... Waha meri classmate Abhi haal hi me teacher bani hai... shayad wo bata sake...ki wo konse school me transfer hui thi... tu ruk Main kal tk tujhe ye information deta hun" Yug chair se khade hoker.

Ruhan Khush ho jata hai. Yug aur Ruhaan mil kar bahut sari batein karte hai.

Latest chapters

Related Books

Popular novel hashtag