Chereads / I can't Forget you, My Love / Chapter 4 - Chapter 3

Chapter 4 - Chapter 3

Vani apne raste jaa rahi hoti hai, ki car break lagne ki awaz aati hai, Vani piche murd kr dekhti hai. bahut bhid ikhatta ho gai hai.

"are ye dekho kisi ka accident ho gaya hai" Bhid me se awaze aa rahi hai.

Vani jaa kar dekhti hai.Old man ka accident hua hai.Vani nahi janti wo Old man kon hai, old man ke ser se khoon beh rha hai, aur bahosh road pe padhe hai. log dekh rahe h lekin koi bhi Old man ki help ke liye aage nahi aa rha hai. Vani ye sab dekh kr jaldi se Old man ke pas jaa kr Apne scarf se Ser se nikalte blood ko rokti hai. aur bhid me sabko dekhti hui awaz lgati hai.

"Koi help karo.... Ambulance bulao... Inka bahut khoon beh raha hai. please...." Vani sbko Apni Mayus nazro se dekhti hai.

pr koi bhi Bhid me se responsibility nahi leta.Vani sbko Shocking Nazaro se dekhti hai. aur uth kar ek pas khadi Taxi ke pas jati hai.

"suniye sir, Please inka bahut khoon beh gya hai, Inhe hospital le jana bahut zaruri hai... " Vani taxi driver se.

"Madam, Hum le jane ko tyar hai, pr.... agr police ne humse puch-tach ki? hume apne sath police station le gaye ?" Driver

" yesa kuch nahi hoga, Main inn sab ki responsibility leti hu... bas aap please Inhe jaldi hospital le kar chaliye..."Vani

"Thik hai, Madam chaliye" Driver utar kr old man ko utha ke apni Taxi me back seat pe laita deta hai.

Vani jaldi se Taxi me beth kar Hospital le jati hai.

Hospital,

Old man Hospital bed pe behosh hai, Ser hath pe patti bandhi hui hai, Vani Doctor se bat kar rahi hai.

"Doctor, Ab Dada ji ki kiya condition hai? " Vani

"Ji Ye Ab thik hai, Lekin kiya ap inki Guardian hai?" Doctor

" Nahi Nahi.... Dada ji Ka accident ho gya tha... to bas mene unki help ki hai...Ap inke bare me pata kar ke Inke ghar walo se contact kariye... Nahi to aap mujhe contact kar sakti hai...Ye raha mera number" Vani Apna number doctor ko dete huye.

"Oh... iss dunia me ap jese log bahut kam hai, Koi bina kisi matlab ke kisi ki help nahi karta... Mujhe kuch pata lagta hai to Main apko zarur inform karungi"Doctor

"Sukhriya Doctor" Vani keh kr Ek bar Old Man se milne Room me jati hai.

Old Man behosh hai, Vani ye dekh kar wahi beth jati hai. der raat ho chuki hai, Vani ka mobile ring karta hai, Vani Mobile dekhti hai.

"Mom?" Call pick karti hai.

"Vani Kaha reh gai ho itni raat ho chuki hai...ghar kab aaogi?" Vani ki Mom

"Mom... Main aj Coffee shop me hi rukne wali hu... kyun ki, Aaj Over Night Work ho rha hai, Aur aaj Workers kam hai. isly owner ne mujhe rok liya hai... please aap preshan mat hona. main subha jaldi aa jaungi"Vani Call pe.

"Thik hai beta, Apna khayal rakhna, Time se khana kha lena ..." Vani ki Mom

"Jii mom Aap bhi" Vani keh kr Call end kar deti hai.

"tumhe...Apni Mom se... jhut... nahi bolna ... chaiye tha...." Grandpa Halki dabi awaz me.

Vani awaz sun ke Grandpa ki aur dekhti hai.Grandpa Apni ankho se Vani ki aur hi dekh rhe hai.

"Ap hosh me aa gaye... ek min rukiye Dada ji...main abhi doctor ko bulati hu...."Vani jaldi se uth kar.

"Ruko.... Main thik hu...unhe bulane ki zarurat nahi hai" Grandpa Vani ko rukte huye.

"Dada ji...Pr... " Vani puri bat nhi keh pati hai.

"Mujhe..... tumse..... bat karni hai...Tum... wahi ladki ho..... jo 10 sal phele... tez barish me.... The Blue pearl Mantion.... ke bahar khadi thi... Ruhan ki dost?" Grandpa Apni Halki dabi awaz me bolte hai.

Vani sunte hi shocked ho jati hai, aur hairani wali nazro se Grandpa ki aur dekh rahi hai. Tabhi room me ek nurse aa jati hai, Grandpa ko hosh me dekh kr jaldi se aakar unhe check karne lagti hai, Vani Bs Hairani se Grandpa ko dekh rhi hai, Grandpa Mushkurate huye Vani ki aur dekh rahe hai.

"BP Normal hai, Ab aap kesa feel kar rahe hai? " Nurse Grandpa se.

"Main bikul thik hun....Kiya aap.... Mere mannager ko contact kar sakti hai?" Grandpa

"Jii zarur... Ap number de dijiye..." Nurse

Grandpa Number btate hai. Nurse Use ek page pe likh kr le jati hai. Vani abhi bhi wahi khadi hai.

"Aap....mujhe.... kese jante hai?" Vani Hairani se puchti hai.

"Main... Ruhan ka... Grandfather hu..." Grandpa smile karte huye.

Vani sunte hi shocked ho jati hai.

"Ruhan..... Vani... nam ki ladki ka... mujhse Call pe bahut zikar karta tha...Main ye.. to janta tha... Koi Vani Nam ki ladki Ruhan ki dost hai... pr Main kabhi... Mil nahi saka...Kyunki Main uske bachapan me... Jayda Aboard me raha hun.... pr uss raat... tez baarish me... Tumhe dekh kar samjh gaya tha... Ke tum Vani ho.... " Grandpa Vani se.

Vani kuch keh nahi paa rahi thi, uske hoth Bs kap-kapa rahe the, jese uski koi chori pakdi gai ho.

"Mujhe Maaf karna... Ruhan ki Tabiyat Itni kharab ho gai thi...Mujhe use Yahan akele chodna Sahi nahi laga... Main use... apne sath... Aboard le gaya tha... "Grandpa.

"Jii...Dada ji... Main samjhti hun... " Vani Haklate huye kehti hai.

tabhi Grandpa ka mannager aa jata hai, aur room me aate hi Vani ko andhekha kar ke sidha Grandpa ke pas jaa kar.

"Aap kaha chale gaye the sir, humne apko kaha kaha nhi dhundha...ap yse bina bataye chale gaye dekhiye apke sath kiya hua?" Mannager Preshan hote huye.

"bas bas.... thik hai... thik hai....main bikul thik hu... mujhe Us ladki ne bchaaya hai... Isly main aaj Zinda hu... "Grandpa apne Finger Vani ki taraf ishara karte huye.

"Kon ladki?, Sir Yahan koi ladki nahi hai....aap kis ladki ki bat kar rahe hai?" Mannager pure room me idhr udhr dekhta hai.

"Yahi to thi...Kaha gai...?,Wo wahi ladki thi...Vani...Vani..." Grandpa Bhi room ke door pr dekhte huye khete hai.

"Koi bat nahi, Sir... ap rest kare... Ruhan sir bhi kal tak aa hi jayege..." Mannager.

"Ruhan....Ruhan ko kisne btaya?" Grandpa

"Sir, Wo.... Mene hi Ruhan sir ko preshan hote huye bata diya... Kyunki Apka Ruhan sir ke alawa koi nahi hai" Mannager Ser jhukate huye.

"Nalayak... Kahi ke... Tumse ek kam dhang se nahi hota" Grandpa Gussa karte huye.

Latest chapters

Related Books

Popular novel hashtag