" dikhnay main kesay hain.." Ek taraf us shakhs se nafrat bhi mehsoos ho rahi thi par doosri taraf ek tajassus bhi.
" pata nahi shehzadi , shehzaday ka chehra unkay turbun ke kapray se dhaka huwa hai..." Mehal ke baahar saltanat ke mehmaan'on ke istaqbaal ke kiye jama huway logo ki awazain Raawiya ke khuaab-gaah tak sunaayi de rahi thien...
Par ab bhi wo wahien bethi rahi , ek baar bhi uth ke bahar aatay mehman'on ko dekhnay ki himmat nahi ki thi.
" tum jo koyi bhi ho...bohat bari galti kardi yahan aa kar...!" Raawiya ne munmunaati Awaz main kaha.
Ek aisi Shezaadi jis ki har khuaahish uskay kuchh kehnay se pehlay hi poori kar di jaati hai... Par ab jawani main qadam rakhtay hi ....us say uski har khuaahish ki qurbaani ki ummeed ki jaaye to wo kya karay gi.
Raawiya..! Ek aisi shehzaadi jo jub is dunya main paida huwi ...to uskay kuchh lamho'n ke baad hi ek shezaday ke naam kar di gayi.
.......
Un logo ke liye jo taareekhi kahaniyan pasand kartay hain....aaj meray saath mil ke hum Taareekh ke kuchh panno ko khol ke dekhtay hain ...unhain dobara jee ke dekhtay hain. Urdu zabaan main.