Wo apnay kuchh saathiyi'n ke hamraah Maidaan main naye jung-jooh jo uski fauj main shaamil hona chahtay thay , unki talwaar baazi ka hunar aazma raha tha.
Aur tab ek pehre'daar ne aa kar usay uskay Baba aur Sultan ka paigaam sunaya tha, ke wo apnay shahi Darbaar main uska intzaar kar rahay hain.
Wo jaanta tha ke is waqt darbaar main uskay Baba ke saath sirf unkay kuchh wazeer aur salaah-kaar hi mojood hongay , kyunkay Asar ke waqt uskay Baba apnay salaah-kaaro'n ke saaath beth kar , kuchh zaroory maslo'n par gufta-goo(discuss) kartay thay , aur unsay raaye letay thay, haala ke aakhir main , wo amal humaisha apni tajweez(idea) par hi kartay .
Ali apnay dost Usman ko sipahiyo'n ki zinmay daari de kar khud wahan se uth kar lambay dug bharta darbaar ki taraf jaanay laga.
Darbaar ke daakhli darwazay par kharay sipahion ne adab main sar jhukanay ke baad ua kay liye darwaza khola.
Ali is waqt bina naqaab ke tha aur uska chehra apnay mehal ke makeeno'n ke liye zaahir tha.
Wo andar daakhil huwa aur seedha takht pe buruj'maan Sultan ki taraf barha.
"Assalaam o Alaikum Baba jaan" Ali ne Apnay baba ke haath ki pusht choomtay huway unhain salaamti ki dua di.
" wa Alaikum Assalaam meray Shair.." Sultan Jabaar bin Asad-ullah ne Ali ko salaam ka jawab detay huway fakhriya( proudly) andaz main kaha.
Apnay Baba ke baad Ali ne wahan mojood baaqi buzurgon ko bhi salaam kiya aur phir dobara apnay Baba se mukhatib huwa.
" Baba aap ne humain yaad kiya tha.."
" haan Ali...humain aap ko ek zaroori khabar deni thi, jesa ke aap jaantay hain ke do saal pehlay Jahan-gheer ne humari pesh-kash qabool kartay huway Apni dukhtar ko aap kay saath Mansoob kar diya tha"
ye keh kar wo thori dair rukay aur Ali ke chehray ki taraf dekhtay huway uskay taasur jaan'na chahay , par humaisha ki tarhaan shehzada Ali be-taassur( expression less) unki baat sun raha tha.
Sultan ne dobaara apni baat karna shuroo ki." Hum to usi saal aap ka nikaah kar dena chahtay thay..par Aalam-gheer ki khuahish ke tehat hum ne aap ka nikah do saal ke liye multavi( postpone) kar diya. "
Ab bhi Shehzada Ali usi tarhaan khaamosh khara sunta raha , jesay Sultan uskay nahi par kisi aur ke nikah ka zikr kar raha ho.
Shehzaday Ali ka ye be-taassur chehra ek sultan ke liye to baa'as e fakhar tha , par ek baap ke liye baa'as e fikar.
Us haadsay ke baad jis main Sultan ki doosri biwi ne is jalan main ke Kal uska beta nahi par Ali takht nasheen hoga , bud-neeyati karkay Ali ko aag ki bhatti main phainknay ka munsooba banaya . par uski kaneez ko jub is ka ilm huwa usnay waqt rehtay Sultan ko us shaitaan sift aurat ke mansoobay se aagah kar diya.
Usdin Sultan ne Ali ki jaan to bacha li thi par unhain Aanay main thori dair ho gayi thi. kyunkay us din Us Aurat ki jalan ne Shehzaday ke chehray par humaisha apna nishan chhor diya tha.
Sultan ne usay zindaan main zindagi bhar ke liye qaid to kar diya tha.
par taish main unka dil wahien uska sar qalam karnay ko chah raha tha. Lekin wo apnay dost ki waajh se aisa nahien kar paaye , jis ki wo ek loti behn thi.
Usdin Shehzaday Ali ki jaan to bach gayi par wo apna bachpan kho betha, us din ke baad Ali bohat badal gaya tha.
Kuchh umar barhi to Ali ne apni poori zindagi maidan e jung aur talwaar aur teer andaazi seekhnay main waqf kar di.
wo saal ke Aath mahinay mehal se bahar jung ke maidano'n main guzaarta , aur jo waqt yahan mehal main hota wo bhi apnay sipahio'n ke beechh guzaar deta. Jub uskay doosray bhaai mehal ki deewaaron main guzaar detay.
Us waqt ko yaad kartay Sultan ka dil bojhal ho gaya tha, unho'n ne saamnay kharay , Shehzaday ki taraf dekha jo abhi unki Baat mukammal honay ka intzaar kar raha tha.
" par ab us din ko do saal guzar chukay hain , aur hum ne Aalam-gheer ko paigaam bhijwa diya hai ke hum do mahinay baad nikaah ke liye unki saltanat main aana chahtay hain. .." Suktaan ne Apni baat mukaam ki , aur Ali ke kisi bhi jawaab ka intzaar kiya , lekin jub Ali hunooz khamoshi se unkay kisi bhi hukum ka intzaar kartanraha to Sultan ne khud hi us se uski raaye jaanni chaahi.
"Ali...! Kya aapmko kuchh nhaien kehna is ke mutalliq..?"
"Nahien Baba.. jesi aapki khua'hish Hogi wahi hoga..." Ali jaanta tha ke uskay Baba us se kya jaan'na chahtay thay , par such to ye tha ke ye nikah uskay liye sirf itni ahmiyat rakhta hai ke , ye uskay Baba ki khuahish hai. Bus! is se zyada aur kuchh nahien.
Is nikaah ke mutalliq Wo apni zaat main kuchh bhi khaas mehsoos nahi karta.
Do saal pehlay us maidan main jub usnay Shezaadi Raawiya ko ek nazar dekha tha, tub uskay dil ne is baat ki tasdeeq zaroor ki thi , ke jitna shehzaadi Raawiyah ki khoobsurti ke mutallq suna tha, Uski khoobsurati yaqeenan un taareefo'n se bhi barh kar thi. Par is se zyada usnay kuchh mehsoos nahi kiya .
" theek hai phir...ab aap ja saktain hain Ali, hum aap ko zyada dair tak nahi rokain ge. Yaqeenan aap ko aur bhi kaam hongay.."
Sultan ke ye kehnay par Shehzaday Ali salaam ke baad wahan se chalay aaye.
Par is baar Mehal main jungi mashkon ke liye banay maidan ke bajaye wo Astabal ki taraf jaanay laga.
Wahan se apnay ghoray burraak , pe sawaar ho kar wo Mehal ke aqabi darwazay (Main gate) se bahar nikal Aaya.
Saamnay mojood aabaadi se hat kar wo pahari ilaaqay ki taraf taizi se barhnay laga.
Is taiz raftaari se hawaa uskay chehray ko chootay uskay shanay tak aatay baalo'n ko urati nikal rahi thi.
Uska dimaag kayi saalo'n pehlay us waqt main guum tha jub wo 11 baras ka ek chhota larka tha , aur wo sub apnay dost Aalam-gheer ki saltanat main uskay naam ki gayi nanhi si pari ko dekhnay gaye thay.
usay tab is sub ka ilm nahi tha ke wo sub kyun is chhoti si nazuk si dikhnay waali gurya ko Ali ki Raawiya keh rahay thay.
Kya wo uskay liye aayi thi??
par wo us pari ko dekh kar bohat khush ho gaya tha, aur apnay dost Sultan se zid kar kay Usnay us pari ko apni goad main bhi liya tha.
Sultan Aalam-gheer jisay wo bachpan main dost kaha karta tha, itnay saal baad jub Ali ne unhain us Maidan e jung main dekha , to tab itnay saal baad usay apna bachpan yaad aaya tha.
Par doosray hi pal uski nazar Sultan ki taraf talwaar uthaye dushman ko dekha to , Ali ne bina ek pal bhi dair kiye , apna teer us dushman ki gardan main pewast kar diya tha.
apni soch main dooba huwa wo ghoray ko bunjar zameen pe sar-pat doraata raha. Usay mehal se niklay huway bohat dair ho gayi thi.
Aur phir jub uski nazar maghrib main ghroob hotay suraj pari tab usay azaan e maghrib kay waqt ka andaaza huwa. Lekin wapas mehal ya daarul-saltanat(capital city) ki bari masjid jaanay ke bajaye , wo wahien ruk kar apnay mashkeezay se wuzoo karnay ke baad usnay apni chaadar bichha kar namaaz e maghrib adaa ki.
Jub wo namaz se faarigh huwa to wapas mehal jaanay ke liye ghoray par sawaar ho kar mehal ka rukh kiya.
Par is baar wo apnay daarul-saltanat ki bazaaro'n se guzarnay lagaa. Lekin humaisha ki tarhaan usnay Apna chehra turban ke kapray se dhaanp diya tha. Taakay koyi uskay is roop ko na dekh sakay.
Jub bazaaro'n main mojood logo'n ne shezaday ko wahan se guzarta dekha to , apnay shezaday ka naam letay usay duain denay lagay.
Wo apni saltanat main apnay baaqi bhaaiyo'n se zyada Mohabbat paanay waala khush-naseeb samjha jaata tha.
Shehzada Ali unkay ke liye ek qilay ki Maanind tha , jo baahar se pathar to tha, par apni isi mazbooti se apnay ander rehnay waalon ki hifazat karta hai.
Wo kitna bhi sakht paish aata , uskay log us se aur mohabbat kartay.
Do mahinay ke baad jub wo sultan ke takht par bethay ga , to Ali un sultano'n main shumaar hoga jo na sirf takht o taj , par uskay logo'n ke dilo'n par hukumat karay ga. ek asal sultan ki tarhaan.
Wo mehal ke darwazay se andar daakhil hota astabal ki taraf barha. Aur Wahan ghoray se utar kar Ali ne wahan kharay ek larkay ke haath se saib le kar buraak ko khilaya aur uskay kandhay ko apnay haath se sehlanay laga.
Wo abhi wahien khara tha ke peechhay se ek chhoti bachi ke ronay ki awaz par usnay peechhay mur kar dekha.
Saamnay ek teen ya chaar saal ki bachi ro rahi thi aur uskay saamnay ghutno'n ke bal betha sipahi us bachi se kuchh keh raha tha.
Wo ghoray ki lagaam us larkay ko de kar us bachi aur sipahi ki taraf aaya.
" kya ho raha hai yahan.."
Shezaday Ali ki awaz par us bachi aur sipahi, dono ne chonk kar Uski taraf dekha. Wahan kharay baaqi soahi'on ki tawajja bhi usi taraf ho gayi thi.
" shehzaday..." jub us sipahi ne Shehzaday Ali ko apnay saamnay khara dekha to wo uth kar apnay pairo'n pe khara ho gaya aur sar jhukaatay huway kaha.
" ye bachi kon hai..?" Ali ne us roti bachi ki taraf ishara kartay sipahi se poochha.
" shezaday..pata nahi main bhi yehi is se poochh raha tha par ye sirf roye ja rahi hai.." Shehzaday Ali ka saara dhiyaan apnay ooper dekh kar us sipahi ki saans atki huwi thi.
Ali ne chaha ke wahan se chala jaaye par us chhoti si bachi ke Aansoo usay aisa karnay se rok gaye thay. Wo na-chaara us bachi ke saamnay ek ghutnay par beth gaya.
wahan mojood sub sipahi aur mehal ke nokar Aankhain phaaray herat se ye manzar dekh rahay thay.
" aap kon ho .. Aur kyun ro rahi ho.!?." Us ne koshish karkay apni awaz main narmi paida ki.
" Ammi ....mm-mujhay Ammi ke paas jaana hai..." Ye keh kar wo daharay maar maar kar aur rona shuroo ho gayi thi.
" aur aapki Ammi kahan hain..?."
" wahan..." Us bachi ne mehal ki taraf ishara kartay huway bataya. Shezaday ne andaza laga liya ke wo zaroor mehal ki kisi kaneez ki beti hogi. Aur usay apni goad main utha kar mehal ki taraf barha.
Apnay Shehzaday ko us bachi ko apni gaod main letay dekh wahan kharay jitnay bhi log thay sub ke chehro'n par muskurahat bikhar gayi thi.
Wo us bachi ko goad main liye mehal ke shumaali hissay ki taraf barhnay laga jahan kaneezo'n ke rehnay ka intzaam tha.
" aap ka naam kya hai...?" Shehzaday Ali ne uska dhiyaan bhatkaanay ke liye us se baat karna shuroo ki.
" kulsoom..." Us ne apni maasoom si awaz main bataya.
" ye to bohat pyara naam hai..." Ali ne uskay gaalo'n se aansoo ponchtay huway kaha.
" kulsoom meri bachi..kahan thi tum!!!.." Saamnay se ek Aurat dorti huwi unkay paas aayi aur Kulsoom ko Ali ki goad se letay huway apnay seenay se laga liya.
" Ammi..." Jub us Aurat ki nazar saamnay kharay shezaday par pari to wo yakdam jesay hosh main aayi.
" shehzaday ..! mujhay maaf kar dain.." Us Aurat ne ek dum se apni nazrain jhukaatay huway maafi maangi.
" koi baat nahi... Aap apni beti ka khayaal rakha karain..." Ali ne us Aurat ko keh kar Kulsoom ke sar par haath phaira. Aur kulsoom jo thori dair pehlay ro rahi thi ab apni ammi se mil kar muskura rahi thi.
Wo apni ammi ki goad se utar kar shezaday Ali ke aagay khari ho gayi aur Ali ki ungli ko kheenchtay huway Ali ko neechay bethnay ko kaha.
" kulsoom aisa nahi kartay.." Us Aurat ne kulsoom ko daantay huway kaha par Ali ne usay haath ke isharay se khamosh kar diya. Aur khud ek ghutnay ke bal Kulsoom ke aagay beth gaya.
Aur jesay hi wo betha Kulsoom uskay galay ke gird baazu lapait kar uskay seenay se lag gayi.
Ek pal ke liye kulsoom ne Ali ko shashdar (Astonish) honay par majboor kar diya. Par doosray hi pal naqaab ke peechhay uskay honto'n pe halki muskurahat phail gayi thi , Aur Ali ne bhi uskay gird apna baazu lapait diya.
Par jesay hi kulsoom apnay haath hata kar Ali se alag huwi to uskay haath lagnay se Ali ke cheray par jo kapra tha , wo hat gaya.
Aur jesay hi Kulsoom ki nazar Ali ke chehray par pari , wo ek dum se cheekhtay huway us se door hati aur apni ammi se lipat gayi. Aur rona shuroo ho gayi.
" Ammi..!! "
Kulsoom ki Aankho'n main wo dar dekh kar Shehzaday ke dil ko jesay aag ne apni lapait main le liya . Wo be ikhtyaar un se do qadam peechhay hat gaya.
" shezaday maaf kar dain .." Wo Aurat kulsoom ke rotay wajood ko khud se liptaaye huway kaanpti awaaz main bol rahi thi.
Lekin Ali bina kuchh sunay wahan se mura aur lambay dug bharta huwa apni khuaab- gaah ki taraf barhnay laga.
Ye pehli baar nahi tha jahan uskay chehray ki wajah se us kay wajood ki tazleel huwi ho. Aisay waaqie uski zindagi main kayi baar ho chukay thay.
Par aaj pehli baar uska dil ek thais mehsoos kar rha tha , aaj pehli baar uska dil apnay chehray ko lekar kisi ke radde-amal (reaction) ke baaray main sochnay par majboor ho gaya tha.
Shehzadi Raawiya ...!!
Wo kya karay gi jub wo Ali ko pehli baar dekhay gi..?
*****vote and comment *****
Assalaam o Alaikum 😊😊
To kesa laga aaj ka ye chapter
Aur aap ko kya lagta hai Raawiya ka kya reaction hoga jub wo pehli baar Ali ko dekhay gi.
Apni raaye se zaroor aagaah karain😊