Chereads / It’s mine, you liarrrrrrr / Chapter 2 - Chapter 1

Chapter 2 - Chapter 1

Har taraf maut ki si khamoshi thi..., ek mahinay pehlay jo zameen khait khaliyan se sar sabz o shadaab thi , ab insaani naasho'n aur un kay tukro'n se behtay khoon ka darya bani huwi thi.

Aasmaan main mundlaatay gidh apni khuraak ka intzaar kar rahay thay. Ke kab wo in zameen pe pari naasho'n ko kha sakain ge.

Mashriq se chalti garam hawa apnay saath gard aur khoon ki mehak saath la rahi thi.

Ek mahinay main sultan Aalam-gheer bin haaris ki 3000 ki fauj ab 1500 tak reh gayi hai....par wo haar nahi maan saktay, wo apni Zameen apni re'aaya , jis ki hifazat ka wo zimmaidaar hai usay is zaalim ke hawalay nahi kar saktay.

Unkay saamnay mojood ye fauj na sirf unkay khoon ki pyasi hai, par is Zameen ko murda karnay ki bhi khuahish mund hai. Jis ki wajah se unhain jung jesay kathin faislay par amal karna para.

Saamnay ek koas ke faaslay tak , chaar hazaar sipahiyo'n ke aqab main mojood ghur'sawaar dushman'n ki fauj ka sarbarah , Abdul-Nasser bin barr , wehshiyana muskurahat liye apni fatah ki khushi main choor dikhaayi de raha tha, usay poora yaqeen tha ke ab kuchh hi dair main wo is saltanat ka sultan keh'leaanay waala hai.

" ab bhi waqt hai Aalam-gheer bin Haris !!! Apna sar jhuka lo ...aur haar maan lo....!!!! Warna aur khoon kharaba hoga....!!!"

Wo bohat faat'haana jurrat se bulund Aawaaz main keh raha tha , aur phir apni baat keh kar wo buland qeh'qahay lagata. Jisay dekh Jahan-gheer , uska chhota bhaai aur sipahsalaar(commander) ne apni nangi talwaar ko mazbooti se thaamay , apnay ghoray ko aagay barhana chaha tha , par Sultan Aalam'gheer ke sirf haath utha kar roknay se wo ruk gaye thay.

Aalam-gheer jaantay thay ke unka chhota bhaai aagay barh kar us na-muraad ka sar qalam (behead) kar denay ka irada rakhta hai , par is ke liye usay akelay senkro'n teero'n ka muqabla karna hoga , jo uskay gardan main pewast hongay.

Wo nazar ghuma kar mashriq ( east) ki taraf dekhta , dil main apnay Rub se madad ki dua maangnay lagta, par har baar na umeed hokar wahan se nazar hata kar phir saamnay dushman ki fauj ko dekhta. Par ek baar bhi apnay cheray pe dar ya paraishani ki shikan na aanay deta, ke uski poori fauj ab sirf uskay hoslay ke bal par qaaim hai.

Wo Maut se nahi darta , Maut to Bar'haq (indeed) hai , aur apno'n ko bachaatay huway shahaadat to har musalmaan ki khush-naseebi hai..., par Agar aaj wo ye sub haar gaya , to uskay baad ye jaanwar kya haal karay ga unki re'aaya (people) ke saath...unki maa behno'n ke saath,....aur unki lakht e jigar , unki bachi, Raawiya ke saath... Ye soch bhi uskay rug-o-pai main aag bhar gayi thi.

Nahi !!!.. Wo haar nahi maan sakta...!! Wo apni reaaya ke liye , apni bachi ke liye , aakhri saans tak laray ga...aakhri saans tak!!

" Allah o Akbar!!!....." Unho'n ne apnay Parwar-digaar ke naam ke saath , apnay talwaar thaamay haath ko hawaa main bulund kiya aur apnay ghoray ki kamaan ko jhatka de kar aagay taiz raftaari se barhnay lagay.

Aur unki jaa'n nisaar faoj jo kab se apnay sultan ke isi isharay ka intzaar kar rahi thi , wo bhi Allah o Akbar ki sadaa ke saath talwaarain lehraatay huway dushman ki taraf barhnay lagay.

Wo jaanta tha ke wo huq par hai aur uska khuda uski zaroor madad karay ga...uska khuda usay be-sahara nahi karay ga kyunkay wo subkay dil ka haal jaanta hai, wo jaanta hai ke ye sultan aaj agar talwaar utha raha hai to kis niyat se utha raha hai, is liye usay apnay Rub ki madad par poora bharosa tha.

Dono haatho'n main talwaarain thaamay wo kisi shair ki tarhaan aagay barh rahay thay , saamnay aata har sipaahi uski talwaar se chhoota do hissay hota zameen-bos ho raha tha.

Wo baaz ki nazar se saamnay us bud-niyyat Haakim Abdul-nasser ko dekhta Aagay barh raha tha par uskay saamnay na khatam honay waalay sipaahi chalay aa rahay thay.

Har taraf talwaro'n ke takraanay , ghoro'n ki taapo'n aur cheekh o pukaar ki awaazain thien, aur khoon ki mehak saanso'n main is tarhan samaa chuki thi ke ab hawaa ka hissa lag rahi thi.

" bhaai!!!" Jahaan-gheer ki is pukaar par sultan ne yak lakht gardan ghuma kar daa'nyi taraf dekha to usi pal ek naiza hawa ko cheerta huwa unkay chehray se thora faaslay se guzarta huwa nikal gaya.

Ye sub jung ka hissa tha aur is liye wo Khuda ka shukar ada kartay huway phir se dushman'n ke daant khattay karnay lagay.

Unkay kayi sipaahi shahadat nosh kar chukay thay aur baaqi jo baaqi thay wo usi bahaduri aur shuja'at ke saath lar rahay thay.

Wo jaantay thay ke unki taadaat bohat kam hai , aur unkay dushmano'n ki un se dugni taadaad main hain , par wo phir bhi haar nahi maan saktay . Bilkul nahi , jub daao pe itna sub kuch laga ho.

Saamnay apnay sipahiyo'n main ghiraa Abdul-Nasser zor daar qehqahay lagaata huwa baar baar unhain unki haar ka yaqeen dila raha tha , aur saath hi wo buland awaz main bata raha tha ke is sub ke baad wo kesay uskay logo'n aur unki maa behno'n ko apnay haram main londay londiyo'n ke tor par rakhay ga. Kesay unhain aziyaton main mubtlaa karay ga.

Aur ye sub sun Sultan ka dil us khabees ke tuqray tuqray karnay ko bechain ho raha tha, ek sipahi ka sar tan se juda kartay huway unhon ne nazar ghuma kar jung ke maidan ko dekha jaha'n unhain apnay sipaahi haartay dikhaayi de rahay thay.

Unhon ne apna khoon se lat pat chehra aasmaan ki taraf uthaya.

" Ya Allah apnay ghulaam ki madad farma.." Unho'n ne aankhain bund karkay halki awaz main kaha..wo abhi usi tarhaan sar Aasmaan ki taraf kiyay huway thay ke unhain apni taraf barhti ghoray ki awaaz sunaayi di.

Unhon ne aankhain khol kar saamnay dekha.

Saamnay bus kuchh hi lumhon ke faaslay se talwaar unki gardan ki taraf barh rahi thi....waqt jesay ruk sa gaya tha....daayien taraf se aati Jaha'n-gheer ki pukaar....unki paishani se girta khoon ka qatra, sub unhain ek nehayat dheemi raftaar main hota mehsoos ho raha tha.

Aur phir jub unkay dil ne apna ye anjaam qabool kar liya tha to Mashriq ki taraf se zurraatay daar awaz ke saath aata teer us hamla'awar ki gardan ko cheerta doosri taraf se zaahar huwa tha. aur usi ke saath Sultan ki tarf barhti talwaar bhi uskay maalik ke saath ghoray se gir kar zameen main mil gayi thi.

Maidaanay jung main jesay khaamoshi chhaa gayi thi...sub ki nazrain mashriq ki taraf uthi thien....Sultan ne bhi jub Mashriq ki taraf nazar uthayi to saamnay teen chaar koas ke faaslay par dhool uratay hazaaro'n ki taadaat main Ghur'sawaar unki taraf barh rahay thay.

Aur subsay aagay, Aala nasal ke kaalay ghoray par ghur-sawaar jis ka chehra uskay turban ke kapray se dhaka huwa tha, haatho'n main teer kamaan thaamay huway wo sub se zyada taiz raftaar main unki taraf barh raha tha.

Ye manzar sub ko apni saansain roknay par majboor kar gaya tha. Kyunkay sub jaantay thay ke ab kya honay waala hai.

ye wahi hai jis ne Sultan ki jaan bachaayi hai...

Aur itnay faaslay se itna durust nishana is khittay main sirf ek shaks hi laga sakta hai...

"Shehzada Ali bin Jabbar...!!"