Jub jungle main shair daakhil hota hai ..to baqi sub jaanwar apni jaan ki hifazat ke liye wahaan se bhaagnay lagtay hain.
Muhammad Ali bin jabbar, wahi shair tha jiski mojoodgi se dushmun ke paseenay chhoot jatay thay, aur us ki zulfiqaar(sword) ki dhaar se wo apnay hawaas kho beth'tay thay.
Aajj jub Sultan ki nazar mashriq ki simt se aati umeed ki us lo par gayi , ek pal ke liye unki palko'n ne Apnay rab ke huzoor shukranay ka sajdaah kiya tha, aur be ikhtyaar unki zabaan Allah o Akbar ka wird karnay lagi.
Kyunkay kisi maidaan main Muhammad Ali bin jabbar ki mojoodgi hi uski fataah ka saboot hoti hai. Allah ne Uski zulfiqaar ko humaisha fataah ataa ki thi.
Aaj bhi jub wo apnay jungjoo(war fighters) sipaahiyo'n ke saath is maidaan main aaya , to saamnay kuchh dair pehlay apni fataah ke josh main doobtay ,madhosh hotay Abdul-Nasser ab apni haar ko dekh kar har'barahat ka shikaar hokay apnay Muhaafiz e tan (bodyguards) ke peechhy panaah leta nazar aa raha tha.
Sultan Aalam-gheer ko apnay dushman ki is buzdili se zara si bhi herat nahi huwi, wo apni buzdili aur ayaash tabiat ke liye is pooray khittay main badnaam sultan ke tor patr jaana jaata tha, aur aaj jo dolat aur mazboot faoj ke bal par wo doosri riyasato'n par hukumat ka khuahish-mund tha , wo sub uskay naik waalid ki badolat thi.
Shezada Ali bari mahaarat aur hunar se apni talwaar se dushmano'n ki taadaat kam kartay huway Sultan ke saamnay se hotay huway Abdul-nasser ki taraf barhnay laga.
Uskay baraabar main do teer andaz jo saamnay faaslay par
taai-naat dushman teer-andazo'n se apnay shehzaday ki hifazat kar rahay thay.
. Aur jis mahaarat se wo talwaar chalaata aagay barh raha tha, koyi uski talwaar ke aagay do lamhay se zyada ruk nahi paa raha tha.
Shezaday ko dekh kar Sultan ki zabaan se" Subhaan Allah " ke lafz ataa huway thay. Talwaar ki ye mahaarat unhon ne pehlay kisi aur main nahien dekhi.
Charo'n taraf dushman sipahio'n ki cheekho pukaar phail gayi thi, aur saara manzar thori dair pehlay ke manzar se qatayi tabdeel ho kar reh gaya tha.
" humain yaqeen nahi hota ke wo aa gaye..!" Jahaan-gheer ki Awaz par Sultan ne uski taraf dekha.
" mujhay yaqeen tha , meray kehnay par wo apnay jungjoo zaroor bhaije ga...par Shehzada Ali....? Mujhay itni khush fehmi nahien thi." Sultan ke chehray par narm muskurahat thi aur nazar ab saamnay Apnay ghoray pe sawaar shezaday par , jo ab bhi kisi na ruknay waalay shair ki tarhaan aagay barh raha tha.
" wo ab bhi aap ko apna dost samajhtay hain..aur shehzaday ki yahaan mojoodgi is baat ka saboot hai.." Jahaan-gheer ke chehray par bhi ab muskurahat thi , usnay apnay kamar se bundhay partla se mashkeeza( water bag) nikaal kar Sultan ki taraf barhaaya.
" bhaai Paani pee lejiye.." Sultan ne Jahan-gheer ki taraf dekh kar muskuratay huway inkaar main sar hilaya aur saamnay apnay zakhmi aur nidhaal sipaahoyo'n ki taraf dekha , jo furaasaan jungjoo sipahiyo'n ke humraah fataah ki taraf barh rahay thay.
" nahien jahaan-gheer...tub tak nahi, jub tak meray sipahiyo'n ka galaa khushk rahay ga. ek baar wo sub paani pee lain to main bhi pee loon ga. "
Ye keh kar wo rukay nahi aur apnay ghoray ko Shehzaday ki taraf bhagaanay lagay , jahan ab Sirf shehzada aur Abdul-nasser apnay mahaafizo'n ke saath khara tha.
" shehzaday Ali..!!" Jub tak sultan wahan pohanchay tab tak Shehzaday Ali ki talwaar Abdul-nasser ke muhafizo'n ke khoon se bhi rung chuki thi .
Aur wo shaitan sift insaan ghutno'n ke bal betha shezaday ke saamnay apni zindagi ki bheek maang raha tha.., jo thori dair pehlay sultan ke khaandaan ko apnay haram main londay londiyo'n ke tor par rakhnay ki baat kar raha tha.
Aaj Sultaan apnay khuda ka mojza apni ankhon se dekh uski wehdaaniyat aur rehmat ki apni har saans se gawaahi de raha tha.
be-shak wahi khuda hai aur sirf usi ke qabzay main hai ke wo jisay chahay izzat de, aur jisay chahay zillat de. (WATO IZZO MAN TASHA, WATO ZILLO MAN TASHA)
Sultan ki Awaz par shezaday Ali ne apni zulfiqaar Abdul Nasser ki gardan se hataatay huway apna rukh Sultan ki jaanib mortay huway unhain salaam kiya aur sultan ke haath ki pusht choomtay huway unko izzat di.
" baba ke hukum ke mutabiq ,aapka dushman aap kay saamnay hai Sultan.."