Ajib si hain uski baatein
Kbhi hansati hain kabhi rulati hain
Wo neele samandar mai balkhati lahron si hai
Jisse bhi raah mai milti hai
apne sath le jati hai
Bhor ke suraj si h uski hansi
Mere Dil ke har kone ko Roshan kr deti hai
Wo uski julfon ka hawa mai lahraan
Koi mayajaal sa lagta hai
Wo uska sharmaa ke fir muskurana
Mujhe behaal kar jata hai
Lankhon raaz chupe hain
Uski titli si chanchal aankhon mai
Dil chahta hai kho jaun uski
Kajal si surkh nigahon mai
Gulab se komal honth hai uske
Or hontho ka wo kaal til
Dil krta guzurun uski gali se har baar
Kya pta kis raah mai wo jaaye mil
Saanjh ke suraj si uski
Maathe ki bindiya lagti hai
Jhil-mil jhil-mil sitaaron si
Kaano ki baali chamakti hai
Bachon si hai jidd uski
Har jidd mai ek khwahish hai
Uski baaton mai khokar
Duniya se ladd Jaane ki gunzaaish hai
Wo jab jab ghar se nikalti hai
Mausm badalne lagta hai
Baarish ki budon ka bhi sayad
usko chunne ka dil krta hai
Roop rang khub paya h usne
Par usse bhi khubsurat hai uska dil
Khilkhila kr jab hans deti hai wo
Toh mil jaati hai har dil ko manzil