Chereads / Hindi poetry / Chapter 4 - Childhood

Chapter 4 - Childhood

Wo lamhe kuch bachpan ke

Jab khaali haathon mai bhi khushiyan

Bhari rhti thi

Pairon mai jute nahi pankh hua krte the

Jab aankho pe koi chasma nhi

Bas ek chamak hua krti thi

Bs whi samay yaad aata h

Jab hum baaton ke kacche

or dil k sache hua krte the

Wo jo shaam hote hi ghar lautne ki bajaye

Ghar se bahar niklte the

Khelna na aata tha bhale hi

Par khudko kya sachin se kam samjhte the

Wo 2 rupee ki ice cream k liye jab

Maa ke pairon se lipta krte the

Jab 1 rupee ki toffe se hum naacha gaya krte the

Bas whi samay yaad aata h

jab hum sach mai khush hua krte the

Subah subah jab basta lekar school

Ko jaya krte the

Jab phli ghnti sunte hi hum tiffin uthaya krte the

Burger pizza nahi

maa ki hath ki roti se jab bhukh mitaya krte the

Do nivaale khud khaakar jab oron ko khilaya krte the

Bas whi samay yaad aata h

Jab matlbi nhi riste sachhe hua krte the

Latest chapters

Related Books

Popular novel hashtag