Chereads / Hindi poetry / Chapter 5 - LAUT AANA TUM

Chapter 5 - LAUT AANA TUM

Chal pdte hain kadam roz hi

Ek nyi manzil ki talaash mai

Gumsum h chehre yhaan

Khamosh har ek awaj hai

Kyun chup ho tum is kadar

Kisiki tumhein talaash hai

Jab kabhi fir dil kre toh zra muskurana tum

Thak jao jo chlte chlte

Toh fir laut aana tum

Dhundh rhi ho khusiyan jahan

Gam k saaye na ho whaan

Jis raah pe tum chl pdi

Khuda ka noor chlke bas whaan

Dua meri rab se mannt puri ho teri

Chaahe roun mai har ghadi

Bas khawahish puri ho teri

Chahat ki aash mai Khud se dur na ho jana tum

Yaad aaye gar fir kabhi

Toh laut aana tum

Dekh lena har zre ko

Har kona tum khoj aana

Palat dena har panna kitab ka

Har mehfil ko tum talaash aana

Jo mile na fir bhi tumhein

Toh ek nigah piche daal jana

Jo khusiyan ho talash rhi

Kya pta beete kal mai ho

Jin baahhon mai khona chaa rhi

Kya ptaa wo tumhari aas mai ho

Jab mehsoos ho jaaye tumhe

Isq humara bepanah

Jab lage ki talashne ko ab nhi kuch rah gya

Jab lautne ke liye machne ye dil lge

Toh laut aana tum

Related Books

Popular novel hashtag