Chereads / Hindi poetry / Chapter 3 - MELODY

Chapter 3 - MELODY

Isq ki ibbadat yun toh roj hi kiya krte the

Madham barsat mai sharart yun toh roj hi kiya krte the

Par wo lamha hi khushnaseeb tha

Ya wo pal hi haseen tha

Jab najrein mili unse

Wo samaa hi kitana behtareen tha

Wo khwab se meri jindagi mei aakr

mere sab gam mita gyi

Andhayari si jindagi mai

wo khusiyon ke deep jala gyi

Khamosh safar uske sath se khilkhilahat se bhar gya

Berang si meri jindagi ka har samaa rangeen ho gya

Wo uska hasna khilkhilana

Bina ruke bedhadk bolte chle jana

Pass aana meri baahon mai

Or fir chupke se gayab ho jana

Alahad apni adaaon se mere masoom dil ko tadpana

Aata khub tha use hume madhosh kr jana

Ab dur kahin wo chli gyi hai

Bas yaadein iss dil mai ab rah gyi hain

Par ab bhi jab yaad aati hai

Iss dil ki dhadkan tham jaati hai

Na hosh rahta h kuch bhi

Na koi talab rah jaati

Bas uski yaad mai ye aankhein nam si ho jaati h

Latest chapters

Related Books

Popular novel hashtag