Chapter 6 - Out of coma

Phir achanak mom ki nazar meri taraf padi, meri aankhein khuli thi . Mom ne ek lamhe ko mujhe dekha phir shayad mom ko apni nazro par bharosa naheen aya isliye wo dubaara se dad aur doctor ki taraf dekhne lageen .

Phir dubara se mom ne meri taraf dekha . kuch der tak dekhti hi raheen . Mom ne ansooon poche . Mjuhe laga ab muskurayengi .

Par aesa naheen hua ! ,balki Mom jo already ro rahee theen , ab aur tez-tez rone lageen . Aesa lag raha tha ki mom ne aansoon isliye pochein ho, ki aur aansoon baha sakein .Dad ne socha shayad doctor ki kahee gayi pichli baat(merciful killing wali baat) ki wajah se zayda rone lagee ho, isliye unki taraf zayda dhyaan nahi diya .

Par Achanak se mom rote rote zameen par gir gayeen , unko girta dekh dad aur nurse dono ne unko sambhalne ki koshish ki , par mom roti hi raheen aur rote rote takreeban 5 ya 10 minute baad unhone hath ka ishara kiya jisko dekhte hue , sabki nazar jab mujh par padi , aur dekha ki meri ankh khuli hui hai.

Tab pahle kisi ne kuch naheen react kiya , charo taraf khamoshi barpa thi siwaye mom ke rone ki awaaz aur mere room mein maujood heart monitor ( dil wali machine ) ki awaaz ke , jo ki ab kaafi tez-tez bolne lagi thi.

Kareeb adhe ya ek minute ke baad , doctor ne badee tezi ke saath kaha ..

Doctor - Sister bring the emergency kit and call for help . do it fast !! quick !! .

( nurse emergency ka saman lao aur help ke liye aur logon ko bulao , zaldi karo !! phata-phat !!)

NURSE-- yes yes ! doctor .

Nurse thoda hadbadate hue " daud ke mere pass aayi aur mere side par ek switch thi usko fauran dabaya , aur tab kayi saari awaaze gujne lagi ( ye shayad emergency alarm tha ) . Mere side pe rakhe drawer wale table ke drawer ko jaldi jaldi kholne lagi aur usme se kayi saare samaan nikalne lagi .