Chapter 8 - Challenge to Medical Field

Dad doctor ki taraf mude aur kaha kii.........….

.................................…..

DAD—sir ab koi khatra to naheen na hai , will he be alright?

DOCTOR – sir lagta to aesa hi hai .

DAD-- what do you mean by "lagta to aesa hi hai "! Ain't you a doctor ??! ( kya aap doctor naheen hai ??) saaf saaf batayein .

DOCTOR --relax sir relax !

Apke bacche ka coma se bahar aana hi ek mauj-zai(miracle ) se kam naheen hai . Aur do saaal se ye ek jagah se hila naheen hai aur coma mein tha to kuch na kuch to complications(pareshaani) hongi hi. But sir hum apni taraf se poori ki poori koshish karenge (we will try our best !)

DAD- thank you doctor and sorry apne pichle behaviour ke liye.

DOCTOR – no no sir ! its okay ! main samjh sakta hoon.

Phir dad ne mom se kaha ki , I think doctor sahee kah rahe hain hume use araam karne dena chaiye . Jab 4 ya 5 baar mom ke kano mein dad ki awaaz sunai di tab mom thoda bahut hosh mein ayeein aur mujhe apni pakad se dheela kiya , par mom ke to ansoon rukne ke naam hi naheen le rahe the .

Phir kaese bhi karke mom mujhse alag hueen par mom ki nazar meri hi taraf thi . Mom mujhe dekhkar muskura to rahee theen , par unke ankhon mein abhi tak ansoon the .

Phir meri nazar dad ki taraf gayi , aur maine dekha ki wo kaheen phone kar rahe the . Maine andaza lagaya ki shayad ghar par kar rahe hon .

Hum kulmila kar 3 bhai bahan hai , 2 bahne aur main akela aur hamare saath hamare grandparents bhi rahtein hain . To ghar mein total 7 log maujood the ( 3 hum bhai bahan + mummy + daddy+ dada(grand father)+dadi( grand mother) }

Waqt abhi kiyunki subah ka tha , aur Sunday bhi naheen tha . Dad ka call jab ghar pahucha to meri ek sister ne phone uthaya . Uswaqt dono bahne school jane ki tayyari kar rahi theen . Par jab unhein meri condition ka pata chala to wo dono bhagi-bhagi jitna zaldi ho sakta tha wo hospital aa gayeen . Mere dada( grand father) bhi ab tak hospital aa chuke the . Dadi ko kiyunki knee poblem hai , isliye shayad wo naheen aayi .

Dono sisters aate hi rote-rote mere gale mil gayeen . Main unhe kahna chahta tha ki chalo kam se kam tum dono ko school na jaane ka ek bahana to mil gaya haha . Par maine socha abhi mazak karne ka waqt naheen hai , isliye main khamosh hi raha.

Dada(grandfather) joki ab tak jo doctor aur dad se baat kar rahe the , wo ab mere kareeb aaye aur meri bahno se kaha .. accha chalo ab apne bhai ko araam karne do . phir dada mere sir par haath pherte hue kaha ki .. how are you beta ?

Aur inhi sab mein pura ka pura din nikal gaya . Doctors ko jitni jaanch karni thi wo kar chuke the aur jitne samples ( jaese ki blood , stool , urine .etc etc.. ) unko lene the unhone collect kar liye the aur laboratory mein bhej bhi chuke the .

Kuch reports aa chuki theen aur kuch abhi aani baki theen par ab tak jitni report aayi theen unme se jayada tar reports normol thii .

Par jo normal naheen theen wo kharaab bhi naheen thii .

Lekin ye zaroor tha ki in reports ne ek baar phir se medical field ko challenge kiya tha . "Jaese ki nature ne hamesha kiya hai "

Wo reports kya thii ......................... "TO BE CONTINUED "