Itne mein doctor mere kareeb pahuch chuke the , aur mujhse kayi tarike ka sawaal kar raha the , jaese main kahan hoon , waqt kya ho raha hai , main kaesa mahsoos kar raha hoon etc etc.
Aur peeche se dad baar baar doctor se puch rahe the ki sir kya hua ? kya hua ? aur mom sirf ro rahee theen . Doctor bina kisi sawaal ka jawaab diye mujhse sawaal kiye jaaa raha tha aur jaldi jaldi kabhi thermometer se meree jism(body) ka temprature , to kabhi B.P ki machine se mera blood pressure , to kabhi heart monitor (dil wali machine ) se mere heart ki gatiwidhiyon par dhyaan rakhe hue the , to kabhi oxygen cylinder ko check karte , to kabhi aala(stethoscope) se meri saans ki jaanch karte etc etc…
Isi beech kayi aur doctor aur nurses room mein aa gayee the aur sab ke chahre se unki hairaangi saaf saaf jhalak rahi thi ! .
Main kuch kahne ki koshish to kar raha tha , par jaesa ki main bata chuka hoon ki meri awaaz tez naheen thi . Isliye doctor mere kareeb aake sawaal poochne lage , tab maine unhe jitna ho sakta tha utna jawaab diya . Phir unhone poocha , mujhe koi taqleef to naheen ho rahee hai?.
Maine unhein dheere se jawaab diya ki taqleef to naheen par mujhe headache (sir ka dird) aur kamzori bahut lag rahi hai aur maine unhe ye bhi bataya ki kaese main apne paero aaur haathon ko hilane ki koshish kar raha hon par usme kamyaab naheen ho raha .
Ye sunte hi doctor thoda muskuraye aur kaha ki bade din se tum bed par ho na isiliye . Isi beech doctor tamam jaanch ,jo wo karna chahte the unhone kar li . Aur phir doctor mere dad aur mom ki taraf mude aur kaha ki "Thank God ! this is miracle ! (ye ek chamatkaar hai ) , apka baccha coma se bahar aa gaya hai aur sahee salamat hai " .
Mom ne jab ye suna jo ki already ro rahee thee , ab aur tez rone lagi . akhir roe bhi kiyun na ?! … pahli baat mom ek aurat ( auratein jaldi roteen hain ) , dusree baat mom ek mom hai ( maa ke dil ke bare mein appko maloom hi hai ) aur teesree baat unka baccha 2 saal se coma mein tha !! . isliye rona to banta tha .
Dad kiyunki mard the aur mere dad aam taur par kaafi serious nature ke the , (mujhe lagta hai ki mere khud serious rahne ki adat maine unhi se adapt ki thi ) to unhone iss baat ki bharpoor koshish ki , ki wo na royein . Par kabtak na rote !? akhir the to father hi 1 , wo bhi ro pade aur kaafi acche se roe .
Tab docotor ne mom aur dad se kaha ki aap apne bacche se baat kar saktein hain . Tabtak Mom thoda sambhal chuki theen . Mom fauran mere pass aa gayeen aur mere chahre ko dono hathon se pakad kar sahlane lageen aur mere mathe (forehead) par ek kiss diya aur rote rote ladkhadati awaaz mein kahne lageen…
MOM-- " mera baccha , kahan chala gaya tha ,kitna rulaya tumne , shuqr hai RABB ne meri dua qabool kar li aur na jane kya kya …. " . Mom ki jayada tar baat to mujhe samjh hi naheen aa rahi thi , shayad rone ki wajah se baat saaf saaf naheen kar paa rahee theen . Mom ne mujhe aese gale lagaya tha mano main abhi abhi paeda hua hoon aur maa mujhe pahli baar dekh rahee ho , aur mujhe zamane bharr se chupa rahee ho , ki kahee kisi ki nazar mujh par na pad jaye .
Dad ko kewal ek jagah mili mujhe chune ko aur wo tha mera sir , to dad mere sir ko sahlate hue kahne lage …
DAD--how are you beta ? how are you feeling ? koi pareshaani to naheen ho rahi ? dekho tumhari maa kitni pareshaan ho gayee theen , tumhari dono behnein tumhe yaad kar-karke kitna roti theen ! etc etc.
Roe to dad bhi the , aur wo bhi kaafi zaayda ! . Maine iss baat ka andaza iss baat se lagaya ki unke aankhon ke irdh girdh dark circles bane hue the , joke wahan pahle naheen the . Par kiyunki , main dad ke nature ko already jaanta tha , to maine ye bhi andaaza laga liya tha ki dad zayda tar raat mein hi roye honge taaki unko koi rota dekh na le , iske do wajah thi .. pahli ki dad ek mard the to pride tha aur dusra jo ki sabse badi wajah thi ki agar dad toot jate to phir maa aur bahno ko kaun sambhalta .
Kareeb 4 ya 5 minute ke baad doctor ne dad se kaha ki sir ab aap patient ko araam karnein dein baaki ki baadt app dheere dheere kar lijiyega .
Dad doctor ki taraf mude, aur kaha kii….