CHAPTER # 18
PAST:
"Shah Or Khan mil jayein na tou inko kisi cheez ka hosh hi ni rehta . Mein janta hu tum dono ki yaari boht pakki hy , Magar esi bhi kiya ky apny teesry dost ko hi Bhool Gaye . "
Mustafa ny call par Hussain shah or Asghar Khan ko gila diya tha .
" Haan dosti tou pakki hy hamari , Jaan Jo basti hy meri khan mein . "
Hussain shah ny bola tha jis par asghar muskuraya tha .
" Keo aj kiya hy esa Jo tumhein hamari dosti sy masla ho raha hy ."
Asghar ny mazak kiya tha keo ky woh boht achy sy janty thy ky aj unky teesry dost ki shaadi hy .
" Aj Mera janaza hy asal mein , isi liye call kr raha hu ky time sy ponch jana ."
Mustafa ny tanz kiya tha.
Jis par un dono ki hansi nikal gai thi .
Asghar or Mustafa dono second cousins thy lekin jigree yar thy .Or isi wajah sy Hussain shah ny Bhi sath jana tha , or woh kab sy in ka intizar kar raha tha . Keo ky inho ny waqt sy pehly Ana ka bola tha.
" Aa Rey hain yar pareshan na ho , teri chahe shaadi ho rai hy lekin Teri shakal akhri baar hi dekhni hy keo ky usky bad ap apni biwi ky qadmon mein hi milein gy ."
Yeh Hussain shah thy , jinhon ny unki tang kheenchi thi .
Or ab woh call par bat krty krty enter hue thy . Asghar ko andar enter hoty hi zanana side sy kisi ny bula liya tha or Ab hussain shah ko akela agy jany ka kaha tha , Hussain shah ko Mustafa ky room ka ni pata tha lekin woh usy surprise dena chahta tha isi liye Asghar sy pooch kar Ja raha tha , Jab bat krty krty woh ik side ko Mura tou samne sy any wali larkii sy zor daar takraya tha or ab woh ab tawazan barkarar na rakhty hue girny hi waali thi ky hussain shah ny usko bazu sy pakara tha or woh kheenchti chali hussain shah ky seene sy lagi thi.
Jab Hussain shah khud jaldi sy unko chor kar dur ho giya tha . Wahan woh do akele thy , jab unko qadmon ki awaaz sunai di , tou us larkii ny jaldi sy hussain shah ko udr sath hi kamre mein dhika dy kr kamra band kr diya.
" Rabia , kab sy mein tujy dhoond rahi hun . Jaldi aa sab intizar kr Rey hain ."
" G Ami aa rai hun."
Andr kamre mein khare Hussain shah ky lambo sy beawaaz nikla tha .
" Oooo Tou Apka Nam Rabia khan hy."
Jis par unki muchon ky neeche anaabi lab muskuraye thy .
Jab Rabia ki Ami gai tou usny jaldi sy darwaza khola tha .
" Bewakoof na ho tou , Tumhary peechy aj mujy maar par jani thi, Pagal ."
Woh Hussain shah ko mukhtalif alkabaat sy nawaaz chuki thin .
" Par mene tou apko girny sy bachaya hy na ."
" Han Han shukriya apny meri jaan bachai , mein saari zindagi ap ka ehsan ni bhulu gi . Ab bataiye apki khidmat mein kiya kry yeh bandi nacheez ."
Rabia khan ny overacting krty hue kaha tha , jis par Hussain shah ki hansi nikal gai thi . Or apny alfaaz mu mein dohraty hue Rabia Bhi sharminda ho gai thi .
" Mere liye ap bas itna karein ky mujy Mustafa ka room bata dein , Mein dost hun uska . Hussain Shah."
Hussain shah ny akhir mein apny bary mein batyaa tha .
" Yahan sy right par doosra room hy ."
Unho ny Bhi jaldi sy batyaa or wahan sy nikalti chali gain.
Jab ky un do ankhon ny boht dur tak uska peecha kiya tha .
: " Time mil giya ap mosuf ko , Yaad aa gai apko meri ."
Hussain jese hi enter hua tha room mein woh usko surprise dena chahta tha lekin usky clon ki khushbu sy Mustafa ny bagher mury pehchaan liya tha yeh Hussain shah hy or ab woh na jane kon kon si gali sy usko nawaaz raha tha jab peeche sy ASGHAR Bhi Hussain par hansta hua room mein aya tha lekin ab shift asghar ki lag chuki thi or hansny Ki baari Hussain shah ki thi .
Isi tarah sy Hans hans kar hi tou dostian paki hoti hain .
Yeh khati meethi nok jhok hi tou dosti ka maza deti Hain .
Jab yadein kahin peeche dafan ho jati hain magar jazbaat ka jab ik jhonkaa chalta hy tou sardion ki sham mein chai ka cup hath mein liye khoe hue bethy hum phir sy kahin dur peeche nikal jaty hain .Ky khud ky wapis aany par shaq hony lagta hy