Chereads / Atish-e-Dillagi / Chapter 4 - Atish-e- Dillagi

Chapter 4 - Atish-e- Dillagi

CHAPTER 4

" Mama ap ko yeh sir par chot kese lagi " 

7 sala waleed Jo abhi school sy parh kr Wapis aya tha ky apni maa ky sir PR pati bandhi dekh kr woh pareshan hota un sy poochny laga.

" Kuch Bhi ni mere pyary bete , Bas serion sy gir gai thi is liye thori si chot lag gai ." 

Yeh bolty hue Rabia khan ki ankhon mein nami jhalki ,jis ko woh bari maharat sy chupa gain.

Lekin unky hoshiar bete ki nazron sy woh chup na Saki .

" Aj baba aye thy kia " 

Waleed ny bara hosla kr ky sawaal poocha .

Jis PR Rabia ny apny jigar ko apny dill sy laga liya keo ky woh apni dard sy chur ankhein apny bete ky samne nai Krna chah rahi thin .

Isi hasti ka to nam maa hy Jo apni aulaad ka har dard apny anchal mein chupa kr rkh leti hy 

Lekin apna koi dukh apni aulaad ky samne bhi nai any deti .

Mayein Bhi boht saadi hoti hain , zakhmon sy chur muskurati Hui .

Shaid inko pata hi ni hota ky dard mein takleef mein roya jata hy , hansa ni jata . 

Jese abhi Rabia khan ny apny bete ko seene sy dur krty uska matha chuma tha .

" Mama mein itna Chota Bhi ni hun ky jab ap Royein to apko apny kandhy sy laga kar chup na Karwa saku . Mujy tou ap apna sahara manti hain na ." 

Kabhi kabhi bachy Bhi esi batein kar jaty hain jis ki umeed humein apny kisi mazboot sathi sy hoti hy

Lekin Rabia khan ka ik hi mazboot sahara tha , or woh tha unka iklota beta 

" Waleed " 

" Ni mere bete mein Bilkul theek hun , ap pareshan na ho " .

" Mama ap jab Bhi sad feel karein mujy zarur bataya karein , 

Hum phir ice cream khany jaya karein gy " 

Waleed ny apny choty Choty hath apni maa ky chehre ky ird gird rakhty hue kaha .

Rabia khan ko ice cream boht pasand thi , aksar yeh maa beta ice cream khany jaya krty thy .

Rabia khan ka yeh sun kar jese seron khoon barha tha , unko apny bete PR boht fakhar tha , woh hamesha yhi kehti thin ky Mera beta ik din boht bara admi bany ga . 

Woh waleed sy aksar wada liya krti thin ky tum logo Ki hifazat kro gy.

Jis PR waleed muskura ka sir asbaat mein hila kr kehta ky 

" Mama mein sab sy pehly apko protect kru ga or jab bara ho jau ga tou hum yahan sy hamesha ky liye chaly jayein gy " .

Jis PR rabia khan bs muskura Deti thin .

Waleed Ahmad khanzada , Asghar Khan or Rabia khan ka iklota beta tha .

Asghar khan Rabia khan ky chachazad thy .

Rabia ky waleden ki ik accident mein death ho gai thi , jis ki wajah sy Rabia ky dada ny rabia or asghar ki nisbat ty kr di thi .

Or baron ki nisbat ko manty hue Rabia ki shadi Bhi Asghar sy hui thi.

Shuru mein to sab theek raha lekin ahista ahista in ka Rishta kharab hota chala gia .

Jo jayedad Rabia khan ky waleden ki thi ,uski woh ikloti waris thin . rabia ky waleden ny jaidad usky nam krdi thi.

Or yhi wajah thi Asghar khan ki Rabia Khan sy Shaadi ki .

Jab unho ny Rabia khan sy jaidad ka mutalba kia tou unho ny mana kr diya , jis ki wajah sy woh unko mara Bhi krty thy or nafrat ka izhar kia krty thy .

Jis ki wajah sy waleed ko dunya mein lany ky liye kafi mushkilat ain .

Rabia ko laga ky shaid olaad ko dwkh kr unka dil naram par jyega , Lekin unki nafrat to barhti hi chali gai .

Rabia ny apny bete ko har takleef sy bacha kr rkha .

Talukaat apas mein khrb hony ki wajah sy Asghar khan ghar Bhi boht kam aya krta tha .or jab Bhi ata to aa kr Rabia ko marta tha .

Yeh zindagi ki 8 saal boht mushkil sy guzary thy Rabia ny , wo Bhi sirf apny bete ky liye ky uski zindagi kharab na ho , or uska mustaqbil Acha guzry .

Asghar ko malum bhi ni para tha or unho ny apni sari jaidad apny bete ky nam kr di thi .