Chereads / Atish-e-Dillagi / Chapter 6 - Atish-e- Dillagi

Chapter 6 - Atish-e- Dillagi

CHAPTER #06

Ik din Waleed school sy ghar aya tou apni maa ki abtar hoti halat dekh dar kr unki taraf bhaga Jo samne farash PR giri hui thin .

Waleed ny bhaag kr unka sir apni god mein rakha tha .

" Mama please apni aankhein kholein mama please mujy Btayein yeh kis ny kiya mama " .

Waleed ky musalsal ankhon sy ansu abshar ki tarah beh Rey thy Jo uski maa ky chehry ko bhigo rahy thy .

Rabia khan jin ky peechy ik dunya fida thi unko aj koi is halat mein dekh leta to yaqeen na krta ky yeh wohi Rabia Khan hain jin ko apny zamany mein sab Pari kehty thy keo ky yeh is qadar haseen thi .

Lekin aj zindagi ny unko is mor par LA khara kiya tha ky woh sansein mushkil sy leh rahi thin . 

" Beta tum yah-an sy bha--ag jao , tum-hara Baap woh ach-a ins-an ni hy woh tum-hein Bhi ma-aar dega . " 

" Bas ALLAH par yaq-een rakh-na or yah-an sy door bha-ag jana " .

Yeh kehty kehty Rabia ki sans tham chuki thi or sath sath waleed ky ansu Bhi , ab uski ankhon mein gham ky sath sath gussy ny bhi jagah ly li thi . 

Or achanak peechy sy darwaza khulny ki awaaaz ai thi , jis PR waleed ny apni maa ka sir neechy rakha tha or apni maa ka kaha manty hue bahir ki taraf bhaga tha . usky baap ny Bhi usko dekh liya tha or usko pakarny ky liye bhaga tha

Lekin waleed aankhein band kr ky bas bhaga Ja ra tha usko apny wujood sy nafrat ho rai thi ky woh is qabil ni hy ky is shaqs ko mar de Jo bas rishty mein is ka baap lagta hy . Or waleed ny khud sy ehd liya tha ky woh apni maa ka badla zarur ly ga jab wo kuch ban jaye ga .

Waleed apny baap ko kahin peeche chor aya tha lekin phir Bhi woh bhaag raha tha keo ky uska dil dard sy phata Ja raha tha .

Uski ankhon ky samne bas apni maa ka chehra lehra rahaa tha or woh mukamal apni aankhein band kiye bhaag raha tha , jab achanak samne sy any wali gari ky sath takra gia tha . 

Or uski aankhein band ho rai thi ky jab usko ik shaqs ny utha kr apni gari mein litaya tha

 " Mujy zinda rehna hy , Take log meri wajah sy zinda reh sakein " Waleed ny apni larkhrati awaaz ky sath bs yhi bola tha or woh behosh ho gia tha .

Waleed ny ankhein kholi tou khud ko hospital ky bed PR paya.

Apni maa ko yad kr ky dil mein thees si uthi thi. Or ik Ansu toot kr sir ki pati mein beh gia tha .

Waleed ny uthny ki koshish ki , lekin Hussain shah ny usko dobara leta diya or shafqat sy usky sir PR hath phera .

" Beta tumhary ghar Waly kidhr hain , Hum un sy taky rabta kr Sakein humein unky Bary mein batao ." 

Waleed ik achy ghr sy tha , jis ky huliye sy bhi Hussain Sahb ko esa hi laga tha . 

Lekin unko is bat sy herangi Hui thi ky waleed ky Kapron PR pehly sy khoon laga hua tha . 

Waleed bas taktaki bandhy Hussain sahb ko dekhi Ja raha tha , unky chehre sy hi unky ikhlaas ka andaza hojata tha . 

Keo ky woh boht pyaar krny waly or intahai naram mizaj thy .

Waleed ny himat ki bolny ki lekin bs yhi bol skaa . 

" Mera koi nai hy is dunya mein ." 

Hussain Sahb ko andaza ho gia tha ky woh kisi sadmein sy guzra hy or doctors ka Bhi yhi kehna tha . 

Hussain sahb ny Bhi smjhny Waly andaaz mein sir hilaya tha or phir waleed ko discharge kr ky apny sath gari mein bithaya tha .

" Ap mujy mar den gy ? " 

Ik masoomana sawal waleed ki taraf sy aya tha jis par Hussain shah ka ik dilkash qehqa gari mein gunja thaa . 

" Aryyy barkhurdar tumhein mein shakal sy esa dikhta hun ." 

Waleed to unky qehqy mein kahin kho sa gia tha .

" Mere baba Bhi Esi ni dikhty thy " .

Usny mu mein bat ki lekin uski barbarahat ko Hussain sahb bakhoobi sun chuky thy . lekin khamosh rhy .

Usky bad hussain sahb waleed ko liye ik waseeh bangly mein dakhil hue .

Yeh unka banaya gia orphanage home tha .

Jis mein har umar ky bachy thy Jo abhi Quran parh kr uthy hi thy ky Hussain Sahb ko ata dekh sab bhaag kr unki taraf barhy thy or bari bari galy lagany lagy thy.

Yeh dekh kr waleed ko Bhi herangi Hui thi ky koi itna acha kese ho Sakta hy .

: Usky bad woh waleed ko liye ik kamre mein aye thy jahan kafi umar ky log thy . tab waleed ko maloom para k yeh sirf ik orphanage home ni hy balky or Bhi boht kuch hy .

Woh puri jagah ik shandar ghr ki tarah sajai gai thi .

Hussain sahb ny usko ik kamra dikhaya or usko bola ky aj sy woh yhi PR rahy ga or jis bat PR waleed foran man gia tha keo k usky pas or koi rasta ni tha . 

Waleed ka chehra Hussain sahb ko apny kisi janne waly ki tarah laga tha tou unko boht takleef si dill mein Hui thi lekin foran sy woh chehra jhatka Gaye thy . 

Waleed wahan PR aram sy lekin chup chup rehny laga tha .

Woh school Bhi jana shuru ho gia tha lekin Hussain sahb boht ehtiat sy usko khud chorty or lete thy .

Hussain Sahb bhi kafi preshan thy keo k waleed kisi sy bat ni krta tha .

Lekin phir Gray ankhon wali apny sy 5 sall choti guriya sy uski mulaqat Hui .Jo waleed ko kisi asman sy utri pari lagi thi .

Jo hussain shah ka hath thame choti sy farok mein ahista ahista qadam leti Chal rhi thi or na jany waleed ky dill ko woh boht pyaari lgi thi