Khamoshiyon ke is Daur Mein
Dil Hi Dil Mein Ghut Rahe Hain Ham
Kitni galatfahmiyan badh Gai
Rishto mein Waqt ke sath sath
Ktni Dooriyan agai Hamare beach
Jinse kal Tak baat karne ke
Bahane dhundhe the ham
Aaj Unse Itni narajagi
Itni Dooriyan Aakhir Kyon
Tum to Mujhe Bahut acche se
Samajhte the Na
Meri baaton ko meri Khamoshi ko
To Fir Aaj Tumhen Kyon Nahin
Samajh aa Raha ki
Kitni Shikayate hain Tumse
Kitni Naharajgi aur Kitna Gussa Hai Tumse
Ek Bar bhi nahin poochha na Tumne
Ki kis baat se taklif pahunchi hai tumhen
Man to Aaj hi bahut karta hai
Tujhse bahut sari baten karne ka
Magar Kya Karen
Tum ab Apne se nahin lagte
Fikar to Aaj Bhi utni hi hai Jitni pahle thi
Bas ab jikar karne ka Haq Kho Diya Humne