Chereads / Pari dixit Poetry❤ / Chapter 4 - Agar Mil Jao Kabhi

Chapter 4 - Agar Mil Jao Kabhi

Agar Mil Jao Kabhi Kisi Mod per

To tum humse najre Chura lena

Purani Mohabbat Hai Janab

Agar fir se ubhari to Kayamat Hogi

Maine Suna Tha bahut Khaas hote hain

Woh Rishte Shuru Jo Dosti se Hote Hain

Tune to Dosti Tak Ka Khyal na Kiya

Bola tha tune Kabhi mat chhodana

yah hath .

Ham Ek dusre ki Kismat Mein Na Sahi

Per Dil Mein To Hai Na

Jab man Hota tha Tera

Tab to tu Baat Karta Tha

Jo Nahin Rah sakta tha

Mujhse Bina baat kiye Ek Pal

Yad Hai Mujhe Woh Sab Kuchh

Tere Sath bitaye woh Lamhe

Tera Pyar Jo itni jaldi khatam ho gaya

Yad hai Tujhe Sari Sari Raat jagta tha

Tu sirf mujhse baat karne ke liye

Kyunki Main gussa ho jaati thi Tujhse

To Sari Sari Raat nahi sota tha Tu

Itni jaldi Sab khatam ho gaya

Kash phir se wo din Wapas jaate

Haan mana Waqt Nahin Aata Kabhi Laut Ke Bahut pyar kiya tha Tujhse

Teri Inhi aadaton Se Pyar hua tha mujhe

Bina Dekhe pyaar kiya tha Tujhe Maine

Kitni bar bola tha Dekhna Hai Tujhe

Magar Tu Har Bar naya Bahana banaa deta tha .

Tu Hi bolata Tha Na ki Pyar Dil Se Hota Hai Chehre se nahin

Mujhe to tere dil se hua tha pyar

Jo Aaj Tak Kam Nahin hua

Aur jyada ho gaya mujhe

Aur Sayad tune pyaar kiya tha

Mere chahere Se itni jaldi jo Pura Ho Gaya Bewafa To nikale Tum per Tujhse Nafrat Na Hui

Bahut Ajeeb Sa Rishta ho gaya tha Tumse

Koi Tere Siva achaa hi nahi lagta tha

Bahut Logon Ko taklif di thi maine

Sirf Tere Liye per Tu Bhi To Mera Na Hua