Chereads / Pari dixit Poetry❤ / Chapter 5 - Jhutha Pyar

Chapter 5 - Jhutha Pyar

Pata Tujhe Sab Bole the ki

Tu Jhooth bolata hai

Koi Nahin Karta Kisi Se Itna jyada pyar

Aaj kal ke Jamane me

Log hote hain Matlabi Kuchh Bhi Karte Hain

Apne Timepass ke liye

Nahin kiya Kisi per yankin

Kiyoki Khud Se Jyada

Jo Tujh per Kahin tha

Jaan Kar Bhi sab Kuchh ki Kitna Jhooth bolata

Tha

Tu Fir Bhi Dil Har Bar Tujh per yakin

Karna chahta tha

Bahut bar ki teri Galtiyan Maaf maine

Yah sochkar ki Tera Dil Na Dukhe

Kabhi Meri vajah se

Log Bhi Kya Khoob Kahate Hain

Sacchi Mohabbat Hamesha Ek Tarfa hi hoti

Hai

Aur yah bhi Sach Hai jisse bhi hoti hai

Woh Kabhi Hamara Nahin Hota

Bhul Jaungi Tujhe

Lekin usse pahle Mujhe usse Mila Do Jo

Mujhse Jyada Chahe Tujhe

Agar Itni hi taklif Hone Lagi Thi

Meri Mohabbat Se To Bata deta Tu

Tune Shikayat hi na ki Mujhse

Par tu To aise hi Chala Gaya

Bina Kuchh Bole Maine to suna hai

Log Pyar Mein is had Tak pahunch Jaate Hain

Ke jaise Pyar Karte Hain Use galiya Tak Dene

Lagte Hain

Our Jo iss had tak jaye woh Pyar Hai hi nahin

Woh Aapka Nahin Hai

Par humre bich toh sab thik Tha na

Kitna bhi gussa Hote the ham

Ek dusre per fir bhi kabhi Ek dusre se

Batamiz se baat nahin karete the

Hamesha gusse Ki Rishta Humne Kabhi

Pyar To Har Koi kar lega tumse

Per Koi Mere Jaise nibhaya To Bata dena

Intezar Rahega use Pal Ka

Jis Din Ab Tum Humse Dobara Milogo

Bahut Tadpaoge per Dur Se Hi dekhoge

Is Mukam per pahunchenge Ki Tum Ko Rula

Denge

Sari Duniya Ko bataaoge Ki Mohabbat thi

Yah Meri per Afsos Tum Khud na mil paoge