Maine use haste hue paise nikal kar dediye aur kuch sabji lane keh diya. Wo paise lekar bahar chala gaya. Maine socha jab tak wo aata hai tab tak mein ghar ki safai kar leti hu.
Maine sofe aur zameen wagaira saaf kiye. "hmm, ab lag raha hai na ghar ghar jaisa" maine khudse kaha. Safai karne mein mere kapde gande ho gaye the is liye maine cupboard se dusre kapde liye aur wahsroom mein badalne chale gayi.
Jaise hi main andar gai waise hi darwaaze se bell ki aawaz aane lagi. "Oh shit, lagta hai Sidharth aagaya". Maine jaldi jaldi kapde badle aur bahar aai. Darwaaza khola toh dekha ke sidharth ke dono hathoun mein theliya thi. Toh aadhi theliya maine usse mang kar aone haath mein leli.
Usne aur maine saara saman kitchen mein lejakar rakh diya. fir maine usse pucha "Ye sabjiya kuch zayada nahi lagrahi hain? maine toh shayad itne nahi mangwae the"
"Ha wo sabjiya sasti mil rahi thi toh maine zyada leli" usne kehte hue paise nikale aur mujhe dene laga. Maine paise lete hue kaha "Arey, itni sabjiya lane ke baad bhi paise bach gaye?"
Paise ginne ke baad uski taraf maine ghurte hue kaha " Ye toh pure utne hi paise hai jitne maine tumhe diye the sabjiyoun ke liye, iska matlab tum ye apne paiso se lekar aae ho?"
usne haste hue kaha "Ha ..:-)"
Maine zabardasti paise uske hath mein rakh diye aur kitchen mein jate hue kaha "Baith kar TV dekho main bass abhi khana bana kar laati hu"
Kuch 1 ghante mein maine khana bana liya.
jab main kitchen se bahar aai toh dekha ke Sidharth sofe par baith kar so raha hai aur TV bhi On hai. Maine socha use jagau lekin pata nahi kyu wo sote hue itna cute lag raha tha ke use uthane ka mann nahi kar raha tha. Bass mann kar raha tha baith kar use dekhte rahu.
Main use baith kar dekh hi rahu thi itne mein uski aankh khul gayi. Maine khaste hue kaha "C..Chalo Khana ban gaya hai" usne uthne ke baad mujbe muskurate hue dekha aur khada hokar hath dhulne chala gaya.
Pata nahi kyu us waqt mera dil tezi se dhadakne laga. Maine kitchen se khana lakar Table par rakh diya. Utne mein Sidharth bhi hath dhul kar aagya. Maine use khana dediya aur wahi baith gayi.
"Arey aap kyun nahi kha rahi hein? aap bhi khaiye, specially maine aapke liye toh main itna dur jakar aaya hu, aur aap hi nahi kha rahi hein!" usne meri taraf dekhte hue muskura kar kaha.
"Tum khalo pehle fir main baad mein kha lungi, tumko zyada bhook lagi hogi" maine kaha. "Lekin agar aap nahi khaengi toh fir jaiye main bhi nahi khaunga" usne khane se hath hatate hue thode gusse mein kaha. Uska ye mizaj dekh kar main bhi khane baith gayi.
Usne mere plate mein khana nikal diya mere bahut mana karne ke bawajud. Maine usse kaha "Arey tum bhi na, main nikal leti tumhe itni mehnat karne ki zarurat nahi thi"
"Ab ek dost dusre dost ke liye itna toh kar hi sakta hai na"