Ghar pahunch kar main apne bedroom mein gayi aur sidha so gayi. jab aankh khuli toh raat ke 3 baj rahe the. kitchen mein jakr noodles bnaya aur khaya. sir dard abhi bhi puri tarah se thik nahi hua tha, 2 haftoun se dawa lene ke bawajood. khana khane ke baad maine dawa li aur so gayi.
Bed par let kar sirf yahi soch rahi thi ke Sid kaisa hoga, main kab uske paas pahunchungi, maine exams mein mehnat toh puri ki hai.. result kaisa aaega. achha nahi hua toh mein Sid se nahi mil paungi. yahi sab sochte sochte kab meri aankh lag gayi pata hi nahi chala.
Result bhi 1 mahine baad aane the, aur mujhse intezaar nahi kiya ja raha tha. Sara ne kai baar mujhse mere in ajib harkatoun ki wajah puchi (college se ghar jaldi chle jana, baatein kum karna, dhyaan kahi aur hona wagaira) lekin maine koi na koi baat bana kar taal di. main ye baat filhal kisi ko nahi batana chahti.
Mood achha karne ke liye mein garden chali gayi. waha sab apne apne partners ke sath the, sirf main hi ek akeli thi. main ek kinare chair par baith gayi. mausam bahut achha tha, yu jaise ke abhi baarish ho jaegi. main apni aankhein band krke hawa ko mehsoos kar rahi thi. achanak ek baarish ki boond mere upar aakar giri, aur dheere dheere baarish shuru ho gayi. baarish bahut tez nahi ho rahi thi. dheemi baarish, main wahi baithi rahi aoni aankhein band karke. aankhoun ke samne Meri aur Sid ki pehli mulakat yaad aane lagi. main bas waha baithe baithe soch soch kar muskura rahi thi. aankhoun se aansoun bhi nikalna shuru ho gaye the. lekin baarish ki wajah se wo pata nahi chal rahe the. baarish dheere dheere tez hone lagi. mujhe kuch pata nahi chal raha tha. main bas apne khyalo mein khoi hui thi.
Achanak se boondey ruk gayi. jab maine aankh kholi toh mere sir ke upar umbrella tha. maine mere baju mein dekha toh ek ladka umbrella liye hue baitha tha. aur meri taraf dekh kar muskura raha tha. usne white t-shirt aur upar se neele rang ki shirt pehni hui thi. maine uski taraf hairat se dekha.
usne mera hairat wala chehra dekh kar kaha.
"aap yaha baith kar bheeg rahi thi, aapki tabiyat khrab ho jati is liye maine dekha toh yaha aagaya" usne muskurate hue kaha.
"mujhe achha lag raha tha, mujhe baarish bahut pasand hai. fir bhi aapka bahut bahut shukriya." maine bhi muskura kar kaha.
"hmmm... tabhi aap ro rahi thi!" usne mere chehre par ishara karte hue kaha.
ise baarish mein bhi mere aansoun kaha se dikh gye!
"Nahi, main kaha ro rahi hu" maine chehre par hath ferte hue kaha.
"Chupaiye mat, bhale hi aapke aansoun na dikh rahe ho, lekin aapki aankhein bata rahi hai ke aap ro rahe the." usne kaha.
"hmm... baarish mein kisi ki yaad aagyi, is liye." maine niche dekhte hue kaha.
"Koi khaas insaan hoga fir" usne meri taraf muskurate hue kaha.