Chereads / sarkari naukri / Chapter 1 - naukri hoti kya hain

sarkari naukri

🇮🇳Virendra_rao
  • --
    chs / week
  • --
    NOT RATINGS
  • 21.1k
    Views
Synopsis

Chapter 1 - naukri hoti kya hain

aaj hum ek aise daur main hainn jhan insaan ko uski haisiyat se zyaada naukri ke baare me pucha jaata hain, usme bhi agar sarkari ho to sone pe suhaga , whi dusri taraf private naukri krne waala sakhsh ki haalt aaj ke samay esi hain jaise wo koi naukri nhi gunaah kar rha ho.

kehte hai samey har dard ki dwa hota hain lekin private naukri ek esi bimaari hain jiska dard samey ka saath kam hone ke bjaay bdta jaata hain, kuch log to isko marte dam tak seh lete hain or kuch loog ise apne aatmsmaan se jodkar apni jaan de dete hain.

Lekin aaj jo samay chal rha hain usme loog jaan dene ke bjaay isko apni zindgi ka ek hissa bna lete hain.

Aap soch rhe honge ki lekhak mahasya ko itni si umar me itna experience kaise hain, to aapki jankari ke liye bta du ki bimari umar dekh ke nhi aati, wo to bas aa jaati hain.

aaj vigyaan ke zmaane main har insaan yhi kehta hain ki 'NOTHING IS IMPOSSIBLE' to un jnaab ko kho ki ek baar zra sarkari naukr to bnke btaiye phir hum bhi aapke peeche peeche keh denge 'NOTHING IS IMPOSSIBLE'.

To naukri hoti kya hain, naukri wo hoti hain jisme aapki naukri ke aage sarkari likha ho, naukri wo hoti hain jisme paise nhi dekhe jaate balki ye dekha jata hain ki naukri kar kiske liye rheho sarkaar ke liye, yaa phir aapni hi sarkar bnake baithe ho.