Hindustan me aadhe se jyaada loog yaa phir yun khen ki bache, sirf apne maa baap ke kehne ki wajah se he sarkari naukri ke peeche lag jaate hain. or use kehtehain jabardasti ki naukri, Qki kar to aap naukri rhe ho lekin karva koi or rha hain, or jab tak is kapolkalpna se hum bhar aate hain tab yaa to hum kisi pote, poti ke dada hote hain yaa mar chuke hote hain .
Jab koi insaan puri zindgi wo kare jo wo karna chahata hain to marte samay un janab se puchiyega ki koi aakhri ichha to wo bhi yahi kehenge ki beta aakhri iccha to hmne jwani main he puri kar ab to bas marna baaki reh gya hain. or jo insaan aapne man ki naa kre us insaan ko marte samay uski aakhiri ichha puchiyega to un zanab ke lafaz na nikalkar saayad aanshu nikal aaye or khe ki beta kaas ek baar zindgi or jeene ka mokaa mila hota to iss baar wo karta jo karna chahata tha yaa phir u khe ki chahata hun, qki karna to bohot kuch hain lekin pehle gharwaalon ne kha bas or aaj umar keh rhi hain bas. to meri to akhri ichha yhi hain ki duniya ko laat mat maro uske saath chalo lekin sirf sarir se or dimaag se hamesa dil ke saath chalo. Kuch log zarur kehte honge ki duniya ko laat maro or dil ki karo lekin main ye kehta hun ki duniya ko laat mare bger dil ki suno qki ek din yahi duniya aapko apne kandhe par bithayegi.
To lekhak ka to yhi kehna hain ki naukri karo lekin jabardasti ki nhi.