Chereads / sarkari naukri / Chapter 5 - naukari ke tarike

Chapter 5 - naukari ke tarike

ab baat aati hain naukri ke tariko ki , to kuch kehte hain ki saarkari naukri to karo lekin apne man se jo karna chhahte hain wo bhi saath saath karte rahiye, lekin jnaab ye film nhi jindgi hain yhan par yaa to sirf radha nachegi yaa sirf gaayegi.

Ab baat ko thoda gambherta se lete hai, me har us aadmi se yahi kahunga jo sapno ke peeche bhagna to chahte to hai lekin unke per kisi or ke ishaaro par chlate hai, ki yaa to isse apni kosmat samj kar apna lijiye or agar nhi apna sakte to usi raste ko apne paks me kar dijiye, arthat pariwar ki haan me haan milate hue , wo kare jo aap karna chhahte hai. Baat badi saadharan hai ki yaa to samjota kar lijiye yaa phir dabe per kuch aisa kar dijiye ki jab apke peron ki aawaz aaye to log apne pero par khde hokar aapka swaagt kare.

Hum log kehte hai ki mauka nhi milta hai, to kese kuch kare, to unse ek he baat khunga ki mauka kabhi bhi nhi milega, mauka to aapko bnana pdega, or sirf mauka bnane se kuch nhi hoga usko bhunana bhi hoga, varna jab ye mauke haat se nikal jaate hai na to is haad maas ke sarir me kuch kaanch ki tarah toot jaata hai.

To yehi khunga ki samay nhi milta to nikaliye, mauka nhi milta to bnaeye, lekin wahi kojiye jo karna chhahte hai. sir tan ko khus mat kijiye man ko khus kijiye. Aap soach rhe honge ki lekhak mahashya khud bhi to kuch karna chhahte honge to aapko bta du ki lekh mahasay to wo kar rahe hai jo karna chhahte hai, yaani ki likh rahe hai.