Chereads / SAFAR PYAAR KA / Chapter 26 - Kanak ke ghar 1

Chapter 26 - Kanak ke ghar 1

Aman aur Niharika apas me bat kar rhe hai, Aman ke per me chot lagi hai ,usi waqt Kanak aa jati h.

" Bhaiya? , Kese hai ap? "

" Kanak tum yahan itni raat me? "Aman hairan hote huye kanak se

" Maine ghabrah kar Kanak ko call kar di thi " Niharika ne aman se kaha

" Lekin Kyun? woh bechari preshan ho jati h Dii apne ysa kyun kiya? " Aman ne kaha

" bhaiya, kiya me apke liye kuch nahi hun? , apne mujhe nhi btaya maa papa ne bhi nahi btaya, bas itna hi pyaar karte hai ap? , aur itni chot aai hai apke? " Kanak aman ke pas jaa kr rohne lagti hai.

" Kanak dekh.... tujhe isly hi nahi btate h tu preshan ho jati hai, acha yahan beth " Aman Apne pas bula kar aur Niharika Kanak ko chup krwati hai.

Vihaan bhi Aman ko dekhne room tk aata hai door ko khatkhta kar

" hello, kiya me andar aa sakta hu?"

sab Vihaan ki taraf dekhte hai tabhi Aman " Han zrur aaiye ap "

Kanak Aman ke pas se hat kr side me khadi ho jati hai ,Vihaan Aman ke pas aakar " Kese ho bhai? apke chot kese lagi? "

Aman " Bas bike se accident ho gya "

yese hi aapas me dono baate karne lage aur adhi raat guzar jati hai.

Kanak ke pas aakar Vihaan " Aj tum yahi ruk jao, main ab chalta hu"

kanak ki maa sun leti hai " are nahi, Adhi raat ho chuki hai, Yahi ruk jao kal subha hote hi chale jana "

" Haan beta, Yeh ghar bi tumhara hai, jese aman, Niharika aur kanak mere bacche hai wese hi tum mere bacche ho adhi raat ho chuki hai yahi thahar jao " Kanak ke papa ne kaha

" Thik hai agr ap khe rahe hai toh ruk jata hu " Vihaan ne kanak ki taraf dekhte huye

few moments later.....

" Kanak beta yeh le Vihaan ji ko aman ka new pajama de de yeh pahan lenge aur han unke liye garam dudh woh bhi haldi wala le jana " Kanak ki maa ne kaha Kanak ke hath me pujama dete huye kaha

" Pujama?, haldi wala dudh?, kiya kahu maa se woh khadus dudh bikul pasand nhi karta?, Aur yeh pujama?, iska Brand toh chuhte bi nahi hai, kahi khadus gussa na kare " Kanak sochti hui apne room ki taraf jaa rahi hai.

Vihaan kanak ke room ko dekh raha hai uske hatho se bane decorated saman ko dekh kr

" Kanak itne chote room me raha karti thi, aur ise bhi itna décor kiya hua ha?sab handmade lag raha hai..."

apne room me pahuch kar Kanak Pujame ko aage karti hui

" Maa... maa ne yeh apko diya hai pehnne k liye, yeh bikul new hai "

Vihaan pujama ko dekhta hai aur Kanak se le kar

" thanks you "

Kanak Shocked hoker "Khadus ne koi gussa nahi kiya? shayd maa ki wjha se "

Vihaan fresh up hoker jese hi room me aata hai Kanak ki maa haldi ka dudh le aati hai

" Kanak beta mene tumse kaha tha na Vihaan ji k liye dudh le jana, aman ko dene gai toh mujhe yaad aaya ki tumne nahi diya hoga"

Kanak ghabra jati hai "ab Vihaan kiya karenge?"

Vihaan wohi khada sun raha hai, Kanak ki maa kanak ko jaldi me dudh ka glass de kr chali jati hai, Kanak dar Vihaan ki taraf dekhti hai

Kanak " Maaf karna, Maa ko pata nahi apko dudh pasand nahi hai "

"Hmmm... isly yeh dudh tumhi pee lo " Vihaan itna kah kar bed per lait jata hai,

Kanak Vihaan ko bed per laita dekh Khud Zameen par Bed shit bicha kar lait jati hai, Vihaan yeh dekh kar

" tum niche kyun lait rahi ho ?"

" Woh aap....?" kanak puri bat nhi keh pati

" Idhr hi aa jao tumhe thand lag sakti hai, half bed pr tum half pr main, hum phele bi toh laite hai na bich me pillows laga lenge"

" mere pas itne pillowes nahi hai " Kanak ne Karvat lete huye kaha, tabhi Vihaan uth kar Kanak ko goadh me utha leta hai aur bed per laita deta hai

" Kiyaa kar rhe hai ap" kanak ghabra kar uth kar beth jati hai,

Vihaan Uski zameen par bichi bed shit ko laa kr bich me laga deta hai " Lo ban gai bich me, lakeer ab thik?"

Vihaan apni side aakar lait jata hai aur ankhe bandh kar leta hai, Kanak Vihaan ko dekh kar dusri taraf muh kar ke soh jati hai.

der raat me light chali jati hai Vihaan ko garmi lagne lagti hai aur bachaini shuru ho jati hai, sohte sohte bar bar karvate lene lagta hai.

" hmmm.... Garmi.... ufff... "

Kanak sun kar uth jati hai " Lagta hai inhe bachaini ho rahi hai, yeh kabhi bina light ke nhi rahe "

Kanak bed se utar kr ek copy ka cover lati hai aur usse Vihaan ki hawa karne lagti hai. Vihaan ki ankh khul jati hai

" Kanak, yeh kiya kar rahi ho?" Vihaan nind me bolta hai

" ji, light chali gai hai, apko garmi lag rhi thi, apko in sab ki adat nahi hai , isly main apko...? "

" meri adat nahi hai toh tum kyun thak rahi ho..?, rhene do aur soh jao" Vihaan ke itna kehte light aa jati hai

Kanak man me " ek toh mene khadus k liye hawa ki upr se yse bol rahe hai, thanks you bi nahi bolna ata"

" Kiya tumhe kuch kaha? " Vihaan

" Na.. nahi? " Kanak dar kar dusri taraf mudh jati hai.

Vihaan uski taraf uth kar dekhta hai, aur khud bi soh jata hai.

Latest chapters

Related Books

Popular novel hashtag