Chereads / SAFAR PYAAR KA / Chapter 7 - Message

Chapter 7 - Message

Ghar ki door bell bajti hai Kanak ne uth kar door open kiya saamane apni Badhi Bahan ko dekha " Di aap ?! , Kanak ne apni bahan ko Gale s laga liya Aur ankho s ashuon ki bundhe girne lagi. jese kanak ke Kuch Alfaaz kehna chahaty ho aur woh kahi dab gaye.

"Haan kanak Pareshan hone ki Bikul zrurt nahi hai, Tumhari badhi bahan Aa gai hai sb thik ho jayga, roh mat "Kanak ki bahan Kanak ke ashu saaf karty huye.

"Ji Diiii" ,"I miss You."

"I miss u too, ab rohna band karo achi ladki bano "

ser pr hath pherte huye Niharika ne kaha.

Kanak ke Maa papa Room se bahar aakr dekhty hai apni bdhi beti Niharika ko dekh Khush hoty hai, jese ki unhe Koi sahara mila ho..

sab sofe pr bethe hai , Aapas me baat chal rahi hai , usi wakt

Kanak ke mobile par ek SMS aata hai jisme Vihaan ke office oppitment time Likha hai aur ek message yeh bi aya hua hota hai "Tum ise nakar nahi sakti Tumhe aana hoga "

"Kanak kon hai, kiska message aaya hai? "

" kisi ka nahi di..., woh Pihu hai, use ek subject me problem ho rahi hai, assignment me use help chaiye

Toh woh bula rahi hai mujhe. " kanak attakte huye..

"Acha thik hai tum jao aur uski help karo "

Kanika ki maa-" Beta jaldi ghar aana "

" Ji maa, Ap preshan nahi hona sab thik hoga"

Yeh keh kar kanak ready hoker Ghar se sidha Vihaan ke office ki taraf chal di.

Rasty bhar kanak Ke khayal me yahi chal raha hai " Kiya hoga? , Akhir kyun bulaya hai mujhe? sab thik ho jayga na? Bhai papa maa di sab mujhe maf kar dena mene ap sab s jhut bola " kanak ki ankhe nam ho gai..

Latest chapters

Related Books

Popular novel hashtag