Subha jab sabhi log uthe toh maine dekha tent mein se sirf Sara akele aarahi thi Tara thi hi nahi. maine yaha waha nazar ghumai lekin mujhe Tara nazar nahi aai. itne mein teachers ne aawaz lagai ke sabhi log nashta karle aur apne apne tents lele humein pahad chadhna hai. tabhi maine dekha ke Tara kahu se aarahi thi. shayd wo jaldi uth gayi thi is liye ghumne niakl gayi ho. beherhal himne nashta kiya aur pahad ki taraf rawana hue.
Pahunchne ke baad teachers ne humein bahut saari informations di ped, paude, flowers aur insects ke baare mein. bahut si achhi achhi chizein bhi dekhne ko mili. khane ka bhi waqt ho chuka tha is liye sab wahi khana khane baith gaye. mujhe bhuk nahi lagi thi aur mere paas khane ko zayada saman bacha bhi nahi tha is liye main wahi kinaare baith gaya aur sabko dekhne laga. sab apna apna khana ek dusre ko share karke kha rahe the. tabhi maine dekha ke Tara meri taraf aarahi hai. maine apna rukh moda aur chup chap dusri taraf dekhne laga.
Wo mere paas aai aur kehne lagi..
"Arey tum yaha akele kyu baithe ho? kuch kha kyu nahi rahe ho"
"main kuch lekar nahi aaya hu, aur mujhe bhuk bhi nahi hai aap sab log khalo"
"arey lo ye pura tum khalo, mera pet bhar chuka hai"
Mere bahut mana karne ke baad bhi usne apna dabba mere hathmein rakha aur kehte hue chali gayi ke "Khalena pura"