Chereads / Mysterious Sim-Card( only for Hindi or Urdu speaking people) / Chapter 1 - Accident and new beginning ( part 1)

Mysterious Sim-Card( only for Hindi or Urdu speaking people)

justwriter
  • --
    chs / week
  • --
    NOT RATINGS
  • 140.6k
    Views
Synopsis

Chapter 1 - Accident and new beginning ( part 1)

Kya khoobsurat nazarein hain ! " maine shishe se baahar dekhte hue apne man mein kaha . Mujhe natural cheeze jaese pahad , jharne , ped-paudhe , nadiyan, dariya bade acche lagtein hain.

Main kanpoor ko kisi kaam se aya tha , aur ab kaam pura ho jane par dubara ghar ki taraf rawana hua tha .

Shaam ka waqt tha par abhi suraj dhala naheen tha , isliye har cheeze saaf saaf nazar aa rahee theen, aur bus medium speed ke saath highway par chal rahi thi . Is highway ke ass pass koi bhi abadi nazar naheen aa rahi thi aur ass pass kewal ghane ped the , aesa lag raha tha ki mano hum jangal ke beech mein chal rahe hon . Mere side wali seat khali thi aur infact puri bus hi khali thi , kewal 10 ya 12 log rahe honge wo bhi driver aur cunductor ko leke . Isliye bus puri khamosh thi , kewal bus ke chalne ki awaaz aur bahar se aa rahi parindon ki awaaz kabhi kabhar sunayi de jaati thi . yuun kahein ki pura ka pura sama bada khoobsurat tha .

Mujhe is tarah ki surroundings bahut acchi lagti hai . Mera nature bhi bada khamosh sa hai . Mujhe kisi se zayda baat karna , ghulna milna bilkul pasand naheen . Aur yahee wajah hai shayad ,ki yuun to main sabse haal chaal lene tak baat karta hoon par aaj tak mera koi best friend naheen hai , aur mujhe banane ka koi shauk bhi nahee tha . Log vacations(chuttiyon) ke dauran jahan safar karna , apne rishtedaron ke yaha jana pasand karte the , main hamesha wifi recharge karake apne room mein chuttiyan guzarna zayda pasand karta tha . Safar( traveling) se mujhe sakht nafrat hai par traveling ke dauran mausam ke maze lene se ,main kabhi naheen chukta .

main apne apko bahut badsurat manta hoon , shayad ye bhi ek kaaran ho sakta mere na ghulne milne ka . Aaj ke iss camera wale daur mein jahan har koi apni photo kheechta ya khichwata hai aur sociol media par fauran upload kar deta hai , maine aaj tak ek bhi apni real photo upload naheen ki hai . Mujhe photo khichwane se se sakht nafrat hai .

To ajj bhi hamesha ki tarah bus mein baithe main nature ke maje le raha tha , jaesa apko maloom hai ki peeche wali seat kitna utha ke patakti hai isliye main tyre ke upar wali seat par baitha tha par bhir bhi main sabse peeche hi tha , kiyunki aur log to driver ke saath jo front wali seat hoti hai , engine ke upar wali wahan baithe the .

Mera phone vibrate kar raha tha , aur thandi mein to aapko maloom hi hai ki kitne kapde pahnne padte hain , isliye phone nikalne mein thodi mehnat lag gayi . Jab maine phone ki screen par dekha to ek un-known number tha , par samjhte der naheen lagi ki kiska tha . Yes ! aur kaun ? companyy walo ka tha . ek to main inn company walo se pareshan ho chuka hoon " maine khud se ye kaha " .

Par sacchayi to yeh hai , ki ghar walo ke alawa agar koi aur phone karta hai to wo hain compony wale , wajah main apko pahle bata hi chuka hoon ki mere koi dost naheen hain .

Main bore waese hi ho raha tha , safar abhi lamba tha , to ye jante hue bhi ki company wale kya kahege , maine socha lao utha hi lein . Lekin iss baar jo company walo ne kaha wo bilkul hi maine naheen socha tha ....

" Bhartiyan sarkar ke niyam anusaar , apke sim-card ke adhar-card se link na hone ki wajah se apki sewayein radd ki jateen hain . adhik jankari ke liye .... "

Maine kaha oh shit ! , mujhe laga ki ye bas aese hi baatein chal raheen thi . phir maine ghar call karne ki koshish ki , aur har baar yahee awaaz sunne ko milti , ki " apki service band kar di gayi hai ".

Ghar wale pareshan ho rahe honge kiyunki abhi maine ghar ek baar bhi call naheen kiya tha . Ab papa bahut danteinge , unhone mujhse kaha tha ki jake kara lo . " maine tension mein ye sab khud se kaha " . Ab mujhe kuch bhi accha naheen lag raha tha kiyunki ab ghar pe daant padegi .

Main abhi soch hi raha tha ki , ghar par kya bahane maroonga , ki achanak se hi ek bahut tez awaaz ke karan mera mobile gir gaya . ye awaaz horn ki thi . Maine dekha to naheen kis gadi ki awaaz thi, par andaza lag gaya tha ki , ye kisi truk ki awaz hai .

Main apna mobile uthane ke liye zameen par zhuka , aurr jaese hi mobile ko hath mein pakda , tabhi ek aur awaaz , wo bhi bahut tez awaz sunai di . Ye dekhne ke liye ki ye awaaz kahan se ayi , maine apne sir ko thoda upar kiya , kiyunki jab main jhuka tha to aage wali seat ne mujhe chupa rakha tha . Aur jo maine dekha , mujhe samjhte der na lagi ki ......

( to be cont.... )