Assalamu alaikum guys
Part_1
Written by alfariya Sheikh
Ignore mistakes.
📍. Mumbai Maharashtra.
In afternoon
Duphar ke waqt sapno ka city mayanagri mumbai me is time barsaat ka mausam chal raha hai mumbai ke roads barish ke pani se bheege hue the hawaye apni charam seema par hai jungle me birds ,trees bhe is mausam ko enjoy kar rahe hai is barish me kuch log chai pi rahe hai to kuch log barish ko enjoy kar rahe hai.
Khan haweli.
Wahi mumbai me ek alishan haweli jo bahut purani bani hui hai us hawali ki khubsurti ki baat karte hai to ye haweli bahut badi hai ye jitni badi hai utni hi khubsurat hai bahar ek bahut hi bada garden hai jisme tarah tarah ke flowers hai aur ek swiming pool hai jo kafi bada hai aur us swimming pool me barish ke bunde baras rahi hai is haweli ke bahar kuch guards khade hue hai is haweli ke logo ki safety ke liye aur is haweli ke bahar ek name plate lagi hui aur usme diamond se " Khan haweli " likha hua hai jo behad chamak raha hai.
Ye haweli bahar se jitni khubsurat hai utni andar se bhe khubsurat hai
Haweli ke andar bahut bada hall hai jisme har cheez ko saleeke se rakha gaya hai is hall me 4 sofe aur beech me ek kanch ka table hai.
Hall ke left side ek kitchen hai jo kafi bada hai is haweli me 20 rooms hai jo kafi bade hai aur usme se ek master bedroom hai jo bilkul alag floor par hai.
Wahi is haweli ki taris par ek ladki jo barish me uchal uchal kar bheeg rahi thi.
Tabhi peeche se ek ladki barish me bheegti hui ladki ko awaz lagati hai.
Hidayat bus karde kitna bheegna hai hamza bhaijaan ke aane ka time ho gaya hai.(Faiza said)
Ji ye awaz lagane wali ladki Faiza hai jiski Haight 5.4 hai iske baal lambe hai aur ye kafi khubsurat hai.
Tabhi wo ladki peeche palat kar dekhti hai.
Jo ek frock me khadi thi uski haight 5.3 thi uski black ankhe uske pink natural lips aur dudh ke jesi gori rangat iske baal iski kamar par jhul rahe the ye faiza se aur bhe jyada khubsurat hai ji ye hai hamari heroine hidayat khan.
Hidayat aur faiza b.com 2nd year ki class me hai hidayat ko padhai me bilkul intrest nahi hai wahi faiza ko padhna accha lagta hai
Ha to ham kya darte hai unse.(Hidayat replied)
Hidayat bakbas band kro aur neeche chalo hamza bhaijaan ne dekh liya to bahut daat padegi.(faiza said)
Offfo faiza kitna darti ho tum unse aap na sath me bheegte hai dekho na kitni acchi barish ho rahi hai.(Hidayat replied)
Faiza starts staring at him with her eyes small.
Tum aa rahi ho ya nahi.(Faiza said)
Accha na aa rahi hu.(Hidayat replied)
Hidayat and faiza come down and she goes to her room to freshen up.
On the other side ek jungle me ek vila tha jiska naam dark Vila tha jaha har cheez black colour ki thi
Ek aadmi jiski age 27 thi uski haight 6.3 thi uski neeli ankhe gori rangat use aur bhe handsome bana rahi thi.
Usne white shirt pahni thi jisme uske six packs saaf dikh rahe the jinhe dekhkar andaja lagaya ja sakta tha ki ye ghanto gym me paseena bhakar bnayi gayi hai
Wo banda itna smart lag raha tha ladkiyan ek baar dekhle to dil haar jaye uske chehre par halki halki beard use aur bhe handsome bna rahi thi to ye hai hamare hero hamza khan.
Hamza ka khud ka ek business hai jise usne kafi Kam umar me bahut uchai tak pahuchaya hai ye mumbai city ki rich list me dusre number par aate hai inka aura bahut khatarnak hai dekhne wale darse kapne lagte hai inki business ke alawa ek alag pahchan hai inhe underworld ka sabse powerful mafia H.K ke naam se jana jata hai.
Hamza ke samne ek aadmi dard se tadap raha tha aur apni jaan ki bheek mang raha tha.
Please H.K mujhe maff kardo mujhse bahut badi galti ho gai please mujhe akhiri mauka de do.(That man was requesting while writhing in pain)
Shyad tu bhul gaya hai ki H.k ki decitionry me mafi word ki koi jagah nahi hai teri himmat kesi hui H.k ko maarne ki tujhe kya laga tu unhe maarkar nikal jayga tune apni zindagi ki sabse badi galti kardi.(Aman said)
Ye hai aman gazi hamza ka best friend jo underworld me hamza ka right hand hai ye bahut hi shararti aur chulbule kism ke hai inka khud ka business hai aman ke parents nahi hai isliye ye hamza ki haweli rahte hai.
Wo aadmi isse pahle kuch kahta ek jordar cheekh us vila me gunj jati hai kyuki hamza ne chaku ko us aadmi ke seene ke aar par kar diya tha jisse kuch khoon ki boondhe uske face aur shirt par bhe aa gai thi.
Kuch der me us aadmi ki sanse ruk jati hai aur aman ke chehre par devil smile aa jati hai.
Iski body iske maalik ko pahucha do.(Hamza said)
Itna kahkar hamza haweli ke liye nikal jata hai aur uske peeche aman bhe nikal jata hai.
Raat ko car haweli ke bahar aakar rukti hai.
Hamza bade style se car se utarkar andar chala jata hai usne apne kapde car me hi change kar liye the kyuki H.K ki pahchan ke bare me sirf uske dadu ko pta tha.
Haweli me sabhi log dining table par bhethe the hasi mjak kar rahe the.
Hamza ke enter hote hi waha sannata ho jata hai hamza bina kuch kahe apne master bedroom me chala jata hai.
Uska aura itna khatarnak tha ghar me sab usse darte the aur hidayat to kanp jati thi uske dar se.
Aman aakar dining table par bheth jata hai.
Ohhh aaj to badi acchi khusbu aa rahi hai kya baat hai mujhe to bhuk lag rahi hai khana shuru kare.(aman said)
Hamza ko aa jane do fir karte hai shuru khana.(Iqra said)
Kuch der me hamza neeche aakar dining table par bheth jata hai sabhi log khana shuru kar dete hai.
Hamza beta wo Siddiqui sahab ka beta office me bahut hangama kar raha hai.(Mehrab said)
I will handle chachu.(Hamza replied)
Kuch der baad sab log khana kha lete hai hamza jate hue kahta hai.
hidayat study room me milo abhi.(Hamza said)
Itna kahkar hamza study room me chala jata hai.
Ab kya kiya tumne ne kyu gussa dilati ho usko ya allah kya karu main is ladki ka.(Aarifa said)
Aarifa shant ho jao kuch ni kahega jao hidayat beta tum jao.(Iqra replied)
Ji.(Hidayat said)
Hidayat darte hue study room ke bahar aakar khadi ho jati hai.
Wo door knock karne wali hoti hai isse pahle hi awaz aa jati hai.
Come in.(Hamza said)
Inhe kese pta chal jata hai main bahar hu allah mere sath asa kyu hota hai.(Hidayat said while moist eyes)
Hidayat study room me sar jhukaye khadi thi.
Tumse mna kiya tha na ki barish me mat bheegna tumhe kya laga main yaha nahi hu to mujhe kuch pta nahi chalega.(Hamza said)
Wo.khan.sahab.main .to bus.( Hidayat says in a trembling voice)
Just shut up ek awaz tumhare muh se nikli to balcony se neeche fek dunga.(Hamza replied while angry)
Hamza ne hidayat ko bhai bolne se mna kiya hai isliye wo hamza ko khan sahab kahti hai.
Jab tumhe pta hai tum barish me bheegne se beemar ho jati ho to kyu bheegti hu tumhe meri baat samajh nahi aati.(Hamza said)
Hidayat was standing with head bowed with tears in her eyes.
Sorry khan sahab (Hidayat said)
Aaj se tumhari 1 month ki pocket money aur tumhara 1 month tak college ke alawa bahar jana band samjhi.(Hamza said)
Hidayat trembles upon hearing Hamza's voice.
Lekin khan sahab.(Hidayat replied)
Dafa ho jao yaha se.(Hamza said)
Hidayat goes from there.
Kuch der baad sabhi log hidayat ko chup Kara rahe the kyuki hamza ki daat se wo ro rahi thi ye hamesha ka tha jab bhe hamza chillata tha wo roti thi.
Chup ho jao gudiya tum main datugi Hamza ko aise kaise meri bacchi ko daat sakta hai.(Iqra said)
Tayi ammi aapka ye khadoos beta ek din meri jaan le lenge sirf barish me hi to bheegi thi kya aafat aa gai isme.(Hidayat says while crying)
Tumhari in harkato ke wajah se hi hamza gussa karta hai.(Aarifa said)
Aap meri ammi ho ya khan sahab ki jo unki side le rahi ho (Hidayat says while crying)
Hidayat baji ham aapko kachre se uthkar laye the bhul gai aap.(Aariz says while laughing)
Tum dafa ho jao yaha se tumhara sar fod dungi main.(Hidayat replied)
Faiza hugs hidayat.
Bus hidayat chup kar jao kitna rougi tabiyat kharab ho jaygi bhai fir gussa karege.(Faiza said)
Chup ho jao hidayat main tumhe tumhara favourite perfume lakar dunga.(Aman said)
Perfume ka naam sunkar wo ek dam chup ho jati hai.
Sach me.(Hidayat says while happiness)
Ya allah kuch nahi ho sakta is ladki ka chalo sab apne room me.(Aarifa replied)
After some time everyone goes his rooms.
________________________________________
Sorry guys aaj thodi Hindi jyada ho gai kyuki aaj first part tha isliye main koshis karugi ab next chapter English aur hindi dono me likhu.
Give me feedback
Allah hafiz.