Chereads / mohabbat ki talab / Chapter 2 - hamza ki bedardi

Chapter 2 - hamza ki bedardi

Assalamu alaikum

Part_2

Written by alfariya Sheikh

Ignore mistakes.

In morning

Khan haweli

In the morning everyone was at the dining table waiting for Hamza.

Maliha and Nimra had also come because today all the friends were going to college together

Kuch der me hamza seediyon se neeche utarkar aata hua dikhai deta hai usne white shirt pahni hui thi aur usne apne ek hath me apna court pakda hua tha uske bhikre baal use aur bhe jyada hot bna rahe the uske face par hamesha ki tarah koi imotion nahi tha wo seedha aakar apni head chair par bheth jata hai.

Maliha aur nimra dono ankhe fadkar use dekh rahi thi.

Hidayat ko to hamza ka itna darr tha usne ek nazar bhe hamza ko nahi dekha.

Kuch der me sabhi log nashte kar lete hai.

Hidayat college ke liye nikalne wali hoti hai tab use hamza ki awaz sunai deti hai hamza ki awaz sunkar hidayat apni jagah par hi jam jati hai aur darr se kanpne lagti hai.

College se aakar mera room clean kar dena hai.(Hamza said

Ji.(Hidayat says while fear)

Hamza ka room sabse last floor par hai haweli me 4th floor hai Hamza ke room me jane ki izazat kisi ko nahi thi sirf hidayat ke alawa Hamza ke room se related sare kaam sirf hidayat karti hai.

Wo sab college nikal jati hai aur hamza aur aman office ke liye nikal jate hai.

Yar hidayat tera cousin kitna hot hai.(Maliha said)

Sirf bahar se hi hot hai andar se to jawalamukhi hai.(Hidayat replied)

Mere bhai ki burai mat kro manti hu wo thode gusse wale hai lekin wo sabse best hai.(Faiza said)

Chup kar jao bhai ki Chamchi.(Hidayat replied)

Ha ha jab bhai business trip par jate hai to unko itni lambi list kon deta hai cheeze lane ke liye.(Faiza said)

Ha to cheeze laane se koi accha thodi ho jata hai.(Hidayat replied)

Na shukri ladki kuch to sharam kro.(Faiza says while laughing)

Sharam bech di maine.(Hidayat replied)

Ase hi ladte jhagadte sab college pahuch jati hai.

On the other side Hamza was in his cabin checking a file.

Tabhi cabin me ek ladki bina knock kiye aa jati hai usne thai tak dress pahni hui thi us dress me uske cleavage saaf dikh rahe the.

Apne cabin me kisi ki presence feel kar hamza ki ankhe sard ho jati hai.

Wo ladki chalte hue hamza ke kareeb aa jati hai.

Mr hamza hey I am niya malhotra aaj meri aapke sath meeting hai.(Niya says while saducing tone)

Kiski izazat se mere cabin me aayi ho.(Hamza shout)

Hamza ki awaz itni sard thi ek pal ko niya bhe kanp jati hai lekin wo apni besharmi ko continue karte hue apni finger ko seducing tone me hamza ke face par chalane lagti hai.

Mr hamza main aapko khush kar sakti hu aap chahe to.(Niya said)

Niya ki baat sunkar hamza ke face par ek devil smile aa jati hai aur ek jordar cheekh us cabin me gunj jati hai

Niya floor par dard se tadap rahi thi uski finger se khoon nikal raha tha kyuki hamza ne uski finger ko knife se kaat diya tha

How dare you.(Niya says while crying)

hamza khan ko khush kar pao itni auqat nahi tumhari.(Hamza said)

Tum jante nahi ho main kaun hu kya kar sakti hu.(Niya says while crying)

Main janne me intersted bhe nahi hu tum kaun ho aur main kya kar sakta hu ye tum abhi janti nahi ho agar zindagi pyari hai to mere office ke aas pas bhe mat dikhana samjhi.(Hamza replied)

Hamza ki awaz itni sard thi niya bhe kapne lagti hai.

Hamza guards ko awaz lagata hai aur niya ko bahar fekwa deta hai.

Hamza phone par kisi se kuch kahta hai samne wali ki baat sunkar uske face par ek devil smile aa jati hai.

Kuch der me tv par news chal rahi thi.

hame hamare sutro se pta chala hai malhotra industry ke owner raj Malhotra ki company ke shares puri tarike se gir gaye hai 1 ghante me wo arsh se farsh par aa chuke hai aur dusri buri khabar raj Malhotra ki beti niya malhotra ka accident ho gya hai aur wo is time hospital me admit hai.

Tit for tat (Hamza says while devil smile)

Wahi college me sari classes khatam ho chuki thi faiza aur hidayat gate par khadi driver ka intezar kar rahi thi.

Tabhi 1 black car college ke bahar aakar rukti hai.

Car ko dekhkar hidayat kapne lagti hai.

Us car ko dekhkar faiza car ki taraf badhti hai uske peeche hidayat bhe jati hai .

Hamza bhai aap yaha.(Faiza said)

Sit.(Hamza replied)

Hamza aur hidayat peecha ki tarah bheth jati hai jise dekhkar hamza ki ankhe sard ho jati thi.

Driver nahi hu main.(Hamza said)

Hamza ki awaz sunkar dono kanp jati hai.

Ek dusre ko ishara se passenger seat par jane ka ishara karti hai.

Suna nahi aage aao.(Hamza said)

Hidayat jao bhai bula rahe hai.(Faiza said)

Hidayat faiza ko kha jane wali nazro se ghoorte hue car ka gate kholkar passenger seat par aa jati hai.

Hamza ek nazar hidayat ko dekhkar car start kar deta hai.

Car me khamoshi thi hidayat ke hath kanp rahe the hamza ke sath bhethkar wo faiza ko man hi man na jana kitni baar kosh chuki thi.

Hidayat ki to himmat hi nahi ho rahi thi hamza ki taraf dekhne ki wo chupchap darwaze se chipki bhethi hui thi..

Kuch der me car haweli ke pas aakar rukti hai faiza bina der kiye andar bhag jati hai jisse hidayat use kuch kah na paye.

Hidayat aur hamza car me akale the hidayat gate kholne ki koshis kar rahi thi lekin wo khul hi nahi raha tha wo roni shakal bnakar hamza ki taraf dekht i hai lekin hamza apna phone scroll karne me busy tha tang aakar hidayat ko bolna hi padta hai.

Khan sahab gate khol dijiye please.(Hidayat said)

Meri packing kar dena main paris ja raha hu 3 din ke liye.(Hamza replied)

Ji.(Hidayat said)

Hamza hidayat ki taraf dekhta hai dono ki ankhe milti usse pahle hi hidayat apni nazre neeche kar leti hai

Hamza gate khol deta hai gate kholte hi hidayat roller coaster ki speed se andar bhag jati hai.

Hamza key driver ki taraf uchalkar haweli ke andar chala jata hai.

Iqra aur aarifa hall me bhethi sabji kaat rahi thi

Iqra hamza ko itni jaldi aata dekhkar puchti thi.

Beta aaj itni jaldi aa gaye.(Iqra said)

Hamza apni shirt ki sleeves fold karte hue kahta hai.

Ji ammi main paris ja raha hu 3 din ke liye metting hai.(Hamza said)

Kab ki flight hai beta.(Iqra said)

Aaj raat ki.(Hamza replied)

Thek hai to main hidayat ko kah deti hu packing ke liye.(Aarifa said)

Maine usko kah diya hai.(Hamza replied)

Thek hai beta.(Aarifa said)

Hamza bina kuch jawaw diye apne room me chala jata hai.

_________________________________________

I hope aap logo ko second chapter pasand aaya hoga

Wait for next part

Allah hafiz