CHAPTER # 36
Zindagi isi cheez ka hi to nam hy ky jahan humein boht si khushian ataa ki jaati hain wahan humein boht si cheezon sy azmayaa Bhi jata hy .
Zindagi esi ni hai ky agar ap boht achy ho to apky saath kabhi bura ni hoga .
Balky apko boht si cheezo sy azmaya jaye ga . Apky sath bura hoga lekin sirf is liye ky ap us mein sabar ka daman kitni mazbooti sy thamty ho . Zindagi hamara imtihan hy . Jis mein humein har bar woh ni Milta jis ki hum Dua karty hain .
Tou sawaal yeh ata hy ky kia hum Dua mangna hi chor dyn ?
Nahi balky hum or zayada duaein mangyn take akhrat mein humein uska ajar or zayada mily .
Hamara rab hum sy khush hota hy jab hum us sy mangty hain .
Chahe jitni mayusi or na umeedi keo na ho apne rab ko khush karne ky liye usky samne hath uthayein .
Jese Rabia Khan ny apna sab kuch kho diya tha . Maa Baap apna pyaar . Lekin unho ny sabar sy kam liya or is mein hi apni maslihat samjhi thi .
Woh aksar apne rab sy shikwa karti thin ky
" Ya Rab mein itni buri ni thin ky mere saath itna bura hua . Mene to mohabbat ki thi . "
Lekin phir khud hi sabar sy chup ho jatin ky yeh to meri azmaish hy to phir shikayat kesi.
Rabia Khan ki asghar sy shaadi ho gai thi . Yeh unki zindagi ka sab sy mushkil safar tha woh Bhi ese shaqs ky saath jin ky baare mein unhein malum par giya tha ky woh ghalat insan hy joh ghalat kamon mein mulawis hy .
Lekin tab boht Der ho chuki thi . Tab Waleed ko Pede hue saal ho gaya tha .
Ik din Rabia Khan chai bana kar Asghar ky liye ly jaa rahi thin . kamre mein jane hi lagi to unho ny asghar sy kisi ky saath phone par gussy mein baat krty suna tha . Jis mein woh smuggling ki bat kar Rey thy .
Rabia Khan ko Yakeen ni aya tha unky hath sy chai ka cup gir chuka tha . Or woh bhaag kar apne kamre mein aa gai thin . Lekin Asghar ko malum par giya tha ky Rabia ny sun liya hy or is ki both bhari qeemat unko adaa karni pari thi .
Asghar ny Rabia ko mara tha . Pehly woh sirf baton sy hi unko zaleel karty thy lekin aj unho ny pehli dafa Rabia ko mara Bhi tha .
Take Rabia kisi ko is bare mein kuch bata na sake .
Rabia ny ik boht mushkil zindagi guzari thi . Woh sirf is liye jeeti thin ky unka beta akela par jaye ga. Woh isi aas par jeeti ky unka ik beta Bhi hy .
Rabia khan ki jan basti thi apne bete Waleed ky andar .
Asghar ghar chor kar chaly Gaye thy . Rabia akeli rehti thi apne bete ky saath .
Asghar kafi arsy bad ghar lotaty thy woh Bhi sirf apna gussa nikalne ky liye .
Waleed jese jese bare hota Ja raha tha uski saari baton ki samjh aati Ja rahi thi .
" Mein ik din apko boht dur ly jau ga . Jahan koi apko sad ni kar sake ga . Jahan ap or mein boht khush rahein gy. "
Yeh 5 sala bacha apni maa sy yhi wada karta tha . Or Rabia khan Bhi usky liye boht si duaein karti thin .
Hussain Shah jab zindagi sy har chuky thy tab unko Allah ny ik roshni dikhai thi woh Bhi Shahzia ki shakal mein .
Shahzia ik boht achi larki thin . Jo Hussain shah ky pas kam ky silsaly mein ai thin . woh intahai khubsurat or Shareef si Larki thin.
Woh Hussain Shah ko chahne lagi thin .
Woh Mustafa ki biwi ki dost Bhi thin .
Tou in dono ko apas mein milwany mein Bhi zayadaa tar amal dakhal Mustafa or unki biwi ka tha .
Mustafa ny apne cousin asghar ki wajah sy apne dost sy dosti ni Tori thi balky asghar sy dur ho gaye thy .
Mustafa asal mein chahty thy ky hussain shah zindagi ki taraf lot aye . Or woh apne maqsad mein kamiyab Bhi ho Gaye thy .
Hussian Shah ny Shahzia sy shaadi kar li thi .
Ab woh Bhi unky saath khush rehny lagy thy .
Shaadi ky chaar saal bad Maira Peda Hui thi .
Jis ky bad Hussain shah ka pyaar shahzia ky liye or Bhi Barh giya tha. Yeh ni tha ky woh Rabia ko bhooly thy . Unho ny Shahzia ko Bhi Rabia or apne bare mein batyaa tha . Jis mein Shahzia ny ik achy humsafar ki tarah unko hosla diya tha or sambhala tha .
Maira Hussain Shah apne maa baap ki ladli si pari thi .
Woh us par koi anch Bhi nahi any dete thy .
Woh thi hi itni pyaari ky usko ko daant Bhi ni sakta tha . Apni shararton ki wajah sy usko shahzia ki taraf sy daant parti parti reh jaati thi keo ky hussain shah ki taraf sy sakht orders thy ky Meri beti ko koi kuch nahi kahy ga .
Or Waleed ki zindagi mein guzry hadsy ky bad sy Maira usky liye Bhi boht zaruri ho gai thi .
Maira ky do hi to dost thy Waleed or Aryan .
Aryan usky chachu ka beta tha lekin unky saath talukaat kharab hone ki wajah sy woh in sy dur ho Gaye thy . Maira ko woh yad to boht ata tha . woh usko apna Chota bhai smjhti thi keo ky Aryaan Maira sy ik saal chota tha .
Lekin zindagi ka konsa pata tha ky akhir mein woh sab ka samna karwa de gi .