Chereads / Atish-e-Dillagi / Chapter 39 - Atish-e- Dillagi

Chapter 39 - Atish-e- Dillagi

CHAPTER # 39

Aj ki raat boht mushkil thi . kal Maira ki ruksati thi . Or woh akeli chat par bethi bas apne maa baap ko yad kar rhi thi . 

Kitna dard hota hy kitni takleef hoti hy jab waleden apky sath na hon . 

Kia thi uski zindagi or kia ban gai thi in salon mein .

Sab barbad ho giya tha . Na jane kitne wady thy Jo baap beti ky darmian adhure reh gaye thy . Lekin dukh un wadon ka adhura reh jany ka ni hota dukh tab hotaa hy jab woh shaqs sath na ho jis ky saath woh wady kie gye hon.

" Mera koi qasoor ni tha ya Allah ! . keo mujh sy Mera Sab kuch cheen liya . Mene to abhi zindagi jeena Bhi shuru ni kiya tha or sab kuch cheen liya mujh sy mera zinda rehna ka wahid sahary thy woh . Zinda hun to lagta hy ky shaid mene mama baba sy kabhi pyaar hi ni kiya . Isi liye zinda hun . Warna mar chuki hoti kab ki . Dil to mar giya kab ka magar Mera . "

Maira ki awaaz mein nami ghulne lagi thi woh bas samne asmaan mein mojood Chand ki taraf dekh kar bs apne rab sy shikwa kar rahi thi .

" Woh maa baap thy mere . Unky bagher zindagi ka tasawar Bhi ni kia tha kabhi mene . Mein itni buri to na thi ky sab mujy chor jayein . Mama baba chor Gaye or woh kha... "

Abhi Maira bolti ky woh chup ho gai . 

Uski kal ruksati thi .

Usy yaqeen ni aa rha tha kal usny kisi or ky nam ho jana hy . 

Kaha tha na wady takleef ni dete jis sy wada kia ho uska chor jana takleef deta hy .

Ik hi to farq hota hy wadon mein or yadon mein 

"Wady" log Tor jaty hain or

"Yadein" humein Tor jati hain .

Maira phoot phoot kar rone lagi thi or phir koi bat yad any par hanse lagi . Ese maloom hota tha kisi ka dard uski hansi mein badla ho . Or is sy barh kar kia aziaat hogi .

" Mohabat , Wada , Wafa or tarke taluq 

Jo kuch tum ny chaha , Nibhaya hum ny ."

 Aj ruksati thi . Maira or Sara dono subah hi parlor Ja chuki thi .

Parlor jaty hue bhi Maira Sara or Usky ghar walon ky sath lag kar boht roi thi . Jo Bhi tha lekin Yousuf sahb ny Baap wala maan diya tha . Or Maira ky liye yeh sab boht azeez thy .

Parlor aa kar woh tyaar ho chuki thi or sath hi Sara Bhi . 

Yahan sy seedha unko Hall jana tha . 

Unko lene Yousuf Sahb khud aye thy . 

Maira ny Laal rang ka kamdaar lehnga pehna tha jis ky upar heavy dupata tha or neeche heel pehni thi. 

Or sara ny saari pehni thi silver color mein .

Woh dono boht haseen lag rahi thin . 

Hall mein ponchne ky kuch waqt baad nikah ki rasam shuru Hui thi .

Maira ko Bhi haal mein ly aya giya tha . Or pardy ky paar usy betha diya giya tha .

Maira Hussain Shah apka nikah Waleed Ahmad khanzada ky sath ty Paya hy kia apko yeh nikah qubool hy . "?

Nikah khua ny poocha tha jis par Maira chup thi .

Na jane keo lekin Waleed ka pura Nam usko boht kuch yad karwa giya tha .

" Khan "

Usky hont beawaaz hily thy or ansu toot kar uski ankhon sy beh Gaye thy . Yeh Nam . Aksar yadein takleef dy hoti hain.

Or phir usne Halky sy bola tha 

" Qubool hy ."

Usy achanak Alex yad aya tha us sy ho chuka nikkah lekin woh us nikah ko ni manti thi.

Boht sy Khayalat or yadein dagmag hony lagi thin .

" Qubool hy ."

" Qubool hy ." 

Dusri taraf sy bhi Waleed ny 3 dfa qubool hy kaha tha . 

Or isi tarah Maira Waleed ky name ho chuki thi . 

Maira ko pehly hall ky room mein ly gye thy keo ky uski halat kuch theek na thi . Or phir kuch sambhalne k bad usy Wapis laya giya tha .

Is bar usne ghoongat ni liya hua tha

Or Waleed jahan tha wahin tham chuka tha.

Maira aj waqai mn mamool sy hat kar haseen lag rahi thi .

Maira ko stage par charhne mein Waleed ny apna hath kiya tha .

Maira ny Pehly Waleed ko dekha phir usky hath ko or phir Halky sy hath usky hath mein diya tha . Sard hath . intahai sard hath thy Waleed ky . Maira ko Bhi ik bar to jhatka lga tha .

Mairaa ko dekh Waleed ky mu sy sirf yhi nikla tha ky 

" Ya Allah shukar " .

Ruksati ka waqt aa giya tha . Maira boht roi thi . Yousuf Sahb sy Bhi Milty hue woh boht roi thi . Yousuf sahb ki aankhein Bhi Nam thin .

Akhir beti thi unki .

Or isi tarah afsurda mahol mein Maira ko ruksat kar diya gaya tha .