Chereads / Raah-E-Hijr / Chapter 22 - 22.

Chapter 22 - 22.

Aaj ka din bilkul maamooli tha, lekin university mein maamooli din bhi kabhi kabhi ajeeb tarah se interesting ho jaata hai. Maham, Summayya, aur Maira bookshop mein khari thi, course material lene ke liye, lekin hamesha ki tarah woh guftagu aur mazaq mein lag gayi thi.

"Maira, tumhara itna patla sa notebook dekh kar lagta hai ke tumhari zindagi mein sab kuch sorted hai," Maham ne hansi mein kaha.

Maira ne bhi hass kar jawab diya, "Aray yeh mera phir bhi heavy hai, tum apna bag check karo, tumhari kitabein itni moti hain ke lagta hai tum PhD kar rahi ho!"

Summayya, jo apni kitaabein dekh rahi thi, ne bhi has kar kaha, "Haan Maham, tumhara bag dekh kar to mujhe lagta hai ke tum har class mein library le jaati ho."

Teeno larkiyan ab hansi mein ghul gayi thi, jab achanak Shehreen ka phone aaya.

"Maham, jaldi aao bus yard mein, warna seat nahi milegi! Buses nikalne wali hain!" Shehreen ne apne hamesha ke urgent lehje mein kaha.

Maham ne ek dum se jaldi machayi, "Oh no! Summayya, Maira, jaldi karo, warna bus chali jayegi, hum wahan khade reh kar intezaar karte rahenge!"

Teeno larkiyan jaldi se apni kitaabein rakh kar bus yard ki taraf daudi. Jab wo pohanchi, to hamesha ki tarah thodi bheer thi, lekin wo bus ke andar pahunch gayi thi. Sab tezi se apne apne seat grab kar chuki thi.

Jab teeno larkiyan seat pe baithi, toh hans hans ke unka bura haal ho gaya.

"Kya safar hai, hamesha seat ke liye ladna padta hai!" Summayya ne hansi rokne ki koshish karte hue kaha.

"Yeh to university ke asli struggles hain," Maira ne kaha, "Bus ki seat pehle grab karo, nahi to aglay do ghante khaday rehna padta hai."

"Haan, bilkul. Aur Shehreen to hamesha humse ek step aage hoti hai!" Maham ne tezi se jawab diya, aur teeno phir se hansne lagi.

-

Is dauran, Nain aur Naurez Main Cafeteria mein chali gayi thi. Unko apne lamba safar (2 ghante ka) karna tha, to snacks lena zaroori tha. Dono ne apni pasand ka samaan khareeda aur maze se baith gayi, jab achanak cafeteria ke ek kone mein shor machne laga.

"Aray, yeh kya ho raha hai?" Nain ne heran ho kar kaha.

Naurez ne thoda aage ja kar dekha aur hass kar boli, "Oh my God, ladai ho rahi hai. CS wale aur MS wale phir se ulajh gaye hain."

"Aray yaar, hamesha inka koi na koi masla hota hai," Nain ne thoda tang aa kar kaha, lekin dono phir bhi maze se scene dekhne lagi.

CS (Computer Science) department ke ladke MS (Management Sciences) ke larkon se lad rahe the. Pehle to lagta tha ke baat zyada nahi barhegi, lekin jald hi Biological Sciences (BS) department ke larke beech mein aa gaye, aur unko shant karne ki koshish karte karte khud hi ladai mein phans gaye.

"Tusi kithon aaye ho? Chal hatt oye!" ek Punjabi CS wale ne MS wale ko dhakka dete hue kaha.

MS wala larka ne ghusse se jawab diya, "Tameez se baat kar, warna idhar hi dekh lenge!"

Beech mein ek BS ka larka samjhate hue bola, "O yaar, chill karo, baat itni serious nahi hai."

Lekin ek CS wala larka jhatak se bola, "Tu rehne de, yeh larki ka masla hai, tu kya jaane!"

Asal mein, yeh sab ladai ek chhoti si baat par shuru hui thi. Ek CS wale larke ne MS department ki ek ladki ko chair nahi di thi, jab ke uss ladki ne request ki thi. Ladki ke saath rude behave karne par MS department ke larkon ne iss baat ko zyada seriously le liya, aur ladai shuru ho gayi.

Ek MS wala larka ghusse se chilla ke bola, "Tu kaun hota hai humari department ki larki se aise baat karne wala?"

Aik aur CS wala larka, jo asal mulk se Pushto bolne wala tha, ne apne accent mein jawab diya, "Ham kuch nahi karte, tum samajh nahi aata."

Ab jo shor tha, usmein Punjabi, Urdu, aur Pushto sab ghul mil gayi thi.

"Tum CS walon ki hamesha yeh problem hoti hai, tumhein tameez nahi aati!" MS wala ek aur larka daikhte hue bola.

CS wala larka chhati pe haath maar ke bola, "Tameez? Tameez ke lecture mat do, apni larki ko tameez sikhao!"

Ek dam se cafeteria ka mahaul garam ho gaya. Larkay ek doosre ko dhakka maar rahe the, aur chairs hawa mein ud rahi thi.

"Oye, oyeee!" ek Punjabi BS wala larka chilla raha tha, "Yeh kya bakwaas hai!"

Jab situation haath se nikal gayi, larkon ne ek doosre par chairs phenkni shuru kar di. Naurez aur Nain ne ek doosre ko dekha, dono ne samajh liya ke ab time aa gaya hai wahan se nikalne ka.

"Chalo, bhaago!" Nain ne daud lagate hue kaha.

Dono larkiyan tezi se cafeteria ke gate se bahar nikal gayi. Jaise hi wo bahar ayi, unhone dekha ke andar ab situation aur bhi out of control ho chuki thi.

"Aray, yeh to serious ho gaya hai!" Naurez ne hansi chhupate hue kaha.

Nain bhi hass rahi thi, lekin andar se thoda tense thi, "Yeh larkay kabhi nahi sudhrenge!"

Jab dono larkiyan cafeteria se nikal kar door pohanchi, to andar se chairs phenkne ki awaaz aane lagi. Kayi larkay ab bhi fighting mode mein thay. Ab Allied Health Sciences (AHS) department ke larkay bhi wahan aa gaye thay, jo hamesha aise moqay per heroic entry maarte thay.

"Ab to fun shuru ho gaya hai!" Naurez ne hass kar kaha.

Ek AHS ka larka chillate hue cafeteria ke andar ghusa, "Chhodo yaar, kya kar rahe ho!" lekin jab usay dhakka laga to wo khud bhi fight mein ghus gaya

--

Itne mein, university ke teachers bhi wahan pohanch gaye, aur sab ke sab efforts karne lage ke ladai ko roka jaye. Lekin sabse zabardast entry thi Sir Malhi ki, jo hamesha aise situations mein aakar hero banna chahta tha.

"Band karo yeh sab!" Sir Malhi chillate hue cafeteria ke andar daakhil hue. "Tum log samajhte kya ho, yeh university hai ya wrestling ring?"

Lekin Sir Malhi ki chillahat ka koi asar nahi ho raha tha. Larkay ab bhi ek doosre pe chairs uchaal rahe thay. Ek larka Sir Malhi ki taraf mud kar bola, "Sir, wo pehle larke ne start kiya tha, hum to bas jawab de rahe hain!"

Malhi ne ghusse se kaha, "Jawab tum log baad mein do, pehle ladai band karo!"

Larkay thode daer ke liye ruk gaye, lekin ek larke ne jhat se ek aur chair uchaal di, jo seedha Malhi ke pass ja ke lagi.

Bahaar, Nain aur Naurez maze se yeh poora scene record kar rahi thi.

"Yaar yeh scene viral ho sakta hai, Sir Malhi ki entry to zabardast thi!" Naurez ne maze se kaha.

"Haan, aur wo chair ka Malhi ke upar girna... epic!" Nain ne hansi dabate hue kaha.

Dono larkiyan ab wahan se door nikal gayi thi, lekin andar ka tamasha dekh kar unka pura din ban gaya tha.