Nain aur Muhammed Amir donon alag alag buses se utar rahe thay, jaise har roz ka aik mamooli routine ho. Lekin aaj kuch alag tha. Dono ne ek doosre ko dekha nahi.
Nain apni doston ke saath chal rahi thi, hansi mazaq mein masroof thi.
Lekin jab usne jhat se ek nazar uthayi, toh uski aankhen Amir ko talash kar rahi thi.
Muhammed Amir apne doston ke beech khada tha, maze se baat kar raha tha, lekin Nain ki taraf dekha nahi. "Shayad wo busy hai," Nain ne socha aur apne doston ki taraf wapas muskurahat ke saath mod gayi. Uski aankhon mein ab bhi ek masoom si chamak thi, jaise dil ke andar chhupi baat uski muskurahat mein ghul gayi ho.
Doosri taraf, jab Amir ne aksar waqt par apne doston se baat karte hue ek nazar Nain ki taraf daali, toh usne dekha ke Nain apni doston ke saath hans rahi thi. Uski aankhon mein wo muskurahat thi jo Amir ko hamesha ghabrahat mein daal deti thi. "Kya wo bhi mere baare mein sochti hai?" Amir ne apne dil mein socha.
"Yaar, tu kyun is ladki se baat nahi kar leta? Seedha propose kar, khatam baat!" Amir ka sabse qareebi dost, Aslam, ne Punjabi mein cheekh maar kar kaha. Uska andaz hamesha hi waisa tha—seedha aur loud.
Amir ne hansi dabate hue sir hilaaya. "Yaar, main kya kahoon? Mujhe nahi pata ke wo mere baare mein kuch mehsoos bhi karti hai ya nahi," Amir ne thoda hesitate karte hue jawab diya.
"Balle balle! O yaar, tu aise kab tak chalega? Jehdi nafrat lagdi hai tainu? Propose kar, jedha hovega dekha jayega," Aslam ne phir se zor se kaha.
Amir ne thodi si sharamate hue kaha, "Pehle yeh to pata chale ke uske dil mein kya hai. Shayed wo mujhe waise nahi dekhti jaisa main use dekhta hoon."
Aslam ne hansi mein kaha, "Bas tu dekh lenda, tainu pata chal jana hai."
Amir ne sir hilaate hue chhup kar ek baar phir Nain ki taraf dekha, lekin wo ab apni doston ke saath chali gayi thi.
Nain ne apne bag se phone nikala aur doston ke saath apne lecture ke liye chal padi. Aaj ka din relaxed tha. Unho ne mil kar decide kiya ke thoda maza lo aur pizza order karte hain.
"Yaar, aaj pizza ka plan bana lo," Maira ne excitement se kaha. "Lecture ke baad hum maze se lunch karenge."
"Haan! Aur uske saath kuch achha sa gossip bhi," Maham ne muskurate hue kaha.
Sab larkiyan excited ho gayi, aur unhone mil kar pizza order karne ka faisla kiya. Lecture ke baad, sab cafeteria mein ikattha hui aur pizza ka intezaar karte hue apne hamesha ke mazaqon mein lag gayi.
"By the way, King Cobra kahan hai aaj?" Shehreen ne teasingly poocha, sabko maloom tha ke wo kis ke baare mein baat kar rahi thi.
"Oh God, King Cobra!" Nain ne apna sar pakar kar kaha, "Atif Shah ka wo cheap perfume smell! Mujhe lagta hai wo perfume nahi, zeher lagata hai!"
Sab larkiyan zor zor se hansne lagi. Atif Shah jo unka Student Vice President tha, kaafi strict tha, lekin uska perfume ek ajeeb si badbu karta tha. Us perfume ki wajah se sab ne uska nickname "King Cobra" rakh diya tha, jaise wo zeher uda raha ho.
"Main to kehti hoon, wo perfume koi chemical reaction karta hai. Har dafa jab wo pass hota hai, mera sir ghoomta hai," Maham ne hans kar kaha.
"Haan, yeh banda to bas ik baat karne ka intezaar karta hai taake apne zeher se sabko maar sake," Nain ne maze mein kaha.
Summayya ne bhi chhup kar ek comment kiya, "Tum logon ko pata hai, ek dafa jab wo humare paas aaya tha, to main literally bathroom bhaag gayi thi! Mera gala dry ho gaya tha."
Larkiyan ab sirf pizza ke intezaar mein nahi thi, balki apni roasting session ka poora lutf utha rahi thi. Pizza delivery aayi, aur sab larkiyan maze se khaane lagi, lekin saath hi apni Student Vice President ka mazaak chal raha tha.
"Waise, seriously, koi Atif Shah ko bataye ke perfume ki market mein kuch aur options bhi hain," Naurez ne hasi mein kaha. "Ya phir hum sabko mask pehnna padega jab wo aas paas ho."
Naurez ne mazaak ko aur barhaya, "Nahi yaar, mask bhi kamzor par jayega. Humay hazmat suit pehna padega."
Sab larkiyan hass hass kar lootpot ho rahi thi, lekin andar se har koi relaxed tha. Yeh wo waqt tha jab unki zindagi mein har cheez theek lagti thi, sirf ek doosre ke saath hone ka sukoon tha.
Muhammed Amir ne thodi doori se Nain aur uski doston ko dekha.
Aslam ne phir se usay tang karte hue kaha, "Tu bas dekhte rehna. Munde ayse kaise kuch hone wala hai?"
Amir ne chup kar sir hila diya. Lekin andar se wo ab bhi yeh soch raha tha ke kab aur kaise wo apne jazbaat Nain tak pohancha sakta hai.
"Kab tak yeh chhupi nazrein chalengi?" usne apne dil se poocha.
Lekin jab tak jawab milta, tab tak wo apne jazbaat ka intezaar karta raha.