Chereads / Raah-E-Hijr / Chapter 17 - 17.

Chapter 17 - 17.

Aaj university mein Voting Day tha, jahan Student Boy President aur Vice President ke elections ho rahe thay. Jo bhi jeetega, usay har department ke SVLs ka incharge banaya jana tha, aur unka kaafi important role hota. Maham toh apni SVL duties mein puri tarah phansi hui thi. Usne din ki shuruaat hi kaam ke saath ki thi, kyunki voting ke management mein bhi usay madad karni thi.

"Yeh SVL ka kaam kabhi khatam hoga?" Maham ne thoda exhausted hote hue apne aap se kaha, jab usne students ko lines mein lagate hue dekha. Aaj usay Maira aur Summayya ki bohot yaad aa rahi thi kyunki dono university nahi ayi thi. Maira ne kaha tha ke wo apna project complete kar rahi hai, aur Summayya ki bhi koi family engagement thi. Isliye aaj Maham bilkul akeli thi.

Shehreen bhi nahi ayi thi kyunki wo bimaar thi. Isliye aaj ka din Maham ke liye aur zyada tiring aur boring ho gaya tha.

--

Doosri taraf, Nain, Kainat, aur Naurez ka group university mein ek saath tha. Aaj koi free classes nahi thi, isliye teeno ne campus mein ghoomne ka plan bana liya tha. Lekin ghoomte ghoomte thodi der baad Kainat bilkul thak gayi.

"Yaar, main toh thak gayi hoon. Mujhse aur nahi chala jaa raha," Kainat ne thakawat bhare lehje mein kaha aur seedha tiles par baith gayi.

Naurez ne thoda embarrassed hokar Nain ke kaan mein dheere se kaha, "Yaar, mujhe bohot sharam aa rahi hai. Kainat kaise aise university ke beech mein baith gayi? Kitni ajeeb lag rahi hai!"

Nain ne thoda hans kar Naurez ko dekha aur kaha, "Chhodo na, wo thak gayi hai. Waise bhi koi notice nahi kar raha."

Lekin Naurez ab bhi thoda sharmindagi mehsoos kar rahi thi. Kainat ka aise beech campus mein tiles par baith jaana uske liye thoda awkward tha.

Kuch der baad, Naurez aur Nain fees submit karne ke liye accounts department ki taraf gaye. Wahan ek lamba queue tha, lekin dono ne patiently intezaar kiya. Jab finally unki baari ayi, toh wo dono glass door ke qareeb pohnch gaye. Tabhi achanak se Muhammad Amir samne se aaya.

Amir ka usual casual andaz tha—black shirt, jeans, aur confident walk. Usne dheere se glass door khola aur ek nazar Nain ki taraf kiya. Uske chehre par wo subtle smile thi jo hamesha hoti thi, aur usne apna haath barhakar door ko khol kar rakha.

"Tum pehle guzro," Amir ne apni aankhon se Nain ki taraf ishara karte hue kaha.

Nain ne halki si sharmindagi ke saath uski taraf dekha aur jaldi se glass door se guzar gayi. Naurez bhi Nain ke saath thi, lekin un dono ko lag raha tha ke Amir ka gesture thoda unexpected tha. Jab wo dono andar chali gayi, toh Amir bhi unke peeche aaya aur wapas apni raah par chala gaya.

Jab wo dono kaam khatam karke wapas aye, toh Naurez ne hansi ke saath Nain se kaha, "Tumne dekha? Muhammad Amir ne tumhare liye door khola! Wah, bhai, ab toh seriously kuch scene lag raha hai!"

Nain ne thoda blush karte hue kaha, "Aray, chhodo yaar. Usne bas formally behave kiya hoga."

Lekin Naurez ne phir se tease karte hue kaha, "Formally? Tumhein nahi lagta ke yeh formality se zyada tha? Tumhare liye door kholna, ek subtle smile, aur phir tumhe follow karna? Yeh sab signs hote hain!"

Nain ne haan mein sir hilaya, lekin andar se wo bhi soch rahi thi ke Amir ka yeh gesture waqai kuch alag tha. "Mujhe nahi pata, lekin itna overthink karna theek nahi. Waise bhi, sab kuch randomly hua," Nain ne thoda defensive tone mein kaha.

Naurez ne phir se hans kar kaha, "Tum toh jaise bhi innocent ho, Nain."

Nain ne sirf muskurate hue apni nazar neeche kar li, lekin uske dil mein Muhammad Amir ke liye ek ajeeb si excitement thi. Shayad yeh sab kuch waqai randomly nahi tha.

--