Chereads / Raah-E-Hijr / Chapter 6 - 6.

Chapter 6 - 6.

Muhammed Amir ko aik larki mai interest tha, lekin wo abhi tak samajh nahi pa raha tha ke usse baat kaise kare. Wo apne dost Shawaiz ke saath university ke lawn mein baitha tha, dono hamesha ki tarah casual doston wali guftagu kar rahe thay. Shawaiz, jo amooman rudeness aur thodi si carelessness ka shikar tha, hamesha apne mazak mein rehne walay andaaz se baat karta tha.

"Yaar, main ek larki ko pasand karta hoon," Amir ne dheere se shuruat ki, thoda jhijak ke saath. "Lekin samajh nahi aa raha ke seedha baat karoon ya online message se shuru karoon?"

Shawaiz ne apni usual careless tone mein hansi maarte hue Punjabi mein jawab diya, "Jo krna hai kr pai, mainu ki kaira. Jehda marzi tareeqa chak lay. Par mainu lagda hai tu jinne vi tareeqay la layein, ohdi koi sahili mil jani ain." Usne sarcastic smile di aur shoulder shrug kar diya.

Amir ne thoda frustrate hote hue kaha, "Yaar, main serious hoon. Tum hamesha mazak mein lete ho. Mujhe samajh nahi aa raha ke direct approach theek rahega ya pehle thoda baat karoon online."

Shawaiz ne phir se shoulder uchaate hue kaha, "Dekho, yaar, tu hadd vi kar. Jehda tareeqa asaan lagda ae, ohi chak lai. Direct ja ke gal karna ae tan kar le. Nahi tan online, jo tera dil kehnda ae." Phir thodi si hansi daba ke bola, "Mainu taan lagda ae, ohdi sahilian zyada hi hoyan gi. Ainu takkar dain layi teri himmat honi chahidi ae."

Amir ne Shawaiz ki side-eye se taraf dekha, thoda soch mein para raha, lekin Shawaiz ke rude andaz ke bawajood, wo janta tha ke Shawaiz ka yeh tareeqa tha doston ko easy feel karwane ka.

"Main soch raha hoon ke thoda waqt lo aur samjho pehle," Amir ne thoda se serious ho kar kaha. "Lekin yeh bhi nahi chah raha ke late ho jaaye."

Shawaiz ne thoda sarcastic tone mein kaha, "Haan, late ho jaavega, phir koi hor munda aake le javega. Tu taan chill kar, bas jaake keh de. Je na bhi keh di taan, kamaz kam clarity tan hoegi."

Amir ne sir hila kar kaha, "Hmm, tumhara point hai." Phir wo chup ho gaya, apne options ke baare mein sochta raha.

Us waqt Zoology Department ka Abdullah wahan se guzra. Abdullah, jo apne department ka SVL (Student Volunteer Leader) tha, ek lively aur popular banda tha. Uske saath ek larki thi, jo usse casual baat kar rahi thi. Abdullah apne usual fun-and-friendly andaz mein us larki se pooch raha tha, "Juice piyogi? Yahan ke juices famous hain, maine suna hai."

Larki thoda hansi dabate hue jawab de rahi thi, "Juice? Tumhein hamesha khana yaad rehta hai."

Amir ne ye dekha aur socha ke shayad Abdullah se mashwara lena sahi rahega. Abdullah ko waise bhi sab departments mein sab kuch pata hota tha, aur wo dosti karne mein maahir tha.

"Shawaiz, ek second," Amir ne kaha aur Abdullah ke paas chala gaya.

--

Doosri taraf, Nain apni lectures mein masroof thi. Aaj ka lecture kaafi serious tha, aur unka topic pregnancy aur reproductive health ke upar tha. Lecturer, Dr. Sana, kaafi detailed discussion kar rahi thi aur Nain bohot focused thi. Lecture ke dauran, unki attention puri tarah subject pe thi, lekin andar se wo Muhammad Amir ke baare mein bhi soch rahi thi.

Lecture ke baad jab wo class se bahar nikal rahi thi, to Maira aur Summayya se mil gayi. Wo dono wahan khadi thi aur Maira hamesha ki tarah energetic andaz mein baat kar rahi thi. "Nain! Tumhein pata hai, Muhammad Amir CS nahi, balki Robotics department ka student hai! Aur tumhe aur bhi ek baat pata hai?"

Nain ne thoda surprised hote hue kaha, "Kya?"

Maira ne aankhon mein excitement bhar ke jawab diya, "Woh hamare department ke saath English lectures le raha hai! Tumhare Mr. Robotics ab English seekh rahe hain."

Nain ne sharmate hue haath se Maira ko lightly push kar diya, "Itni zor se uska naam kyun le rahi ho? Aaram se bol lo, yeh walls bhi sun leti hain!"

Summayya ne mazak mein kaha, "Haan, aur agar walls sun lein, toh khud Muhammad Amir bhi pata nahi kahan se samne aa jaye."

Nain ne un dono ki baatein sun kar thoda sa afsos se kaha, "Kash tum dono thoda ahista bolti. Waise bhi, English lecture wala baat toh interesting hai."

Maira ne thoda tease karte hue kaha, "Interesting? Aur kya, wo tumhara future Robotics engineer hai, Nain!"

Nain ne Maira ki teasing tone ko ignore karte hue sirf muskurahat di. "Chalo, ab itna shor nahi machao. Chalti hoon, humein usual jagah par baithna hai."

Teeno larkiyan apni usual jagah ki taraf chal di, lawn ke peechay waali bench par, jo hamesha unka favourite spot hota tha. Raste mein Maira ne phir se conversation shuru ki, "Summayya, tumhein kya lagta hai? Nain aur Robotics wala combination kaise lag raha hai?"

Summayya ne mazahiya andaz mein jawab diya, "Waise Robotics aur Biology ka fusion toh kamaal ka combination ho ga. Imagine Nain as a scientist and Muhammad Amir as her assistant."

Nain ne sarcastically jawab diya, "Tum dono bohot funny ho. Bas kar do ab yeh imagination wali baatein."

Maira ne ab phir thoda serious hote hue kaha, "Waise Nain, ab jab tumhe pata chal gaya hai ke Amir Robotics ka hai, toh tum uske lectures pe thoda aur focus kar sakti ho."

Nain ne is baat pe sirf halka sa smile kiya aur kaha, "Dekho, focus toh abhi sirf studies pe hi hai. Tum log jitna mazaak bana rahi ho, utna kuch nahi hai."

Summayya ne hansi karte hue kaha, "Acha, acha. Hum sirf mazak kar rahe hain. Lekin seriously, agar tum chahti ho ke kuch aage barhe, toh humein zaroor batana."

Nain ne haan mein sir hila diya, lekin wo andar hi andar is baat pe soch rahi thi ke kya sach mein Muhammad Amir se koi connection banega ya ye sirf ek chhoti si attraction thi.