Agley din Maira ko aik ajeeb si baat ka pata chala. Wo larka, jo pichlay din heavy bike par tha aur jisne uska dil ek ajeeb si halchal mein daal diya tha, usi ke department ka student tha. Uska naam Waleed Ahmed tha, aur sabse shocking baat yeh thi ke uska roll number 62 tha—bilkul Maira ke roll number, 63, ke saath!
Maira ne jab yeh baat suna, toh usay ek halki si hansi ayi, lekin dil ke kone mein ek ajeeb si excitement bhi thi. "Yeh wahi larka hai jo bike par tha," usne andar hi andar socha. Waleed Ahmed kaafi chilled out aur cold personality ka malik tha. Uska baithne ka style bhi bohot casual tha, jaise duniya ki koi parwah na ho. Wo apni seat par aise baithta tha jaise har cheez uske control mein ho.
Maira ne apni aankhon ke kone se dekha, jab Waleed ne class ke dauran casual andaaz mein apni seat par baith kar apne notes nikale. Uska relaxed posture, aur bilkul beparwah andaz Maira ko aur curious kar raha tha. Phir aik moment aaya jab Waleed ne apni nazar uthai aur Maira ki aankhon se milayi. Maira ka dil ek pal ke liye ruk gaya. Uske chehre par koi sharam ya ghussa nahi tha, bas ek cold, steady gaze jo Maira ko dekh rahi thi.
Maira ne foran apni nazar hata li, lekin usay mehsoos hua ke Waleed ki aankhen ab bhi uspar thi. Uska dil dhadak raha tha, lekin usne apni feelings ko daba kar apni file khol li. Haroon ka achanak se awaaz sunayi diya.
"Maira! Presentation ke discussion ke liye aana hai ya nahi?" Haroon ka usual mazakia lekin thoda teasing tone wapas aaya.
Maira ne apni files band karte hue jawab diya, "Haan, aa rahi hoon. Ab kyun chillate ho?"
Haroon ne hans kar kaha, "Acha acha, chill. Hum sab wait kar rahe hain."
Summayya bhi wahan agayi aur Haroon ke saath planning mein shamil ho gayi. "Maira, jaldi karo. Presentation ke ideas discuss karne hain."
Maira ne ek baar phir classroom ke corner mein Waleed ki taraf dekha, lekin is dafa wo apni seat par relaxed style mein baitha apne phone mein masroof tha. Maira ko lag raha tha ke usne kuch mehsoos nahi kiya hoga, lekin ander se usay lagta tha ke Waleed ki aankhen uspar ab bhi thi.
Maira ne apna saara focus wapas Haroon aur Summayya ki taraf kar liya aur presentation ke discussion mein busy ho gayi. Lekin Waleed ka woh casual andaz, uski aankhon ki intensity, Maira ke zehen mein ghoomti rahi.
--
Maham aj apne din ke akhri lecture ke baad thodi thaki hui thi. Aj ke lectures bohot lambe aur tiring thay, aur wo sirf ek seat pe baith kar aaram karna chahti thi. Lekin Maham ko pata tha ke Route 2 ki bus mein seat milna bilkul asaan kaam nahi hoga. Har roz larkiyan aur larkay bus ke liye race lagate thay, aur Maham ko lagta tha ke seat lene ke liye unko kuch extra effort karna padega.
Maham ne apni dosti ki Shehreen ko dekha aur kaha, "Yaar, Route 2 pe seat milna mushkil hota ja raha hai. Hamesha khaday rehna padta hai."
Shehreen ne haan mein sir hila kar kaha, "Haan, seriously. Aaj to main bhi thak gayi hoon. Chalo kuch sochte hain."
Maham ne thoda soch kar kaha, "Tumhe kya lagta hai, agar hum kisi se keh dein ke bags seats pe rakh dein before university gates open? Kya yeh idea kaam karega?"
Shehreen ne thoda socha aur phir bola, "Haan, idea bura nahi hai. Waise tumhare class mein Fawad bhi Route 2 pe hi jata hai na?"
Maham ne muskurate hue haan mein sir hila diya, "Haan, Fawad. Wo achha banda lagta hai, aur waise bhi kaafi helpful hai. Chalo usse poochte hain."
Shehreen ne ek chhoti si smile ke saath jawab diya, "Theek hai, let's ask him."
Dono larkiyan Fawad ko dhoondhne nikli, aur kuch der baad unho ne usay apni class ke qareeb dekha. Fawad ek tall, well-built larka tha, jo hamesha gentle aur friendly nature ka lagta tha. Uske thick glasses usay thoda intellectual look dete thay, aur uska andaz hamesha cool aur composed hota tha.
Maham ne thoda hesitate karte hue Fawad ko approach kiya, "Hey, Fawad, ek favor chahiye tha."
Fawad ne apne friendly smile ke saath kaha, "Haan, bolo. Kya chahiye?"
Maham ne thoda awkwardly kaha, "Woh Route 2 wali bus mein seat ka problem hota hai na, toh socha ke tum bags seats pe pehle se rakh do. Hum tumse pehle wahan nahi pahunch paate."
Fawad ne thoda hansi ke saath jawab diya, "Aray yaar, itni chhoti si baat ke liye poochne ki zaroorat nahi. No problem, main bags rakh doon ga. Tum dono araam se aana."
Maham ne halki si hansi ke saath shukriya ada kiya, "Thank you, Fawad. Tum waqai helpful ho."
Shehreen, jo peechay se observe kar rahi thi, ne Fawad ke nature ko notice kiya. Usne dheere se Maham ke kaan mein kaha, "Fawad waqai ek bohot kind banda lagta hai. Har waqt gentle aur ready to help."
Maham ne haan mein sir hilate hue kaha, "Pata nhi andar se kia chiz hai."