log kya sochenge, log kya bolenge yeh sb baatein sikhai jaati thin uss nanni si jaan ko. ho jaoge badnaam zamana kharab hai yeh baat use sab ne samjhai thi.na jaane kis roop mein usne khud ko dhaal kr banai thi.naa drti thi kisi se naa khauf kabhi usne khai thi. main sherni hoon apne abbu ki yeh baat usne duniya ko batai thi. raasta nhi aasaan manzil ka, woh baat use thi manzoor hamesha. naa chahiye kisi ka saath manzil tk yeh himmat usne dil me laayi thi.
logon ki baaton se tha dil uska kayi baar tootaЁЯТФ.
(kar loongi handle main yeh lafz hamesha se tha uska jhootha). toot kr roo-ti thi raaton ko yeh soch kr ki kya izzat mere abbu ki bach paayegi. kya kehte hain log kaisi ladki hoon main yeh baat jb abbu ke kaanon tk jaayegiЁЯШХ. toot jayenge woh jb ehsaas unhe iss baat ka hoga ki kaise meri beti ne meri izzat khaandaan mein lutai thi.
(raat guzar jayegi jaise taise .phir subah jhoothi hasi muskuraungi. bhool jaungi logon ke taane,naa lutaungi izzat abbu ki zamane mein,krke kuch accha dikhaungi. sherni hoon apne abbu ki тЭгя╕П (main beta bnn ke dikhaungiЁЯЩВ)..