valentine ke mahine me ek subah woh roshni ki tarah aayi. thodi "choti si" thodi "moti si" chehre pe noor leke,
khushi bhot thi sbko uske aane ki.
uski ammi ko ek cute si wajah mil gayi thi muskurane ki,
pyaari si woh apni maa ke aanchal mein bhot khush thi. maaasomiyat thi uske chehre pe, aankhon me haya thi.
choti si thi jaan woh gussa uska khaandani tha.
,koi na de kuch toh gussa woh ho jaati thi.ammi se baat na krna, kbhi-kbhi bina khaye so jaati thi.
choti si umar me sapne bade the uske. duniya ko dekhna chod kr woh khud sb kuch seekhna chahti thi.
shaadi krna bhool kr apne abbu ki dhaal banna chahti thi . nahi pta tha use iss duniya ka struggle. phir bhi sbko khush rakhna chahti thi.
nikal gayi collage ki taraf apna khwaab poora krne.
bhool kr saare restrictions .shiddat se kiya sb usne maani nhi haar. "kya hoti hai ek ladki?", "kya hota hai uska khwaab?". dikhana chahti thi duniya ko ki kya hoti hai beti . chal padi thi mushkil raah pe akele hi. rakha tha sabr usne jb baat uski shaadi ki aayi thi.
kya hai uska khwaab usne apni ammi ko batai thi.
le lena jaan meri,
krne do pehle khwaab mera poora mujhe.
banna chahti thi woh apne abbu ki dhaal.
sherni kaho yaa beti donon hi uska audaa hai.
paa ke rahegi woh manzil apni, naa rok payega koiii usee...
,ek din chamkegi banke kahinoor woh. kahegi apne abbu se "lo ban gayi main tumhara chota beta lo dekh lo mujhe❣️"...