Urwa ko begum nusrat ki sadkey wari jaun wli muhabatien hazam nahi ho rhi the..
Anmol zda dair mehmano ka pass nahi ruki wo sabrah k sath kitchen mn chli gye khanay ka nizam dhkny..
Jbky Aahil ki nazar sirf anmol ko talash rhi the … wo idr udr dhk rha tha jb hashim shb na usy mukhatib kiya ..
Hashim : jee mia tou kya masrofiyat hain ? Kdr masroof ho ajkal..
Aahil : bs uncle business mein hi kbi idr tou kbi kdr .
Hashim : tumn bachpan mein dhka tha ak bar jb tum anmol ka sath cycling kr rhy thy..
Aahil ko hashim shb ki baat bht buri lgti jasay aahil ki koi chori pkri gye..
Wo unki baat ko beech mein chor kar bhr chla gya..
Hashim shb hakay bakay reh gye aahil ki is harkat pr.. khizar shb na be sharmindagi sa gardan jhuka li..
Aurtien apni khush gupiyon mein masroof the jb samina mehmood anmol ka puchti hain .. wo anmol ki maa sa apny gareebi talukat ka tazkirah krti hain..wo keh rhi hoti hain atiqa bht hi saliqa mand or naiq aurat the.. jitna wqt usky sath guzrah beyhadh axha tha..mein aj be usy yad kr k ro dti hun jasay kal ki hi baat ho hum angan mein dairon khushiyan liyay apny bachon ko khelta dhkti or khush gupiyan krti.
Anmol darwazay pa i tou samina mehmood ki baten sun kr heran ho gye..usy bachpan ka wo hisa kuch khass yad nahi tha..
Subhi na khana sath khaya ..
aahil khanay sa phly e ak business meeting ka lia mazRat kr ky chla gya tha..
Jab samina mehmood or khizar Mehmood niklny lgye tou unho na taqeed ki ka wo sb unky ghar ayn or bil khasus anmol ko be sath la ka ayn..
Alaya ko begum samina ki baat zehar lgi the.. wo khud sa zda kisi or ko importance milty nahi dhk skti the.. or anmol ko tou bilkul be nahi..
Wo muu basrooray apny qamray mein agye..
Begum samina saray rastay anmol ki tareefien krty i the..
Ghar a kr unho na apni pasandidgi zahir ki anmol ka lia tou khizar shb be bht khush hvy..
Unky marhoom dost ki ikloti ulad the..
Wo hmesha sa hi anmol ko apni bahu bna-na chty thy..
Begum samina shyd guzri baten bhul chuki the.. shyd yhe waja the k wo anmol ko apni bahu bna-na chti the..