Chereads / Ishq hva beyitebar / Chapter 9 - Raaz e Afshah part 3

Chapter 9 - Raaz e Afshah part 3

Wo zairey lab muskuraiye..

Btaen be ibrar … (wo izterab ki halat sa chur the)

Arey usdin tumn btya tou tha ka Pakistan jana hai.. tum bus ab tyariyan kro..

Khuda ka shukar prho ka humn hmri watan ki mitti ki khusboo sungnay ko milay gi wrna tou qareem shb aj tk taras rhy hain wpsi ka lia..

Wo mehaz muskurae or shukar ka kalmat kehnay lgi..

Razia begum na ak lambi list bna li the shopping ka lia wo pichle 1 ghantay sa bus list bna-nay mein hi mashghul the .

Ibrar shb ki nzr prhi tou unho na razia begum ko anmol k lia behtreen tofay kharednay ki taqeed ki.. jis par unho na khushi sa kaha ka yh koi kehnay ki baat hai.. meray marhum bhai ki ikloti ulad hai mein kyun nahi usy achy tofay dun ge..

Wo dono anay wly dino ki tyriyon mein lg gye thy ak alag hi khushi the ibrar shb k dil mein..

□□□□□□□□□□□

Anmol subha hoty hi university chli gye the.. Alayan utha tou ghr mein anmol ko na paa ka apni guzri raat ki harkat sa sharminda ho gya..usy dar tha k anmol ghar na chor da dar ka.. wo bar bar sabrah ko puchta ka anmol kdr hai wo itni jldi kdr chli gye .uski yh baten begum nusrat ko ajeeb lg rhi the mgr phir be khamosh rhi…

Alayan aj pehli bar pura din ghr par ruka tha..

Begum nusrat ka bar bar puchny pr us na tbiyt khrb honay ka bahana bna lia tha..

Sham hoty hi begum nusrat apni ki dost ko milny chli gye..

Anmol Sara wqt university mein khamosh rhi.. anaya ka beyhud israr par be us na jldi anay ki wja na btae.. wo bss dil ghabranay or ghutan ka ehsas sa ghiri hvi the.. usy kisi be trha alayan ki nazron sa dur rhna tha.. mgr wo jnti the ak ghr mein rhty hvy yh mumkin nahi..

□□□□□□□□□□□

Sham ko ghar phunch kr anmol na begum razia ko call ki bells jny pr jawab mosul na hva tou uski pareshani or bhar gye the.. wo shyd kuch soch chuki the ..

Alayan na sham ko usy ghar aty dhk lia tha wo dubra usky smny jny sa hichkichah rha tha . Mgr usy kisi be trha anmol ko smjahana tha …

□□□□□□□□□□□

Begum nusrat apni bhot achi dost sa milny ak cafe mein gye tou udr unki nazar urwa pr prhi jo Usman ka hath mein hath dal ka bethi hvi the.. urwa kafi khush nazar a rhi the or usman sa bht has has kar baten kr rhi the… begum nusrat jb pass gye or unho na urwa ko salam kia tou urwa ka rang pheekah prh gya tha wo buri trha ghabrah gye the.. wo kuch keh na saki or begum nusrat na usy janay dia or wo apnay table pr chli gye..

Urwa saray rastay darti rhi ka kahin begum nusrat uskay ghar mein na bta dn.. or Usman usy tasaliyan dta rha ka wo asa kuch nahi krn ge..

Urwa na usman ko bola ka wo apny ghar mein bta dn or jaldi sa rishta bhjy wo mazeed asay chup chup ka mulaqatien nahi kar skti jis par usman usy talnay lga ..

Urwa dar or gussay ki mili juli kafiyat mein the ...usy smj nahi a rhi the ka wo is pareshani sa khud ko kasay nikalay…