Download Chereads APP
Chereads App StoreGoogle Play
Chereads

Shinchan Aaya

Like ka Chakkar

Characters: Rohan - Ek school student jo social media par kaafi active hai aur followers aur likes ko bahut seriously leta hai. Neha - Rohan ki classmate aur dost, jo responsible tareeke se social media use karti hai. Mr. Verma - School ke teacher, jo students ko social media ke risks ke baare mein samjhate hain. Scene 1: Rohan aur Social Media Ka Nasha Panel 1: Rohan apne phone par social media par scroll kar raha hai aur apne profile par like aur comments ka check kar raha hai. Text: "Wow! 100 likes! Lekin Neha ke 200 hain... kya karoon ki mere bhi aur followers badhein?" Panel 2: Rohan selfie lekar aur edit karke flashy captions ke sath post karte hue dikhaya jata hai. Text: "Shayad kuch aur cool post karne se mere likes badh jayenge!" Scene 2: Fake Fame Ka Pressure Panel 3: Rohan ek expensive sneakers kharid leta hai, sirf apne followers ko impress karne ke liye, lekin andar se nervous aur stressed lagta hai. Text: "In sab mein paise bhi kaafi lag rahe hain... par agar likes badh gaye toh worth it hoga!" Panel 4: Neha Rohan ko samjhati hai ki likes aur followers ke piche bhagna zaroori nahi hai, asli dosti aur self-worth in cheezon par depend nahi karti. Text (Neha): "Rohan, yeh sirf ek screen hai! Real life mein jo hum hain wahi sabse important hai." Scene 3: Galat Post Ka Nateeja Panel 5: Rohan bina soch-samajh ke ek party ki photo daal deta hai jisme kuch students ki consent ke bina unki embarrassing photos bhi dikhayi deti hain. Text: "Sabko show-off karna chahiye! Yeh toh ek mast post hai." Panel 6: Agle din, Rohan ko complaints milti hain aur kuch log usse naraz hote hain kyunki unke photos bina unki ijazat ke daale gaye the. Text: "Yaar, maine toh socha hi nahi ki isse unhe problem hogi..." Scene 4: Realization aur Apne Aap Ko Improve Karna Panel 7: Mr. Verma Rohan aur class ko social media ke responsible use ke baare mein samjhate hain aur batate hain ki likes aur comments se humari asli value nahi banti. Text (Mr. Verma): "Social media pe hamare actions ka asar dusre logon par bhi padta hai. Zaroori hai ki hum uska sahi istemal karen." Panel 8: Rohan apni posts ko delete karta hai, privacy aur responsible use ke baare mein seekhta hai, aur apni asli life par dhyan dena shuru karta hai. Text: "Mujhe ab samajh aaya ki real life mein khush rehna aur dusron ki respect karna sabse zaroori hai." Scene 5: New Beginning Panel 9: Rohan aur Neha real-life activities mein time spend karte hain, jaise sports aur reading, aur Rohan aakhir mein social media ka responsible use karne lagta hai. Text: "Ab main social media ko life ka ek hissa samajh kar use karunga, aur apne asli doston aur hobbies par focus karunga."
MODI_ENTERPRISES · 355 Views

Najul Balgha

Imam Ali a.s Biography Nehjul Balagha Khutba 1 Extracts From Nahjul Balagha in Urdu 1. Hazrat Ali AS: Tamam hamd Us Allah k liay hai jis ki madah tk bolnay walon ki rasaai nhi. Jis ki naimaton ko ginnay walay gin nhi sktay. Na koshish krnay walay Us ka huq ada kr sktay hen. Na buland parwaaz himmaten Usay paa skti hen. Na aql o fehm ki gehraeeyaan Us ki teh tk puhanch sakti hen. Us ki zaat ki koi had muayyan nahi. Na Us k liay toseefi alfaaz hen na Us ki ibtedaa k liay koi waqt hai jisay shumar men laaya jaa sakay, (Khutba 1 Nehjul Balagha) Hazrat Ali AS ne farmaya:. Allah ki koi muddat nahi hai jo kaheen par khatam ho jaey .Khuda ne makhlooqaat ko apni Qudrat se paida kya, apni rehmat se hawaaon ko chalaya, thartharati hui zameen par paharon ki maikhen (keelain) gaareen. Deen ki ibteda Us ki maarfat hai, kamala e maarfat Us ki tasdeeq hai, Kamaal e tasdeeq Toheed hai. ( Khutba No 1 Nehjul Balagha) Hazrat Ali AS ne farmaya: Jis ne ye kaha k Khuda kisi cheez men hai us ne Usay kisi shay k zaman men farz kar lya, jis ne ye kaha k wo kisi cheez par hai us ne aur jaghen Us se khaali samajh leen. Wo hai, hua nahi hai, mojud hai magar adam se wajud men nahi aaya. Wo har shay k saath hai na jismaani itesaal ki tarah, Wo har cheez se alehda hai na jismaani doori k tor par. Wo faael hai leken harkaat o aalaat ka muhtaaj nahi. (Khutba No 1 Nehjul Balagha) Hazrat Ali AS ne farmaya :Wo is waqt bhi dekhnay waala tha jab k makhlooqaat men koi cheez dikhaae dainay waali na thi. Wo yagaana hai is liay k Us ka koi saathi hi nahi hai k jis se Wo maanoos ho aur us ko kho kar wo pareshaan ho jaey. Is ne pehlay pehal khalq ko ijaad kya baghair kisi fikr ki joolaani k aur baghair kisi tajarbay k jis se faaida uthanay ki Usay zaroorat pari ho aur baghair kisi harkat k jis ne Usay paida kya ho aur baghair kisi walwala o josh k jis se Wo baitaab hua ho. (Khutba No 1 Nehjul Balagha) Hazrat Ali AS ne farmaya : (Khuda ne kaainaat banaaty waqt) Har cheez ko us k waqt k hawalay kya. Be jor cheezon men tawazun aur hum aahangi paida ki. Har cheez ko judaagaana tabiyat aur mizaaj ka haamil banaya aur tabiyat k liay munasib sooraten zaroori qarar deen. Wo in cheeezon ko in k wajood men aanay se pehlay jaanta tha. In ki hadood e nihayat par ahaata kiay huay tha aur in k nafoos o aazaa ko pehchaanta tha. (Khutba No 1 Nehjul Balagha) Hazrat Ali AS ne farmaya: Paighamber S.A.W.W ne tumharay Parwardigaar ki kitab tum men chori hai. Is haalat men k unhon ne kitab k halal o haraam,waajibaat o mustaahibaat,naasikh o mansookh, rikhs o azaaaim,khaas o aam, ibr o imsaal,muqeed o mutlaq, muhkam o mustashabeh ko waazey tor par bayaan kar dya hai. Mujmil ayaton ki tafseer kar di hai (aur) us ki guthiyon ko suljha diya hai.(Khutba No 1 Nehjul Balagha) Hazrat Ali AS ne farmaya: Us (Khuda) ne apni makhlooq men se sun’nay waalay loge chun liay jinhon ne Us ki awaaz par Labaik kahi aur Us k kalaam ki tasdeeq ki wo anbiya ki jaghon par tehray (aur) arsh par tawaaf karnay waalay farishton se shabaahat ikhtiyaar ki.(Khutba No 1 Nehjul Balagha
DaoistYUcXMo · 1.3K Views
Related Topics
More