LAFZ
Ye kahani koi kalpanik yani ki fictional nahi hone walihai,jahanmaineaapkokoipariyonkiyaraja-raniki kahanisunanewalahun,balkiyeekbilkulsacchikahani hai jo aapki soach aur zindagi badalne ke liye kafi hai. Ye kahani hai sangharsh ki, mehnat ki, kamyabi ki aur sab kuch chor ke chale jane ki, ye kahani hai mere pita late Rajendra kumar sahu ki. Kaise ek insaan jishe din mein teen waqt ka khana naseeb nahi hota tha, pehenne ke liye sirf ek jodi kapde the, sambhalne ko ghar par 5 bhai aur ek bimar maa thi, wo aaj karodo ki sampatti ke malik hai aur har vo sukh suvidha hai jiska unhoneekdinsapnadekhatha.